Ek kahani ke ant se hi ek nayi kahani ka aarambh hota hai......😊
Toh shuru karte hai is kahani ka aakhiri adhayay.....
HM-us din shaam ko jab hum ghar pahuche sab hum par aag baboola ho gye......
AS-aapne unse jhootha bola tha isliye......(he asked).
HM-nhi.....
AS-toh phir?
HM-kyuki hamara affair tha kisi ladke ke sath.......
AS-kya (shocked), aap yeh kya bol rahi hai aur aapne hume pehle kyu nhi bataya......(he asked in one go).
HM-hum aapse sirf pyar karte hai aap husband nhi hai hamare jo humse aise sawal puch rahe hai......
AS-sorry......(sadly).
HM-woh ek jhooth tha aur kuch nhi (he smiles), us admi Haidar ne hamare gharwalon ko kuch photoshop ki huyi tasveerein dikhayi jisme hum kisi ladke ke sath the aur usse bhi uska man nhi hamara toh usne hamari aur Imran ki dosti par bhi sawal utha diye....aur aap toh jante hai ki hum us samaj mein rehte hai jahan logon ke liye ladka aur ladki sirf dost nhi ho sakte toh hamare ghar wale hum par bhadak gye, humse pachas tarah ke sawal puchne lage yahan tak humse yeh bhi puch liya ki Alisha hamari aur hamare kisi so called boyfriend ki beti toh nhi hai....humne sabko samjhane ki koshish ki par kuch fayada nhi hua aur bade abbu ammi ne hume ghar se nikal diya.....hum physically aur mentally itne stable nhi the ki un logon se behas kar sake hai khud ko innocence sabit kar sake aur khud ko innocence sabit karte bhi kiske samane aur kyu....humne toh kuch kiya hi nhi tha aur un logon ko hum par jara sa bhi yakin hota toh woh log humse ek baar shanti se puchte jaroor par nhi, unhe bas hume ghar se nikalana tha......(her voice was calm as if she had no effect of remembering her past).
AS-aisa kyu?
HM-har sawal ka jawab waqt ke sath hi milta hai janab isliye thoda sabr rakhiye.....
AS-theek hai phir, aage bataiye kya hua......
HM-hota kya un logon ne hamara bag pehle se hi pack karke rakha tha nikal diya hume ghar se, hamara dimag kaam karna band kar chuka tha, achanak se jo bhi hua hume kuch samjh nhi aa raha tha, hum bag liye chal diye ghar se bahar us din sab Imran ke nikah mein gye the isliye puri colony khali thi kisi ko pata nhi chala hum ghar chhod kar ja rahe hai warna sabko pata chal hi gya hota ki hum ghar se bhage nhi the hume nikala gya tha......hamari kismat har mamle mein kharab rahi (she smiles), us din Imran ka nikah tha toh hum uske paas help ke liye ja nhi sakte the warna hamari wajah se uske nikah mein problem ho jati isliye hum sir ke paas chale diye aakhir wahi toh the hamare har problem ka solution, hum apne school ke paas hi pahuche honge jab us din hume Sitara mili, wahi school ke paas mein uska ghar tha, khel rahi thi woh par jab hume usne bag lekar aate dekha toh woh hamare paas daud kar aayi......
Flashback.
Bold font for Anubhav and Haseena conversations.
Sitara-Oye Haseena kahan ja rahi ho.....(she asked curiously).
Haseena looks at her, a ten year old girl standing with her bubbly smile.
HM-tum itni raat ko yahan kya kar rahi ho......
Sitara-saat baje hai abhi raat nhi huyi hai.....
HM-thand mein saat bajne ka matlab raat ho chuki hai, ghar jao apne tumhare ammi abbu chinta kar rahe honge......
Sitara-pehle ye batao tum kahan ja rahi ho bag lekar?
HM-tum nhi aap kehte hai apne se bade ko.....(she said with a smile).
YOU ARE READING
Zindagi - The game of destiny✔
FanfictionWhatever happens in life is pre-prepared by destiny. No matter what we do, we cannot change our destiny, then can we change it? Not us but does love change our destiny? Haseena Malik-A sweet hearted person who has always a smile on her face. Anubhav...