Teen behno ko apne rakhwaale.. bahot pyaar se rakha krte...
Zafar , jiska general store tha jiski do betiyan , Aiman aur zainab thi... woh apni bhatiji fatima ko zyaada laad nhi krta tha... woh apni sagi aulad par zyaada tawajah.
deta .. fatime yeh dekh bht dukhi hojati aur ... apne baap ko aksar yaad krti..Zafar apni betiyo par kharcha karta aur une taleem hasil Karne school bhejta aur aage University bhi..zafar aksar tangi me rehta ya karobar na chalne ki fikr me woh kam se kam kharch apne ghr pe krta..
In sab se fatima bht dukhi hoti lekin.. apna dard khud me daba deti..
____________
Retired Dr. Imran Waleed ek bht Sacha aur dil dar insaan tha... jo apni bhatiji , iba ko bahot chahta ... aur use apne baap ki kami mehsoos na hone deta..
Ashar Waleed... abhi kch saal me wapas apne ghr aajayega..Iba aksar apne maa baap ko yaad krti . Use yeh ghum kahi saal se sataya jaaraha tha. Aur isi sonch me mubtela hokar wo dimaagi mareez ki shikaar bangai.. aur aksar neend se uthjaati... aur apne baap ko dhundne lag jaati...
Iba ki aisi halat dekh kar uska taaya bht rota... apne bhai ki bebasi yaad krta...
Apni bhatiji ko khareeb karta aur use baap ki mohabbat deta.. iba ki bimari ka ilaaj ..
Imran hi kar raha hai..Imran bahot alishan banglay me rehta...aur usse koi cheez ki kami na thi... iba ke Taya abbu aur Tayi ammi use jaan se bhi zyaada mohabbat karte..
________________
Irana .. apni phupu haleema ki beti ki tarah thi haleema ne irana ko bahot laad aur pyaar se Paala.... aksar haleema ke ghar fakhe hote.. lekin woh kabh irana ko bhooka sone nahi deti thi, chahe woh ek choti roti hi kyun na ho aur woh bhi bagair kisi salan ke, qoh uska bohat khayaal rakhti... aur irana ki har farmaish ka khayal rakhti.. irana apni phupu se bohat zyaada mohabbat karti thi, woh kuch mangti bhi nahi thi, woh bohat sharmili thi, uski phupu ne use ek maa ki tarah paala, jitna unse hosake use padhaya.
Haleema ke shohar hashim bohat mehnat karte the aur kisi na kisi tarah ghar chalate.. hashim bohat hi quddar admi the. Aur kyun ki unhe koi aulaad nahi thi woh irana ko apni beti jaise paalte aur usse bohat zyaada mohabbat karte the, unhe bohat gham tha is baat ka, ke ek choti si beti apne maa aur baap ko kho baithi,
____________________
Isi dauran.. Rehmat ko jail ke salaqon ke peeche band kardiya gaya..
Rehmat apni betiyo ki fikr me aksar roya karta...
Lekin kisi ko bataya nhi ke uski betiyan kahan hai kis haal me hai !!Gangster , maqsood abhi bhi lapata hai... aur uske kuch saathi bhi...
Saare saboot aur saara ilzaam Rehmat ke sar hai.. jo begunah hai
_________
°○°○°○°○°○°○°○°○°○°○°○°○°○°
[◇AFTER FEW YEARS..◇]
Aise hi chalte chalte 10 saal beet gaye aur ab hashim ka inteqal hockuka tha, haleema ki tabiyat bhi bohat kharab rehne lagi... aur jab irana 17 saal ki thi toh haleema ko ek beti paida hui thi, aur uski beti "kinza" ab 3 saal ki ho chuki thi... lekin irana ke haatho badhi hui...
Irana ab 20 saal ki hochuki thi.. aur usne taleem bhi hasil ki hui hai..Aur ab woh apni phuppo ki khidmat karti aur ghar bhi samalti.. aur kinza ka bhi khayal rakhti
Haleema ki jagah ab , irana apne pados me care taker ki haisiyat se .. khadijah ka khayal rakhne jaaya karti...
Aur woh khadijah ki man pasand ladki hogai.. khadijah use apni poti ki tarah mohabbat karti aur uske baataein sunti..
YOU ARE READING
"QURBAN"
General FictionStory of a poor father, who is trapped in gangster's evil case, who had no other option than to give away his three daughters to three different families...for their protection and safety.. three sisters face hardships and troubles living apart from...