Sitara

1.6K 182 149
                                    

Continued from previous part.

At Haseena's Home

Haseena is sitting in her room reading  her memories of the last five days in her diary.

HM-Haseena ki taraf se Haseena ke liye.....(she repeated the words which were written in her diary).

Jante hai ajeeb laga hoga padh kar par yeh jaroori hai Haseena, kyuki hum itna toh jante hai ki kabhi na kabhi hamari memory wapas aayegi aur yeh Haseena wapas miss mystery ban jayegi isliye yeh jaroori hai.........

Hum jante hai Haseena ki tum bhi Anubhav se pyar karti ho bas kisi dar ki wajah se apne pyar ko apne andar chhipa kar baithi par sach kahe toh dar ki wajah se apni khushi chhod dena yeh toh hum nhi hai....hum jante hai ki bees ki Haseena mein aur tees ki Haseena mein bahut fark hai aur tumhe humse jyada experience hoga cheejon ko aur logon ko samjhne ka kyuki tumne duniya ka woh chehra dekha hoga jo humne nhi dekha hai ab tak, tumhare sath jo bhi hua woh galat tha par jo bhi tumhare sath hua hai usme Anubhav ki kya galti hai, woh toh tumse pyar karte hai aur woh bhi itna ki unhe unki miss mystery hi pasand hai yeh toofani Haseena nhi.....isliye meri baat man kar sirf ek baar apne dar ko side mein rakh kar Anubhav ke bare mein socho, kya tum galat nhi kar rahi ho unke sath..... maan lo ki tum unse door rah kar unhe apne bad luck se door kar diya par kya woh tumse door rah kar khush rah payenge.....'nhi' bilkul nhi kyuki unki khushi sirf tum ho, unka bhi ek atit hai jisse woh apne andar hi andar saalon se lad rahe hai,  unke atit ke ghav bhi tumhare ghav se kam gehre nhi honge par phir bhi woh tumhare sath ek zindagi bitana chahte hai toh tum bhi toh ek baar koshish kar ke dekho kya pata is wajah se kismat ka sara khel badal jaye aur tumhari zindagi mein naye panne jud jaye.....

Haseena smiled.

She was busy with her diary when she hear a knock on the door, she puts it on the bed and goes to open the door.

As soon as she opened the door, she was shocked to see the person standing in front of her.

HM-aap yahan kaise Mr.Singh......(she asked surprisingly).

AS-hum apna wallet bhool gye the bas wahi lene aaye hai......(he said with a smile).

HM-aapko teen ghante baad yaad aaya ki aap apna wallet bhool gye the.....(she asked questionably).

AS-woh thodi der pehle hi hume yaad aaya aur Dev ghar par tha nhi toh hum chale aaye......(he said smilingly).

HM-pakka aapka wallet yahin rah gya hai ya phir aap jhooth bol rahe hai....(questionably).

AS-hum kyu jhooth bolenge aur aapko nhi yakin toh jakar dekhiye wahan table par rakha tha humne.........

HM-aisa nhi hai.......

AS-aapko lag raha hai ki hum aapke ghar ke andar aane ke liye yeh sab kar rahe hai toh aap khud hi de dijiye hum darwaze se hi wapas laut jayenge aur aaj ke baad dobara kabhi aapko apna chehra bhi nhi dikhayenge.......(he said sadly).

HM-aisa kuch nhi aur aap andar aa jaiye pehle......

AS-nhi hum nhi aayenge, aap hamara batua dijiye hum yahin se chale jayenge......(he said sadly).

HM-theek hai rahiye yahan......(angrily).

AS-jab aap itna kah rahi hai toh aa jate hai bheetar prantu chai ke liye mat kahiyega bhale hi hum itni thand mein bike chala kar aaye hai......(he said with fake sadness).

He comes inside the house and Haseena closes the door.

HM-baithiye hum chai bana dete hai....

AS-hume nhi peena chai hum apna batua lekar chale jayenge aur waise bhi ab kis hak se hum aapse kahe ki Haseena ji hume bhookh lagi hai kuch khane ke liye bhi de dijiyega......(he said sadly).

Zindagi - The game of destiny✔Where stories live. Discover now