16. Parasite!

1.4K 186 59
                                    

12/21/2021

Those who don't use their brain at right time and overlook their heart's instincts later, fail in their life and live a life of parasite unknowingly.

12th April 1927

"Saudamini tum chalo mai aata hu." 

"Thik hai Anirudh! jaldi aana..... mai intzaar kar rahi hu tumhara room me."

Anirudh blinked at her, smiling.

When she left he asked his kaka why was he sitting in the dark and is sad.

"Anirudh tum jao, Saudamini intzaar kar rahi hai tumhara, iss ek mahine me kaam k baad sirf Samidha ko dekha hai tumne tab kuch nahi kaha humne par ab yeh nahi chalega, patni hai woh tumhari jao uske paas, tumhe samjhti hai isiliye shayad kuch nahi kaha, aur hamare jazbaat bhi samjhti hai isiliye tumhe us malin(obscene) jagah par jane se mana nahi kartii...isi.Isiliye.. tum.tum woh ", He shifted his gaze from Anirudh, his clutch getting firm on his walking cane.

"Isiliye kya kaka.....kahiye na", he turned his kaka at him. "aur mai janta hu Saudamini mujhe acche se samjhti hai isiliye woh bura nahi manegi aap kahiye kya kah rahe the aur itne dukhi Q hai aap, aaj toh khushi ka din hai dekhiye mere khilaf legal notices wapis le liye gaye hai."

"Anirudh hum khush hai, bahut khush hai par hum nahi chahte ki tum us vaishya ko aur zyada din entertain karo, hum nahi chahte ki tumhare parivarik jeevan ya kaam par koi bhi aanch aye iss vajah se isiliye beta jaldi se jaldi bas tum us ladki ko ek bar.....", TRC's pride lowered a lil on such request. "Samjh rahe ho na Beta! taki hamara vaarish milne k baad hamare parivaar k kisi bhi sadasyako uss gandi jagah ka muh na dekhna pade."

"Kaka! yeh kaise possible hai, woh mujhse lagbhag aadhe umr ki hai toh kya hua woh heeramandi me hai, iska matlab yeh nahi ki sirf aap logo ki iss demand k liye uske komal sharir (aur mann, he said inaudibly, growning on their ill fate) ko chalni kar du, mai use harm pahucha du, nahi kaka yeh mujhse nahi hoga, mujhe maaf kar dijiye."

"Anirudh! hum jante hai tumhare liye yeh aasan nahi hai beta par sirf ek baar apna noble character koalag rakh kar hamari baat maan lo qki hame nahi lagta agar woh ladki hath se nikal gayi toh tumhari dusri shaadi k bina hum apna pota dekh payenge.", Trilochan's emotional Blackmail.

"Kaka maine aapse pahle bhi kaha hai mai dusri shaadi kabhi nahi karunga aur yeh kaisi zidd hai ki aapko ek pota chaiye hi chaiye." he was clearly upset and tired. "Kaka, Mai bahut khush hu ki Som ki tino bacchiya healthy hai par sirf qki Samidha chal aur dekh nahi sakti aur na kabhi woh normal life ji payegi isilye aap chahte hai na ki us ladki se apna baccha lekar mera bhi vansh aage badhe hamare Roy Choudhary vansh k sath."

"Han aisa hi chahte hai hum, hamara vansh hamare bade bete k bete se aage badhe, aur tumhe woh baat manni hogi.", kaka raised his voice. " Aur han! Qki woh ladki koi heera nahi hai are woh ek vaishya hai aur tum nahi toh koi aur use uski aukaat bata hi dega, she will be warming someone eles's bed if not you!, kisi purane janm k kukarm  hi honge uske jo woh is janam me kitno haiwano ko santusht karegi, hum tumhari us life k bare me baat nahi karna chahte phir bhi jitna tumhe jante hai usse guarantee de sakte hai ki tum use sabse kam nuksan pahuchaoge, are yeh toh uska saubhagya hoga ki woh kisi kulin ghar k vansh ko janm degi, kya pata pure purane paap bhi dhul jayein uske.", His filthy remarks about Bondita's fate.

Anirudh clenched his fists behind his back on his kaka's insane remarks about anyone's life but like other family members he too will not understand him, he is still same senile orthodox typical Indian old man.

"Agar tumne aisa nhi kiya toh Tarabai apni shart tod degi aur zyada paiso k liye use kothe ki dusri ladkiyo ki tarah har raat kisi naye jism k shoukin ko bechna shuru kar degi Qki hum use apne pavitra ghar ko apavita karne k liye use kabhi nahi aane denge yaha, Shiv Shiv Shiv."

Love which is Blooming in a Brothel(Ongoing)Where stories live. Discover now