chapter 17

0 0 0
                                    


Abaan apne kamre se bahar aakar dekhta hai ke irana andhere lounge room mai tanha baithi thi, uska dil kaanp utha. Usne fauran light chalu ki aur irana ne dheere se uski taraf dekha aur phir wapas palat gayi.

"Irana?" Abaan uski taraf badhte hue use bulata hai.

Irana koi jawab nahi deti, uski nazrein zameen par thi. Abaan uske saamne table par baith gaya aur irana apna sar dusri taraf paltha leti hai.

"Kya hua irana? Naraz kyun ho?" Abaan ne narmi se pucha.

"Kuch nahi" irana madhmi awaaz mai kehti hai. Abaan ko samajh nahi aa raha tha ke hua kya hai.

"Irana please, batao mujhe kya hua, pehli baar aise udaas aur tanha bathi ho aap" abaan ki awaaz mai fikr thi.

Irana uski taraf dheere se dekhti hai, aur use dekh kar woh madhmi awaaz mai kehti hai, "aapke liye khaana laga doon?"

Abaan kuch der chup raha, aur phir bola. "Irana? Mai aapse puch raha hoon udaas kyun ho"

"Mai ne kaha na kuch nahi hua hai, nahi hoon mai udaas" lekin uski awaaz tut gayi aur ek aansu uske gaal par girne laga, irana ne jaldi se use saaf kar diya.

Abaan ki nazar uski aankhon se girne wale aansoo par ja takri, uske dil mein dard ka ek tazabda lehza goya, aur uski aankhon mein uski peeda ko kam karne ki bepnaah tamaanna jag uthi.

"Irana, sab khairiyat? Please batao mujhe kyun ro rahi ho?",
Irana ne sar utha kar uski taraf dekha aur phir tut ti hui awaaz mai boli..

"Abaan, mujhe aise nazar andaaz mat kare, ma..mai sirf khaane ka puchne aayi thi" aur phir woh rone lag gayi, abaan ka dil kaanp utha, usne soncha tak nahi tha ke yeh is qadar ro bhi sakti hai.

Abaan ne uska haath apne haath mein liya, "irana" aur bas woh aur kuch bhi nahi keh saka, uske paas alfaaz ki kami hogayi. "Ma..mai maafi chahta hoon, mai ne zyaada dhyan nahi diya tha, mai maafi chahta hoon"

"Aab ne jaan ke nahi kiya?" Irana ne phir narmi se pucha. "Nahi, irana mai kyun jaan ke nazar andaaz karunga aapko?" Abaan ki ankhon mai ab paani tha joh woh rok raha tha.

"So..sorry abaan, mai aapse maafi chahti hoon! Maine aapko galat samajh liya-" woh keh hi rahi thi ke abaan uski baat kat kar bola, "koi zaroorat nahi hai aapko maafi mangne ki, meri galti thi mai maafi maangta hoon irana".

Irana halka sa hasi aur boli, "ab hum yahan maafi mangte hi baithe ya jaakar khana kha lein?", abaan phir ek badi si muskurahat de kar utha aur kitchen ki taraf badh gaya, irana uske peeche hairani mai badhi,

"Aap kitchen mai kyun jaa rahe hai?" Irana ne hairani mai sawaal kiya, "kyun? Mai nahi ja sakta?" Abaan ne haste hue jawaab diya.

Abaan saara khaana serve karta hai aur irana wahan khadhi use batati jaa rahi thi ke kya cheez kahan hai. Aur phir dono ne dining table par apna dinner serve kiya aur saath baith kar khaane lage.

__________________________________

Fatima apne ghar mai baithi chai pee rahi thi, tabhi uske ghar par kisi ne dastak di, woh apna pyala rakh kar dupatta se khudko dhanp kar darwaza kholti hai, jab woh bahar dekhti hai toh uska dil ghabra uth ta hai aur uski aankhein phati ki phati reh jaati hai,

"Chalo" usne sakhti se fatima ko bola. Fatima ke haath kaanp rahe the "le...lekin-", woh uski baat kaat kar phir se kehta hai "mai ne kaha chalo", fatima phir halka sa sir hala kar kehti hai "j..ji chacha".

