Morning :
Riya : Hello......
Avni: Hi Riya! kaisi ho.
Riya: Main bilkul thik hoon aur tum batao waha sab kaise hai.
Avni: sab thik hi hai lekin tumhe miss kar rahe hai.
Riya: Main bhi aap logo ko bahot miss kar rahi hoon.
Avni: toh phir kab aa rahi ho.
Riya: Yeh Ali ready ho tab na. Main subaah ke saath baje se taiyaar hokar baiti hoon.
Avni; Kya Ali bhi ajeeb hai jo tumhe itni jaldi utne diya.
Riya: Will you just stop it Avni?
Avni: Come on Riya tum mujse kuch nahin chupa sakti.
Riya: Bhul gayi tumse badi hoon.
Avni: thik hai ab jaldi se aa jao.
Riya: tum phone rakhogi tab main aaungi na.
Avni: bye and see u at home.
Riya: bye.
Just there Mithali enters Avni's room.
Mithali: Avni kisse baat kar rahi thi.
Avni: Riya se.
Mithali: Kaisi hai woh aur aa rahi hai na woh aaj.
Avni: Bahot khush dikhai de rahi thi. Bhagwan kare uske ristey ko kisi ki nazar na lage.
Mithali: Hmmmmmmmmm.
Avni: hmmmmmmmmm karti rehegi ya meri kuch help bhi karegi kitchen mein
Mithali: Kitchen aur main.
Avni: shut up aur chal mere saath saying Avni dragged Mithali towards kitchen
Now both are working in the kitchen.
Mithali; Kya bana rahi ho.
Avni: gajjar ka halwa.
Mithali: lekin Riya ko toh woh bilkul pasand nahin hai.
Avni: lekin muje.
Mithali: Avni yeh saaf saaf kyun nahin kehti ki Neil ko yeh pasand hai.
Avni (still in lost): Hamari pasand ek hi toh hai.
Mithali (teasing): Arrey Avni dekho zara jal gaya tumara halwa
Avni: kya aur kab
Mithali was laughing hard on her where Avni blushed away.
Riya and Ali enters Meheta mansion & Neelamaa sees them.
Riya (hugs Neelamaa): kaise ho maa. lagta hai ki aap toh muje bhul hi gaye.
Neelamaa: Kya kabhi ek maa apni beti ko bhul sakti hai kya?
Ali take blessing from her
Neelamaa : hamesha kush raho
Ali: kaise ho Neelamaa.
Neelamaa: Main bilkul thik hoon. tum batao kaise ho.
Ali: Bas dekhiye ek dum thik aap ke samne khada hoon.
Riya: Maa, yeh Avni aur mithali nahin dikh rahe.
Neelamaa: shayad dono kitchen mein hai.
Riya: hold on Maa, Avni aur mithali woh bhi kitchen mein!!! Lagta hai bahot hi badi kayamat aanewali hai.
Neelamaa: Aisa kuch nahin hai. Tumhare jane ke badh Avni ne waqai hi iss ghar ko is ghar ke kaam ko apna liya hai.
Riya: Main milke aati hoon, saying Riya enters the kitchen
Riya: hmmmmmm. ..........Khusboo toh bahot badiya aa rahi hai. Kya bana hai,, hearing her
Mithali: Riya tum. kab aayi.
Riya: Jab tum dono Kitchen mein kuch zyada hi busy the tab!!!
Avni: Aisi koi baat nahin. woh tum pehli baar maayke aayi ho shaadi ke baadh toh socha kuch meetha banaya jaye.
Riya: wow.....meetha....kya bana hai.
Mithali: Gaajjar ka halwa. khaogi kya.
Riya: waise muje pasand nahin hai lekin Avni ne banaya hai toh khana hi padega.
Avni: main abhi lekar aati hoon.
Riya takes first spoon in her mouth
Riya: Kya Avni isme toh koi taste hi nahin hai.
