Next Day
Devaki Niwas
Dev-agar aaj bhaiye gye hamari hone wali bhabhi se milne toh yeh tay ho jayega ki unhe miss mystery se pyar hai....
SS-miss mystery kaun hai?
Dev- hamari hone wali bhabhi aur kaun...
Jeevika-unka naam Haseena hai mystery kyu bula rahe ho?
Dev-hamare liye toh woh ek mystery hi hai kyuki na humne unhe dekha hai aur na unse mile hai.....
VS-tumhare liye Dev babu hamare liye toh woh Haseena hai...(he said with a smile).
KS-Vyom shayad aap bhul rahe hai ki woh bhaiya ko bahut pasand hai aur aap shaadishuda....(she said angrily)
VS-tum galat samjh rahi ho Karu mera matlab hai ki main aur Cheetah toh unse mil chuke hai toh hamare liye toh woh mystery nhi hai....
Maa-Jeevika....
Jeevika-haa...?
Maa-Diya aur Gaurav kahan hai?
Jeevika-woh dono bhaiya ke room mein hai...
Dev-hai nhi the....
CC-matlab?
Dev-woh teeno idhar hi aa rahe hai isliye sara discussion band karo aur normal behave karo....
AS-maa hum mukhyalay ja rahe hai...
Maa-Anu nashta toh karke ja...
AS-mukhayalay mein kar lenge...(he left)
Dev-mujhe aaj tak ek baat samajh mein nhi aayi....
SS-kaun si baat?
Dev-bhaiya kabhi hum sabke sath baith kar baatein kyu nhi karte....
Diya-mummy mere shoes pehna do warna hum school ke liye late ho jayenge....
Jeevika-haan chalo....
At Krishna Higher Secondary School (fictitious name).
In the Principal's room
HM-Sir aapne hume bulaya...(she asked with a smile).
P-yes miss Malik....
HM-kis liye sir?
P- aap toh janti hai ki ek week baad hamare school mein ek drawing competition hai jisme hamare school ke sath sath dusre school ke bacche bhi participate karenge....
HM-ji sir...
P-toh us competition mein aane teeno wale chief guest jo judge bhi honge isliye main chahta hoon ki aap un teeno ka welcome kare aur is baat ka dhyaan rakhe ki unhe koi taklif na ho....
HM-maaf kariyega sir par aam taur par aap yeh jimedari Sharma sir ko dete hai toh is baar hume dene ki koi khas wajah?
P-Sharma ji ke papa ki health kuch thik nhi hai isliye woh apne ghar gye kuch dino ke liye...
HM-toh sir aap kisi aur se bhi kah sakte the hum hi kyu?
P-kyuki pure school aap ek hi teacher hai jiski baat bacche aaram se maan jate hai warna dusre teachers ki baat toh maar kha kar bhi nhi mante aur main nhi chahta ki teachers baccho ko guests ke samne mare warna school ki sab burai karne lage isliye ab agar aapko koi problem na ho toh aap mera request manengi....
HM-is mein takalluf ki kya baat hai sir...
P-thank you...
YOU ARE READING
Zindagi - The game of destiny✔
FanfictionWhatever happens in life is pre-prepared by destiny. No matter what we do, we cannot change our destiny, then can we change it? Not us but does love change our destiny? Haseena Malik-A sweet hearted person who has always a smile on her face. Anubhav...