Part-36

270 34 47
                                    


Sonia:Haaaa,Kuhu di character thoda alag type ki hai,woh normal insaan ki tarah galtiyan karti hai,par woh apni galti mein khud ki galti jitni bhi ho,sab kuch dusron par daalti hai.Yahi mishti ke saath bhi hua hai.

Abir:Main kuch samjha nahi.

Sonia:Kya thum kuhu di ke saath kya hua hai?yeh jaante ho?

Abir:Matlab?Main yeh jaanta hu ki jab mishti aur kuhu akele the,tab vikranth ne aake,kuhu se........ shaadi karne ki khoshish kiya tha........phir uss haatsa mein vishambhar uncle ko accident bhi hua hai.

Sonia:Haa,wahi.......Iss haatsa hone ke kuch din pehle,jab mishti aur varun ek dusre se pyaar karte the,tab ek din kuhu di ko yeh sach pata chal gayi hai.Uss wakt Kuhu di Love ke against thi,isiliye usne yeh sach apne parents ko batachuki hai.Woh log aake mishti ko confront kiya.Mishti bahut dar gayi thi,sach batane ki himmat nahi thi ussmein,Isiliye juth kahi thi ki 'woh sab kuch rumours hai'.

Abir:Aunty aur uncle ne kisko believe kiya?

Sonia:Mishti ko hi.Unko apne khoon par bharosa hai.Yeh sach jaanke mishti ko bhi thoda bura lagi thi,par woh sach batana nahi chahti thi,isiliye chup thi.Par yeh sab kuhu di se bardaash nahi hua,usko bahut gussa aayi ki koyi uss par bharosa nahi kar rahe hai jab ki woh sach bol rahi hai.

Abir:Tho mishti ne tab usko chod diya?

Sonia:nahi,Jab vishambhar uncle aur kuhu di ke saath woh haatsa hua tha,tab mishti ne ek din jaake rohte huye kuhu di ko console karne gayi thi,par kuhu di ne ulta mishti ko blame karne lagi ki yeh sab mishti ki wajah se hua hai.

Abir:(confused)Mishti ko inn sabse kya lena dena?

Sonia:Yahi mishti ne bhi puchi thi,tab kuhu di ne yeh bataya ki jab uss ghar mein koyi bhi uss par bharosa nahi kiya tha,usi wakt vikranth ne usko propose kiya tha.Uss gusse mein aake usne vikranth ko accept kar chuki hai.Iska matlab Yeh sab mishti ki wajah se hua hai,mishti indirectly wajah bangayi yeh sab hone ki.Kuhu di ne uss din saare galti mishti par daal chuki hai,aur sab log usi ko daatne lage hai.......Mishti ko bhi khud lagne lagi ki shaayad yeh sab uski wajah se hi hua hai.

Abir:This is ridiculous,issmein mishti ki kya galti hai,uski age mein,uss situation mein koyi bhi hoga woh aise hi karega.

Sonia:Abir,agar koyi bhi insaan jab kuch kar rahe hai,tab baaki saare log aake uska ultah kahe tho uss insaan ko psychologically feeling aayegi ki shaayad woh kuch galat kiya hai,unko khud par shakh hogi.Yahi mishti ki case mein bhi hua hai.

Abir:Tho mishti ko khud lagne laga ki uski ghar mein,uski parents aur di ke saath jo bhi hua,inn sab ki wajah woh khud hi hai.

Sonia:Right,aur kuhu di bhi har din usko daaththi ki woh ek badluck hai,uski wajah se kisi ke saath bhi acha nahi hoti hai.Aur jab se mishti paida hoke uski life mein aayi thi,tab se kuhu di ko sab log avoid karna shuru kiya tha,iskeliye bhi mishti ko hi di ne blame ki hai.Itne saare blames,sab log usko avoid karne lage hai,including aunty aur uncle,jo mishti ki saath hamesha dete the.Inn sabse mishti psychologically bahut disturb huyi thi,woh kisi se bhi pyaar nahi karna chahti thi,sabko khud se dur karne lagi hai,akeli hone lagi thi.Sab se dur......

Sab se dur

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Tell me those 3 magical words-the conclusionWhere stories live. Discover now