Part (6)

19 3 31
                                    

Uroosa ka naqta. e nazar

Meri ankhon se anson nikalna shuru hogaye ke achanak jawad ne gusse or chekte hue kaha 

Jawad : ab mere samne kya bhot banke khari ho jao yha se

Me dar ke mare jawad ke room se foran chali gayi bahir ate hi mere sare anson jinko najane mene kitne arse se chupa ker rakha tha aik aik krke bahir nakal rahe the me aunhe jitna phochti vo autne hi wapas ate jate mera pura face mere ansoun me doba tha ke me sab se apne anson chupate hue apne room me gayi

Musannif ka nuqta e nazar

Uroosa apne room me jaker chair per beth gayi uroosa ne apna sar table per rakha our rona shuru hogyi uroosa hichkiyan le le ker ro rahi thi koi nhi tha jo ata our uroosa ko dilasa de ker auske anson pochta

( owww meri uroosa me asakti tw tumhare anson zaror phochti🥺)

Jawad ka naqta e nazar

Mai aintehayi gusse me apni chair per betha ke achanak meri nazar uroosa ke room per pari uroosa table per apna sar rakhe ro rahi thi me uska chehra tw nhi dekh sakta tha lekin uske kanpte jism se mujhe andaza hogaya tha mene shayad kuch ziyada hi gussa ker diya kya karo mafi mango nhi nhi me kyun mafi mango ghalti usne ki hai kaam usne thek nhi kiya tw gussa karna tw banta tha mujhe aik taraf uroosa ko rote hue dekh ker nidamat horhi hai or aik taraf mafi mangne ke liye mera dimag nhi man raha kya kro

Time skip

Musannif ka nuqta e nazar

Pura din yunhi guzar gaya na jawad ne uroosa ko apne room me bulaya na uroosa gayi sham hote hi dono apne apne ghar ke liye rawana hogaye bina aik dosre se kuch kahe

Musannif ka nuqta e nazar khatam

Agle din

Uroosa ka nuqta e nazar

Mera aaj office jane ka bilkul dil nhi kr rha lekin kya kro paise nhi hai kharche ke liye ager office nhi gayi tw noukri na chali jaye our aitni jaldi koi dosri noukri bhi tw nhi milegi jana tw kisi bhi kemat per padega office kiya din the vo jab mene kabhi kaam krne ka soucha hi nhi tha balke kaam krne ka choro aesi life tw kabhi wahem me bhi nhi sochi thi lekin kehte haina waqt badalte der nhi lagti ammi abbo i missed you so much i love you kash ye waqt na ata vo khane pe batien krne wali ladki aaj auske sath khana khane ko koi nhi hai har roz ki tarah afsos ke sath mai apne office ke liye ghar se rawana hui me company pohchi our apne room ki taraf barhne lagi lekin achanak mujhe yaad aya ke jawad ko good morning karna hai ab kiya kro mene aik lambi sans li our jawad ke room per knock kiya

Jawad : come in

Mai ahiste se jawad ke room me dakhil hui

Uroosa : good morning sir

Jese hi mene good morning kaha jawad ke nazre laptop se hath ker meri Taraf barhi maine ahiste se apni nazre uthayi our jawad ki taraf dekha our najane kab tak mai usse ghorti rahi jawad ki shirt ke auper ke 2 button khole hue the sleeves half fold thi Jo uske veiny arms bakhobi show kar rahe the coat chair ke back per latka hua tha baal aitne silky our black colour ke ke touch kare bina  koi reh na sake mene aaj tak jawad ko aitna handsome our khobsurat kabhi nhi dekha tha aaj hi aise aitna handsome lagna tha or colour bhi mera fav black pehna hua kambakht ne auper se hair bhi black jawad apni kursi se uth ker meri taraf barha ALLAH mujhe bacha lena aaj mai nervous ke mare apni jaga se hil hi nhi sakri thi jawad bilkul mere samne akhara hua aish iske purfume ki khushbo Kitni piyari hai

(sorry Everyone i am a perfume lover so uroosa is also a perfume lover🤭)

Jawad : good morning kesi ho

SAFARWhere stories live. Discover now