Avni: Kya Riya. Sach mein kharab hai.
Riya: yeh lo mithali chakh ke bata.
Mithali takes a spoon of it
Mithali: uuuuu.........yeh koi halwa hai. isme toh saara namak pada hua hai. Agar aise hi khana banati rahogi toh ek din Neil tumhe chodke chala jayega.
At a moment Avni gets tears in her eyes,looking her
Avni: tum sach keh rahi ho. Waqai main Neil ke layak nahin hoon.
Mithali(shocked) : hey Avni. Please roh mat. hum toh sirf maazak kar rahe the.
Avni: Haa Avni halwa waqai hi bahot achcha bana hai. Aur kismatwala hoga Neil jo usey tum mili ho.
Mithali: Aab yeh rona bandh karo aur yeh chakho.
Avni (takes spoon of it): Tum dono bhi na sach mein muje dara diya tha. Hey Riya Ali kahaan hai.
Ali: Jee yahaan while saying he was standing at the door
Mithali : hi Ali
Avni : tum kab aaye.
Ali : Jab tum log kisi ke bare mein baat kar rahe the.
Avni : hum toh kisi ke bare mein nahin. woh hum toh Halwe ke bare mein baat kar rahe the.
Ali : wow... halwa muje bahot pasand hai....kaha hai.
Avni : main abhi layi.
Avni gave halwa to Ali and he eats first spoon.
Ali : Bahot bura hua uske saath.
Riya : Kiske saath.
Ali : jiske liye yeh halwa bana tha.
Mithali : Yeh halwa aap logo ke liye bana hai.
Ali : kash yeh hamare liye bana hota lekin iski metaas toh kuch aur hi hai.
Avni : kaisi meetaas.
Ali : Neil ki.
Avni (shocked); Neil ki.
Ali : yeh duffer si shaakal banana chodo. woh maine aap logo ki baatein sun li thi.
Riya : thats a very bad habit Ali kisi ki baatein chup chup ke sunna.
Ali : thik hai toh main Neelamaa ko batane jaa raha hoon.
Mithali : good idea. main tumhare saath hoon Ali.
Avni : nahin Ali. main khud Maa se baat karna chahti hoon.
Riya : teek hai Avni lekin hum jab honeymoon se wapas aaye toh hume khuskhabari sunni chahiye.
Ali : warna main Maa ko.
Avni : guys trust me. i will talk to maa .
Ali : teek hai. Waise Riya hume dher ho rahi hai chale abhi packing bhi karni hai.
Mithali : yeh kya abhi abhi toh aap logh aaye ho.
Ali : Baadh mein aayenge. abhi toh Avni ke Neil ke bare mein pata karna hai.
Avni blushed and Riya and Ali left. as well Avni and Mithali left for the boutique
(Let's check back to Singapore)
Dd: Hi beautiful kaisi ho.
Shweatha : tum baaz nahin haaoge na.
Dd : kya karoon tumse hi sikha hoon.
Shweatha: aab yeh sab chod aur yeh bata ki tum dono ko waha gaye huye ek hafta ho gaya lekin tum logo ki koi khabar hi nahi.
Dd : Woh mom hum log bahot hi busy the.
Shweatha ; Kaam mein ya phir kahi aur.
Dd: nahin mom kaam main aur waise bhi aapka Romeo mujse itne kaam karwata hai ki pucho mat.
Shweatha ; Kaun Romeo .
Dd : Apna Neil mom.
Shweatha ; kya kaha tumne Neil aur pyaar .
Dd : haa mom aur aap bhi usey jante hai.
Shweatha ; Kaun hai woh.
Dd : Avni woh prachi ke shaadi wali.
Shweatha : Woh Avni. woh jo mumbai se aayi thi
Dd : plzzz mom aab aap lalita pawar mat banana. yeh dono ek dusre se bahot pyaar karte hai inko alag mat karna.
