Andhera

1.5K 195 130
                                    

Continued from previous part

AS-ab aap theek hai.....(he asked worriedly).

HM-ji...waise Mr.Singh ek baat bataiye hum us blast se kaise bache aur hume dekh kar toh lag raha hai jaise hume koi kharoch hi nhi aayi hai.....

AS-aap pehle hamare ghar chaliye phir hum sab kuch batate hai.....

HM-aapke ghar hum kyu jayenge aur waise bhi humne pehle hi kaha tha ki hum aapke ghar mein dobara kabhi nhi jayenge....

AS-hum jante hai par aisi halat mein aapka akele rehna theek nhi hai.....

HM-aath saal se hum akele rah rahe hai isliye aap chinta mat kariye.....

AS-hum jante hai par please is waqt hamari baat maan lijiye.....(he said with puppy eyes).

HM-Mr.Singh yeh baccho ki tarah jidd mat kariye kyuki hum nhi jane wale aapke ghar........

AS-accha theek hai par aapke ghar hum bhi chalenge aur wahi aapke sath rukenge bhi.....

HM-jaroorat nhi hai.....

AS-chaliye na Haseena ji hamari dosti ke naate chaliye...... (he requested).

HM-accha thik hai par sirf ek din ke liye.....

AS-manjoor hai hume......

HM-hamara bag kidhar hai?

AS-woh blast mein jal gya par aapko chahiye kyu?

HM-hospital bill pay karne ke liye......

AS-woh humne kar diya hai isliye aap nischint rahiye aur chaliye.....

HM-aapne kyu kiya......

AS-chodiye yeh sab aur chaliye hamare sath.....

HM-hmmm.......

They walk towards his car.

AS-waise Haseena ji aapse ek baat puchhna tha.....

HM-puchhiye......

AS-aapne humse aisa kyu kaha tha ki agar hum aapko aath saal pehle mile hote toh aap jaroor humse pyar karti par ab nhi.......(he asked hesitantly).

HM-kyuki aisa ho sakta tha, aaj ki Haseena mein aur aath saal pehle ki Haseena mein jameen Aasmaan ka fark hai.......(she said with a smile).

AS-aur kyu hai yeh antar?

HM-bas hai koi karana......

AS-hume woh karan janane ka bhi adhikaar nhi hai.....

HM-bina kisi rishte ke adhikar nhi manga jata......(she said looking at him).

AS-dosti ka rishta toh hai hum dono ke beech.....

She didn't reply, instead of that she smiled.

AS-hum aapki muskaan ka kya arth samjhe.....(he asked with a smile).

HM-kehne ko pyar karte hai humse aur hak dosti ke rishte se mang rahe hai......

AS-agar aap humse prem karti hoti toh hum us rishte se bhi apna adhikar mang lete......(he said with a smile).

She looked around her, diverting her attention from him, seeing which she felt something strange.

HM-ek minute hum toh raat mein ghar se nikale the toh phir yeh shaam kaise....hum kitne din se hospital mein hai.....(questionably).

AS-gaadi mein baithiye hum batate hai......(nervously)

HM-hmm.......

Both sit in the car and Anubhav drives the car towards home.

Zindagi - The game of destiny✔Where stories live. Discover now