Part-41

206 28 42
                                    

Abir's POV:

At present, I'm with the love of my life and her boyfriend in my bedroom.Thoda ajeeb lag raha hai na?Kya kare?Mr.Ajeeb hu main.Sab kuch ajeeb hi hoga.

Jab chandu ne kaha ki I'm the hero of this story,I felt like.......I felt like I'm on cloud nine.Aaj tak maine mishti ko bahut kuch akele karne diya.Woh akele sabkuch sehti thi.Not anymore,now it's my turn,apne pariwar ko,apne pyaar ko secure karna.Aur main yeh kaam purey imandaari ke saath karunga.

Uss din jab mishti mujhe bina jawab deke chali gayi thi,mujhe bahut bura laga.Par baadmein pata chala ki woh kyu gayi thi?Aur jab main hospital pahuncha tha,she's already crying badly.I can't see her in that state.Uske paas tho paise bhi nahi hai,isiliye maine bill pay kiya,phir bhi woh paise lekar aayi thi.Pata nahi kaise?

Woh nahi jaanti par main hamesha uske saath hi tha.Usko main akele kaise chod deta?Woh tho uss din itna rohyi thi ki usko apni chot ki dard ka bhi pata nahi chala.She really lost her senses.Accident hone ke baawajud woh bhaag nikali.Aur ghar aate hi sohgayi,woh bhi khaali peth se.Bhookh nahi lagti hai kya?

Aur woh boyfriend,Don't ask about him

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Aur woh boyfriend,Don't ask about him.Woh sachmein bahut acha hai.No doubt ki woh mishti ki dil jeet liya.Kuhu ne unn dono ke baaremein bataya ki chandu ko Eye cancer hai.Isiliye woh ab blind hai.

Uska Operation hone se pehle,woh iss operation keliye tayyar nahi tha,kyunki agar woh blind hogaya tho uska koyi friend nahi milegi,woh jo karna chahte hai woh kabhi nahi karpayega.Par mishti ne usse promise kiya ki woh sirf uska friend hi nahi uska girlfriend banegi.Woh usko himmat di thi aankhon ke bina bhi jeene keliye.

Usne kaha ki 'jab tak thum jinda ho,aur jab tak tujhe khud par bharosa hogi,tab tak iss puri duniya thumhare haathon mein hai.Thum jo chahte ho woh kar sakte ho.Bas thum kisi par depend mat hona.Apne aankhon par bhi nahi.Apne andhar ka himmat par bharosa rakho.'Aur girlfriend hone ki hakh se usne Chandu ka Operation karne keliya manayi thi.Aur mishti operation hone ke baad bhi uska girlfriend banke rahi.

Yeh baat jaanane ke baad,mera pyaar mishti keliye aur bhi bhad gaya.Kya kare?Woh aise ache ache kaam karegi tho main baar baar fidaa hota hu.Abir,thum sach mein Paagal ho,thum ek chota bacha se aaj tak jhalte aaye ho?Aur thum mishti ko bhi galat samajha? Itna insecure hogaye ho iss baat se,par yeh nahi socha ki mishti mujhe dokha kyu degi?Uske dil mein uski boyfriend bhi hai,par mere jagah hamesha mereliye hi hai.

Sorry brother, sorry mishti,aaj se main kabhi aap dono ko galat nahi samjhunga.Mujhe tho pehle hi samajh jana chahiye tha,mera angrychorni kisi aur se.....nahi....kabhi nahi......Waise,mujhe itna khush kyu lag raha hai?mishti ki boyfriend ek chota bacha hai,isiliye?yaa phir Isiliye ki mujhe mera mishti aur bhi acha lagne lagi hai?Pata nahi.

"Abir......Kaha kho gaye ho?Hoshmein aao"Mishti's yelling while shaking me like fits attacked person.

"Haa haa...Kya hua?"I tried to come out of her hold.

Tell me those 3 magical words-the conclusionWhere stories live. Discover now