chapter : 8

10 2 1
                                    

Iba apne raste chalte rehti hai.. Achanak uske raastay kuch admi aajate hain.. jo uske saath ched chaad karte hai...

Iba rone lagti hai aur madad ke liye chillati hai ke wahan ek buzurg admi Iba ki madad ke liye un admiyo par ghussa krta hai.. lekin woh log us becahre buzurg par bhi haath utha kar use raastey me Dhakal dete hain.. aur woh wahi padha rehta hai.. dusron se madad ki bheek maangta rehta hai.. , ke koi toh usse aakar uthaye .. Iba unlog se bachne ke liye waha se bhaagne lagti hai ... woh admi bhi uske peeche bhaagte hain...
Iba bhaagte bhaagte bahot door aajati hai aur ek bike se takra jaati hai...

Ashar raat ko paani peene neend se jaagta hai toh kitchen se hote hue room tk jaate hue woh Iba k room me dekhta hai... jahan ussay Iba nazar nahi aati..
Ashar bahot pareshan hojata hai.. aur saara ghr use dhoondta hai.. lekin woh nahi mil paayi

Ashar ghar se bahar hi jaa raha tha ke woh dekhta hai k gate ka lock already khula hai aur gate khuli padhi hai...
Woh bina waqt zaya kiye .. ghr se nikal jaata hai Iba ko talash krne..

Ashar ko Iba ki tabiyat ka andaza toh tha lekin uska depression use yahan tk le aaye ga yeh use Pata nahi tha..
Iba ko har jagah talash krleta hai.. lekin use woh nhi milti..
Tension ke maare ashar ka bahot bura haal tha ... ke is raat me aise ladki k gahyab hojana koi musibat se kam nahi..!!

///●●●●●●

Irana apne ghr wapas aajati hai aur haleema uske sab kuch bata deti hai ke abaan ne unlog ko dhoondliya aur woh kal hi unlog ko wapas lejaane aayega...

Iraana yeh sun kar bahot khush hojati hai... k abaan use dhoond kr yahan aagaya.. lekin woh dar b rahi thi ke wapas jaane k baad woh ghunde phir kahi uska peecha na kre..
Irana sab kuch samet rahi thi ...Sara Saman,, bahot khushi se ke ab abaan uska support hai...

Achanak se haleema ki tabiyat kharab hone lagti hai... aur irana apni phuppo ko dawai dekar araam dilati hai.. aur woh sojati hai...

Irana apne kaam khatam krke... firdaus ke ghr jaane k liye bahar aati hai aur woh dekhti hai k jo admi uske ghr us raat aaye the woh admi is mohalle me maujhood hai.... firdaus ke ghar k samne woh Ali khan se kuch baat kar rahe hote hain..
Yeh dekh irana pareshan rehti hai ke inlog ka is ghar se kya talluq hai..
Irana apne khadam rokleti hai
Aur wapas apne ghr chale jaati hai..

Kuch der baad jab irana wapas firdaus ke ghr jaane lagti hai toh woh Ali khan ko ghr se bahar jaata hua dekh kr wahi rukh jaati hai... aur uske jaane ke baad woh firdaus ke ghr k andar jaati hai..

Irana firdaus ka shukriya krne aur us ghar ke keys lautane wahan jaati hai .. kyu k kal woh is ghar se wapas apne ghar chale jaaye gi..

Irana:"" aunty aapka bahot shukriya k aapne hume rehne k liye makaan dediya...""

Firdaus:"" koi baat nahi beta ... tm jab tk chaho wahan rehskti ho""

Irana:"" iski zaroorat nhi hai aunty... kal hi mai wapas apne ghr jaaungi .. isliye yeh chaabiyan aapko lautane aayi thi..""

Firdaus""" kal jaaogi?? Lekin kaise.?? Akele kaise krlo gi sab"

Irana:""ji woo..__ ab-aba-abaan , mere padosi jiske ps mai care taker ka kaam karti hu , wahi hume yahan se kal lejaayenge..

Firdaus:" abaan"! Lawyer??

Irana:" j-ji !!

Firdaus:"" woh tmahra padosi hai??
Jo mere bete ki madad kar raha hai uske baap ko dhoond ne..""

Irana:"" mujhe nahi Pata kaunsa case.. aunty lekin ...

Firdaus:"" bada acha ladka hai.. bahot seedha Ali uske bahot tareef karta hai....

"QURBAN"Where stories live. Discover now