Haleema ke inteqaal ko kuch hi din beete the ... aur haleema k shohar ka bhai , kinza se milne aata hai...jo chahta hai ke kinza iske sath rahe ...
Is baat par irana raazi nahi hoti hai lekin.. abaan iska faisla krta hai..
Ke aur sab kuch jaan partal krke woh kinza ko uske chacha k hawale krne taiyyar hojata hai.. aur haleema ka ghar aur property sab kuch kinza k naam krdeta hain aur us admi se kehta hai ke k aage is ghar k haq sirf kinza ko mile...Aur kinza ko apna saath le jaata hai...
^^^^^Aise hi kuch din beet gaye aur shaadi ke waqt khareeb aaraha tha...
Ghr me saare taiyaari shuru ho chuki thi ... mehmaan aana shuru hochuke the.. dulhan aur dulhe ko Mubarak baadi diye jaarahi thi..
Aur dekhte hi dekhte nikkah k waqt aagaya...
Jahan irana aur abaan behadd khush the... woh apni khushi izhaar nahi karsakte the..Ghr ke saare fard khushiyan manare the k itni khoobsurat Jodi Bandhan me bandhne jaarahi thi..
Imad ko yeh sab kuch koi khwaab se kam nahi lag raha tha... k uski dil ki baat ab zamane ko mlm hojayegi.. aur uski man pasand ladki ab uski humsafar banne jArahi thi .. yeh sab kuch jo ab tk horaha tha ... yeh in dono ko milne ka zariya tha.. har ek khadam har ek din irana ko abaan ke khreeb le aaraha tha..
Wahi irana ko bhi yeh koi khwaab se kam nhi lag raha tha .. k
Jis shaqs ke liye pehli baar dil behel gaya ... woh ek shaqs jiski awaaz se irana ko sukoon hasil tha. Ab woh poora ka poora uska hi mehram banjayega... aur poore haq se uska hi hoga..Is mhbt me sirf dili tadap thi... izhaar abhi baaqi tha.. mhbt abhi baaqi thi .. in dono ne kabhi ek dusre ko aanakh utha kar nhi dekha.. siwaye awaaz sunne ke.. aur yeh mhbt apne aap dono ke dilo me ghar kargai..aur iski aakhri manzil ab nikkah hai..■♡■♡
___☆☆THE 💑 WEDDING DAY ___
IRANA ki har taiyaari badi dil se aue khushi se ki gayi...
Har armaan poore hue
Aur dulhan ko sajaya gaya..
Irana laal rang k Lehanga pehni thi aur badi khoobsurat lag rahi thi..Apni shaadi par woh behaad khush thi lekin use bas ek hi ghum tha ke uski shaadi me uska apna koi na tha..
Irana aur abaan ka nikkah ghar me hi horaha tha..
Kya aapko rumana fatima binte Rehmat elbaaz barhaq Mehr 1,00,000 rupe .. par yeh nikkah qabool hai??
Abaan:"" ( Tears in eyes ) ji qabool hai..
Qabool hai?
Qabool hai!!
...
Kya aapko abaan hassan bin zayaan hassan se yeh nikkah qabool hai.
Irana:""(in slow tone) : qabool hai..
Irana aur abaan ka nikkah hochuka tha aur dono is safar ke liye taiyyar the...
Saare log dono ko Mubarak baad dete..aur ghr khushi se bhara hua tha..Function khtm hone ke baad saare mehman jaa chuke the...
Irana sab se pehle apni dadi jaan se milne Jati hai..
Khadijah:" Masha'Allah.. Mubarak Mubarak meri bachi... bahot pyaari lag rahi ho...
Allah tmahr har nazar se bachaye aur khushiyan tmhari jholi me daal de.... sada salamat raho tm aur Bera bacha abaan...Irana(rote hue) :"" dadi jaan aap toh mujhe chod kr nai jaayegi na.?
Khadijah:"" kaisi baatein kar rahi ho beta... aaj tmahra shaadi k pehla din hai.. aur tm aise Mayusi waale baatein lekar baith gayi..
Jab tk allah ne chaha mai rahungi tmhare saath ...
YOU ARE READING
"QURBAN"
General FictionStory of a poor father, who is trapped in gangster's evil case, who had no other option than to give away his three daughters to three different families...for their protection and safety.. three sisters face hardships and troubles living apart from...