Shweatha ; Shut up Dd. Main toh khud yeh kehne wali thi ki muje Avni bahot pasand hai.
Dd: sach mom.you are too good mom. i love you.
Shweatha : haa, kash Avni jaisi ladki tuje bhi mil jaye.
Dd : no chance mom.
Shweatha ; Aab yeh bata Neil kaha hai zara usko phone dena.
Dd : jee abhi deta hoon and he goes to Neil's cabin.
Dd : yeh le mom ka phone hai bahot gusse mein hai.
Neil : gusse mein lekin kyun.
Dd : khud hi puch le.
Neil : hi mom. kaisi hai aap.
Shweatha ; Hi wi chod aur yeh bata ki tune muje phone kyun nahin kiya.
Neil : Woh mom main kaam mein busy tha aur waise bhi main aap logo ko bahot miss kar raha hoon iss liye yahaan ka kaam jitna ho sake uthana jaldi khatam karna chahta hoon.
Shweatha: teeke hai toh tum jaldi se waapas aa jao thaaki main tumhari shaadi karwa doon.
Neil (shocked): shaadi aur main.
Shweatha: Kyun apni mom ki baat ko nahin manega.
Neil : aisi baat nahin hai mom, main khud shaadi karna chahta hoon lekin.
Shweatha : lekin wekin kuch nahin maine ladki pasand karli hai aur tuje uski ke saath shaadi karni hai. and that is final.
Neil (worried): per mom meri baat suniyo toh sahi.
Shweatha ; tu suun raha hai na maine jo keh diya woh keh diya aab toh meri bahu banegi to sirf Avni.
Neil : no way mom.
Shweatha ; Kya kaha Avni nahin pasand hai tumhe.
Neil (was kind of happy shock): Mom aap ko kaise pata chala ki Avni aur main.
Shweatha : maa hoon tumhari. Aab yeh sab chodo aur jaldi se kaam khatam karke vapas aao aur muje meri bahu dedo.
Neil : Main bahot hi jaldi aa raha hoon. bas kuch hi din mom. Mujse bhi aap logo se durr raha nahin jata.
Shweatha; Humse yaa Avni se.
Neil : kya mom aap bhi.
Shweatha ; teek hai aab main rakhti hoon apna aur Dd ka khayal rakhna. Bye puttar.
Neil : bye mom.
Neil looked at Dd in anger tone.
Neil : aaj main tuje nahin chodunga. tumne hi mom ko Avni ke bare mein bataya na!!!
Dd : toh ismeim galat kya kiya. Waise tujse toh hota nahin toh maine socha kyun na tera rasta clear kar doon.
Neil : thik hai thik aab tu jaa aur muje bhi kaam karne de.
Dd was about to go when Neil
Neil : Hey Dd: Thanks yaar. mera saath dene ke liye.
Dd: aakhir hum dost hai. While saying this, Neil and Dd both hug each other.
(Back to Avni's office)
Mithali : Avni tumhe pakaa maloom hai ki Naira aanewali hai.
Avni: haa baba. abhi bas doh minute mein aati hi hogi when naira enters.
Naira: hi! mera naam Naira hai.
Avni: Hi i am Avni meheta aur yeh.
Mithali: Hi i am mithali sharma.
Naira: maine aap logo ko bata diya tha ki muje simple dress chahiye.
Avni: yeh rahe tumhare dress ki sketches.
Mithali: pasand aaye.
Naira: bahot hi. Kab tak milenge yeh muje.
Avni: yeh hi koi agle hafte.
Naira ; thik hai main chalti hoon agle hafte aakar dekh lungi.
Avni: bye Naira, nice to meet u.
Mithali : thank you Naira , bye take care.
Naira ; bye.
Mithali ; Avni lagta hai aaj maa ki dant khane ka din hai.
Avni : kyun aaj kya hua.
Mithali : Avni hum bhul gaye ki aaj woh Ragini pandit family hamare ghar pe dinner ke liye aa rahe hai.
