Worries

1.9K 154 10
                                    

After 2 hours both were wrapped inside a warm duvet entangled in each others arms. Haseena's head was on his chest. He was making invisible patterns on her shoulder.

Anubhav: Haseena hum aaj ka din aapke saath vyatit karna chahte hai. Hum kal jaayenge uske paas

Haseena: Aap apne boss ko bhi keh dijiye

Anubhav: Uski avashyakta nhi hai janna. Hum unhe iss mission ko complete hone ke baad sab bata denge. Yadi yeh mission successful huwa tab naa toh hum dono saath honge parantu saare officers ko yeh bhi yakeen ho jaayega ke pyaar kamzori nhi hai.

Haseena: Hum aapki puri madat karenge Anubhav. Waise unn Divorce papers ka kya?

Anubhav: Aap chinta mat kijiye, iss mission ke samapti ke baad hum unhe phaad denge. Hum sadev aapk saath denge Haseena.

Haseena: Hume bhi humesha aapke saath rehna hai Anubhav. Aapke saath bohot se pyaare lamhe bitane hai

Anubhav: Humare bacche honge. Phir hum aapni beti ke saath khelenge. Phir humara ek beta hoga. Hum uss dono ko vidyalay chodne jaayenge. Uske baad hum uss dono ko kaabil afsar banayenge. Phir humari beti ka vivah ho ga. Hum uska kanyadaan karenge. Phir humare bete ki shaadi hogi humari bahi humare ghar aayegi.

Haseena: Aapko nhi lagta aap kuch zyada aage ki soch rakhe hai

Anubhav: Future plaaning priye. Kyun na uski shuruwaat aaj kya, abhi se shuru kar dete hai

Haseena: Abhi aap so jaiye

She said while covering his eyes with her plam. He chuckled.

He closed his eyes, and pulled her closer. She too closed her eyes and hugged him tight. Soon, sleep took over them
______________________________________
The next day,
Anuseena were sitting in the car and driving towards the den if the devil. There was pin drop of silence in the car. Suddenly, Anubhav stopped the car in a bridge and went out.

Haseena came out of her trance and followed him. He was standing looking down to the river. His hands were on the railing and his back was facing Haseena. She went and kept her palm on his shoulder.

Haseena: Kya huwa hai anubhav?

He instantly hugged her.

Anubhav: Haseena hum aapko waha nhi le jana chahte hai. Woh aapko buri nazar se dekhega. Aapko galat tareeke se chune ki koshish karege. Hum nhi dekh paayenge.
Aur yadi yeh bhed khul gaya tab woh aapko kshati pohunchane ki koshish karege. Aapko maarne ki koshish karege.

He cupped his face.

Anubhav: Hum aapko nhi khi sakte hai Haseena. Hum nhi jee paayenge aapke bina

Haseena: Yeh aapke andar ka Anubhav, humara pati bol raha hai Anubhav. Ek baar IB Agent Anubhav Singh ke dimag mei jhak kar dekhiye.
Kya IB Agent Anubhav Singh aise darta.

He again turned towards the river. Haseena back hugged him.

Haseena: Hume apni jaan ki parwah nhi hai Anubhav. Humne jis din wardu pehni thi ussi din humari jaan ko desh ke liye saunp di thi.
Hume pata hai hume kuch nhi hoga. Hume aap pe pura bharosa hai aap hume kuch nhi hone denge.

Anubhav kept his palm on her hand which was wrappee around his chest.

After sometime, Haseena broke away.

Haseena: Chale?

Anubhav nodded. She started moving towards the car but stopped on hearing Anubhav's voice.

Anubhav: Haseena ji hum...... hum aapki jaan ki raksha karenge chahe kuch bhi ho jaye. Aapko iss mission se wapas lautna hi hoga. Hum aaye ya naa aaye

Haseena: Hum dono saath ne wapas aayenge ek saath, aur phir hum dono apni zindagi phirse shuru karenge na Anu?

Anubhav: Avashya. Aur iss baar hum koi bhi aisu galati nhi karenge jo hume aapse dur karega

He kissed her forehead. He let his lips linger there for sometime. After sometime they again started driving towards that place.

Anubhav's POV: Hum aapko kuch nhi hone denge Haseena. Aap humara dil hai. Aur hum apne dil ko kuch nhi hone de sakte. Rahul taiyaar raho bas kuch hi din bache hai tumhare paas. Uske baad hum tumhe tumhare har ek galati ki saza denge.
Haseena ko galat tareeke se chune ka, ammi ka accident karane ka, aur desh ke khilaf itni badi saazish ka, tumhe tumhare papo ki saza milne wali hai.
Itna kadi saza milegi tumhe ke uske baad koi bhi ladka kisi bhi ladki ke saath zabardasti karne ke chesta nhi karega.

He looked towards Haseena who was busy looking outside and then again diverted his gaze towards the road.

Kuch Toh Hai Tujhse RaabtaWhere stories live. Discover now