Part (8)

30 3 23
                                    

Uroosa ka nuqta e nazar

Raat ka waqt

Mai palang per laite wohi sab souch rhi ho jo aaj jawad ne mujhe office me kaha Mai tw jawad ko keh ker agyi ke mai kal souch ker bataoungi kya kro mujhe kuch samajh nhi arha jawad ko maine ain 5 mahino me jitna jana hai usse tw mujhe vo bilkul aesa nhi lagta na jane kyun mujhe har baar ye feeling ati hai ke usne mere maa baap ko nahi mara lekin haqiqat ko koi nhi thukra sakta haqiqat yehi kehti hai ke jawad ne mere maa baap ko katal kiya hai aaj raat mere liye bilkul bhi asaan or sukoon de nhi hai mai bechaini me palang se uth ker balcony me ja ker khari hogayi
:
:
:
:
ke shayad jo bechaini mere ander hai ain tez hawaon me gum hojae lekin aesa kuch nahi tha meri bechaini souch ke sath sath aur barhti ja rhi hai mene asmaan ki taraf apni ankhen authayi our sitaro ko apni anson bhari ankhon se takti rahi mera dil me aik ajeeb kashmakash thi mere dil mai dard bhi tha tw muhabbat ke jazbaat bhi mujhe nafrat bhi thi lekin ahsas bhi ke koi mujhe bhi apna kahe mujhe bhi sab se ziyada tot ker chahe aesi bechani our kashmakash me mai puri raat nhi soyi kahin mujhe meri maa baap ki yaad nhi sone de rhi thi kahin jawad ki batein our auski vo ankhen jab mujhe vo apna dil ka haal bayan Kar raha tha aunme sirf bepanah muhabbat thi aesi tarah najane kab subah hogayi mujhe pata hi nhi chala me mamol ki tarah office ke liye tayyar hui our rawana hogyi

           Uroosa ka.dress

Me jaise hi office pohchi me jawad ke room me jane ki bajaye apne room me dakhil hui shayad me jawad ke room me good morning kehne ke liye aisi liye nahi gayi kyun ke ab tak shayad me apna faisla nahi kar payi thi mai apni chair per bethi hi thi k...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Me jaise hi office pohchi me jawad ke room me jane ki bajaye apne room me dakhil hui shayad me jawad ke room me good morning kehne ke liye aisi liye nahi gayi kyun ke ab tak shayad me apna faisla nahi kar payi thi mai apni chair per bethi hi thi ke mujhe jawad ki call ayi maine call pick ki jawad ne mujhe apne room mai bulaya hai mai jawad ke room me dakhil hui

Uroosa : good morning sir

Jawad : good morning how are you

Uroosa : i am fine how about you sir

Jawad : i am also fine

Uroosa : uhmmm actually sir mujhe phochna tha ke kal jo kuch bhi apne jo kaha tha vo sab sach tha

Jawad : vo sab kuch bilkul.sach tha

Maine jawad ki baat sunker apni gardan hilayi our kaha

Uroosa : tw phir apko yaqenan mere jawab ka aintezar hoga jesa ke maine kaha tha ke mai souch ker bataoungi

Jawad : bilkul mujhe tumhare jawab ka aintazar hai lekin ager tumhe our waqt chaye tw beshak lelo mujhe tumhara har jawab qubool hoga chahe vo inkaar hi kyun na ho

Uroosa : hmm thik hai phir mera jawab han hai mujhe apka purposal qubool hai

Jawad ka nuqta e nazar

Jaise hi uroosa ne apna jawab diya jiska mujhe kab se intezar tha jiski wajah se mai puri raat nhi soya jaisi hi maine uroosa ke mun se han suna ke usse mera purposal qubool hai mere chehre se tw muskarahat hi nhi ja rhi thi mai aaj kitna khush ho koi andaza nhi laga sakta mujhe aaj meri dunya meri zindagi mil gayi mujhe aaj jene ka maqsad mila hai mujhe aaj mera sab kuch mil gaya mai khushi ke mare apni kursi se utha our uroosa ke pass gaya maine uroosa ke dono hath pakar ker kaha

SAFARWhere stories live. Discover now