Fatima apna saara samaan le kar wapas aati hai aur zafar uska haath sakhti se pakad kar use bahar le jaata hai aur wapas apne ghar le aata hai.

Woh dono jab ghar pohanch te hai toh wahan zainab aur aiman khade the. Fatima andar aati hai aur zainab ke paas khadi ho jati hai. Zafar phir cheeq kar fatima ko kehta hai.

"Apni shaadi ki liye tayar raho, samjhi" aur fatima ka dil kaanp utha, woh zafar ko khauf mai dekhti hai, zafar uski taraf dekhe bagair hi andar chala jaata hai, fatima fauran se us kamre mai chali jaati hai jahan woh raha karti thi, jaise hi woh andar dakhil hui toh woh dekhti hai ke us kamre mai ab unka saara purana samaan padha hua tha.

Woh wahi neeche baith gayi aur apne munh par haath rakh kar rone lag gayi.

"Me..mere ba..baba nahi hai, is..isiliye mere saath a..aisa kar rahe hai", use uske baap ka gham khaya ja raha tha. Uske baap ke aakhri alfaaz uske dimaag mai bar bar aate ja rahe the.

"Mujhe maaf kardo beta, mai majboor hu mai kuch nahi kar sakta siwae tumlog ki hifazat ke, baba ki yaad aaye to allah se ro ro kar dua maangna"

Fatima uthi aur theek waisa hi karne lagi jaisa uske baba ne kaha tha, woh Allah ke saamne gidgidakar rone lag gai, uske aankhein phool chuki thi, uske aansu rokne ko tayyar nahi the,

Use samajh aagya tha ke zafar uski shaadi apne faide ke liye karwana chahta hai, "ya allah, me..mere baba ne ch..chacha ko mera kh...khayal rakhne ke mu..mujhe diya tha, le...lekin woh kyun-" woh phir zor se rone lag gayi, tanha, akeli apne kamre mein, uske haath kaanpte hue, uski awaaz aur chehre par takleef, kitna muskil hai bagair baap ke zindagi jeena.

aur phir woh bejaan si wahi jainamaz par let gayi aur roti roti sogayi.

Woh neend mai bhi yehi badbadati jaa rahi thi, "ya allah, mere baba, me..mere baba" uske aankhein band thi lekin ansu ab bhi gir rahe the.

Dheere dheere woh ek gehri neend mai chali gayi.

Jab woh uthi toh saare kamre mai andhera tha, usne apna chehra saaf kiya aur paani peene ke liye kamre ke bahir chali gayi, jahan bilkul khamoshi thi.

Usne phir ghar ki light on ki aur kitchen ki taraf badh gayi, usne thanda paani piya aur ek lambi saans li jaise use kaafi arse ke baad sakoon hasil hua ho.

Use bhook bhi lagi thi lekin woh dar rahi thi ke kahin koi dekh le toh use kuch nahi milega, woh kitchen ke bahar aayi aur bashinda khana ki taraf badhi, wahan bhi koi nahi tha.

Tabhi achanak ghar ka darwaza khula aur zafar aur uski do betiyan ghar ke andar aayi. Aiman fauran se andar chali gayi aur zainab bhaagti hui fatima ke paas aayi, "fatima? Tumne kuch khaaya?" Uski awaaz mai fikr thi.

"Na...nahi" usne dheere se kaha, "kyun? Tumhe bhook nahi lag rahi?" Zainab ne uske kaandhe par haath rakhte hue pucha. Fatima zafar ki taraf dekhti hai joh sofe par araam se baitha tha aur phir zainab ki taraf palat kar kehti hai "La..lag rahi hai".

"Chalo mere saath, abhi tum khaana khaogi" zainab ne use kitchen ki taraf le jaate hue boli, fatima peeche mudh kar zafar ki Taraf dekhti hai jisko koi fark hi nahi padh raha tha, yeh tak kabhi nahi pucha ke usne kuch khaaya ya nahi.

Zainab ne fatima ke liye khaana liya aur fatima ke kamre mai le aayi, "tumhara shukriya zainab" fatima muskurate hue boli.

__________________________________

کہانی کی دھار جاری ہے...

کہانی کی دھار جاری ہے

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
"QURBAN"Where stories live. Discover now