Readers gan kripya dhyan de aur apni kursi ki peti bandh le kyuki aane wale do teen parts aapko jhatake de sakte hai toh un jhatkon ke liye writer yani Atiwak yani ki main jimmedaar nhi hoon....😌
Dhanyavaad 🙏Haseena opened the front page of the first note book. She took a deep breath before reading her past.
20 August 2013
Zindagi hume aaj ek aise shahar mein le aayi hai jisse hum anjaan hai, waise anjaan toh hum un logon se bhi the jo kehne ko hamare the par kabhi hamare the hi nhi * Haseena looked at Anubhav, he smiled* ek mahine ho gye hai hume Lucknow aaye huye, hume yahan ek school mein teacher ki job mil gyi aur rehne ke liye ek chhota sa kamara par yahan bhi log waise hi hai.....hume lagta tha ki hum ek samajhdaar ladki hai par humse bada bewakoof koi nhi hoga is puri duniya mein, bade proud ke sath hum khud se aur logon se kehte the ki hum logon ko dekh kar unhe pehchan lete hai par jinke sath apni zindagi ke bees (20) saal guzar diye unhe hum kabhi pehchan hi nhi paye.....
AS-ek minute.....(he said, she stopped reading).
HM-kya hua?
AS-jahan tak hume pata hai aapki umar tees saal hai phir do hazar terah (2013) mein aapki umar baais (22) saal honi chahiye phir yeh bees saal kaise.....(he asked in confusion).
HM-hume nhi pata, shayad galti se likh diya hoga.....(she said causally).
AS-sach mein....(questionably).
HM-likh kar de hum tab aap manege....(she asked in taunting tone).
AS-accha aage padhiye.....
HM-thik hai padhte hai....
Imran sahi kehta tha ki duniya woh nhi jo hum dekhte hai duniya woh hai jo hume bure waqt mein dikhai deti hai....jaise hume dikha is duniya ka aur hamare apno ka asli chehra, galti kya thi hamari jo hume ghar se nikal diya, hamara sath chhod diya.....kya kuch nhi kiya tha us pariwar ke liye, apne sapne apni khushi sab ko taak par rakh diya tha par badle mein hume kya mila, characterless hone ka naam....her heartbeat stopped for seconds as she read the word, she looks at him, he blinks to reassure her......pata hai hum sochte the ki zindagi jeene ka naam hoti hai par nhi asal mein zindagi sikhne ka naam hai kyuki yahan har din hum kuch na kuch naya sikhte hai ab chahe logon se sikhe ya logon ke baaton se......(she paused).
AS-kya hua ruk kyu gyi?
HM-khatam ho gya....
AS-toh agla panna padhiye.....
HM-hum nhi padhenge, aap padhiye....(she said with puppy face).
AS-thik hai dijiye.....
She gives him the notebook.
5 September 2013
Happy Teacher's Day Sir!
Apne hamesha hamara sath diya hume sahi galat mein farak karna sikhaya par hamari wajah se aapko kitni taklif huyi, aapne hume kabhi apni beti se kam nhi mana par hum toh ek student hone ka farz bhi nhi nibha paye.....aapne apni guru dakshina ne humse vada toh le liya ki hum yeh zindagi jiyenge par aap shayad hume batana bhul gaye ki bina aapke hume aage chalenge kaise.....aaj hum zinda hai toh sirf aapki badaulat warna is zindagi se nafrat toh hume us din hi ho gayi jab hume pata chala ki......(he stopped).
HM-aap ruk kyu gye, padhiye....
AS-iske aage aapne likha hi nhi hai...
HM-kya...(surprised).
YOU ARE READING
Zindagi - The game of destiny✔
FanfictionWhatever happens in life is pre-prepared by destiny. No matter what we do, we cannot change our destiny, then can we change it? Not us but does love change our destiny? Haseena Malik-A sweet hearted person who has always a smile on her face. Anubhav...