Avni : Oh God! iss meeting ke silsile mein mere deemag se hi nikal gaya.
Mithali : Avni lets go we are getting late.
Avni: chalo.
Meheta mansion ::,
Avni and mithali enter their house.
Neelamaa, Ragini pandit, balu and of course Vidhyut are waiting for them.
Neelamaa: yeh lo aa gayi yeh log.
Mithali: sorry maa woh ek client ke saath meeting thi.
Ragini pandit: it is ok beta. hota hai, Waise manna padega tumhari betiyon ko Neela, Riya jo ki itni kam umar mein ek news channel ki wise president hai aur yeh dono ki khud ki itni badi fashion brand hai.
Avni : jee nahin aunty ji. Hunara koi bada business nahin hai balke ek chota sa boutique hai.
Ragini pandit : jisko pure india ke log jante hai. main har baar padti hoon tumhara article.
Mithali : thanks aunty.
Ragini pandit: Jaisi sochi thi waisi bahu payi hai humne Neela. itni badi business wali hokar bhi ek dum simple.
Mithali : Kiski shaadi.
Ragini pandit : Avni ki vidhyut ke saath.
At a moment hearing her,
Avni dropps down files that she was caring.
Avni (picks up the file); Excuse me . main abhi aati hoon. and she runs to her room
Mithali : main dekhakar aati hoon.
Ragini pandit ; Lagta hai sharma gayi.
Vidhyut just stares at Avni as usual.
(in Avni's room)
Avni was crying so hard when mithali enters.
Mithali ; Avni yeh sab kuch.
Avni : mithali , kyun upperwale se meri khushi dekhi nahi jati. Maine kabhi kisi ka bura nahin chaha toh phir mere saath. kyun kiya aisa usne. maine to sirf itna hi manga tha ki muje mere hisse ka pyaar mile. Mere hisse ki khusiyaan mile. muje mera Neil mile. lekin usse kisi ka achcha dikhai hi nahin deta. Kya mithali maine kuch jyada mang liya tha apni zindagi ke liye. batao na mithali; kuch toh bolo. tum kuch bol kyun nahin rahi
Mithali : Avni mere pass bolne ke liye kuch nahin hai lekin maine tujse joh vaada kiya tha shyaadh usey nibhane ka waqt aa gaya hai.
Avni hugs mithali & they both cry so hard.
Ragini pandit( enters her room) : Are yeh kya. abhi toh shaadi bhi nahin hui ki aap log abhi se rone lagi.
Mithali : nahin aunty bas aise hi.
Ragini pandit ; thik hai ab neeche chalo hum sab log tumhare khane pe intazaar kar rahe hai.
Mithali : aap chaliye hum aate hai.
Ragini pandit left the room
Mithali : Avni, tu sun rahi hai na main kya keh rahi hoon. tu abhi neeche chal. iss logo ke jane ke baadh hum Maa se baat karenge.
Avni : Kya maa maan jayengi.
Mithali : kyun nahin manege. aab tu yeh rona bandh kar. aur yeh kya tum hi toh kehti thi ki koi Avni ko uske Neil se alag nahin kar sakta toh aaj khud hi haar gayi. abhi yeh rone ka nahin balki ladai mein khada utarne ki baari hai.
Avni : shayd tum thik keh rahi ho. main jeete jee kabhi kisi ki nahin ho sakti kabhi nahin. Yeh Avni sirf Neil ki hai aur hamesha uska hi rahegi.Part - 9 Ends.,..........
Hi friends hope all well & good,,,, pls share ur views how was the update bcoz it's means to me a lot...se u soon byeee ❤️😘
YOU ARE READING
EHSAAS- A Feeling Of Love(AVNI❤️NEIL)
FanfictionKoi Itna Chahe Tumhe Toh Batana,Pyaar Toh Har Koi Ker Lega Tumse,Koi Meri Terha Nibhaye Toh Batana.... 🖤