Abaan khadijah ki mayyit ghr le aata hai.. aur baaqi sab log ghr aajate hain.
Aur janaze ki tayyari me tamam khawateen masroof thi. Abaan ne bahot himmat juta rakhi thi.. aur apne aansu ko behene se paband krdiya tha..
Irana phir Ek baar apni saari koshish laga deti hai.. aur saare ghr is din Shambhal leti hai..
Amena ka ro ro kar bura haal tha.. use yaqeen nahi aaraha tha k khajidah unhe chod gayi..Irana ko bada dukh tha .. lekin khuda k faislay k aage koi kya krskta tha? Irana k aankh se aansu toh jaa rahe the lekin.. un asnsu me koi shikwa chupi na thi.. usaay apni dadi ki har pyaari baat yaad aane lagi ...
Saara mahol udaas tha sure log ghumgeen the. Ab waqt aagaya tha ke khaidjah k janaza le jaaya jaaye..
Saare khawateen ko andar bhej diya gaya aur tamam mard Andar aagaye.. abaan aur uske kuch saathi aage aakar khajiah k mayyit ka dole ko kandha diya aur use masjid se khabarstaan me tadfeen krne lagaye..
Yeh sab krne abaan ki saari himmat tuth chuki thi.. bedil aur bejaan hokar abaan ne saare riwaj tamam kiye..
Abaan ke annsu behte jaarahae the .. us ne soncha na tha itna jaldi woh apni dadi ko khud khabar me utare ga.. unke janaze ko kadha dega!! Aur unke bina khush rehske ga!!
Ab abaan ki himmat tuth chuki thi.. woh andar se khaali hochkuka tha.. isi bebasi aur behaali k sath raat ko woh wapas apne ghr aaya..
Is waqt tak saare mehman jo janaze me shareek the , sab jaa chuke the.. aur amena akeli baithi khajidah k room me ro rahi thi.. aur irana sab k liye khaane ki tayyari kar rahi thi kyu k kisi se kuch khaaya na tha.. aur irana sab ko himmat aur hosla dena chahri thi..
Abaan aakar apni maa k sth us kamre me baith kar apne maa k gale lag kr ro raha tha
Aur irana wahan paani le kar aati hai.. aur abaan ki aisi haalat dekh kr irana ko bardahst na hua.. ussay dekha nahi gaya abaan ki aisi haalat aur uske aansu...
Phir bhi woh abaan ke khareeb ayi aur use paani k glass diya..
Abaan dard bhari aankho se irana ko jaise dekha.. uske aansu Tham gaye..Abaan ko bilkul khabar nhi thi.. ke irana maujood thi uska saath banke uski diwaar banke..
Abaan ne irana k haath se paani ka glass liya.. aur irana ko hi dekhta raha.. ussay dekh abaan ki himmat jaise judh chuki thi..Abaan ne irana se pucha : " kya tmne khaana khaaya"?
Irana "" : ji nahi abhi hum sab saath khaayenge..!!
Abaan:"" tm khaalo mai apne kamre me jaa raha hoon"..
Irana :"ab- abaan lekin!!??
(Abaan waha se chala jaata hai)
Aur irana apni maa amena ko badi mushkil se khilati hai aur unhe hosla deti hai.. aur unse badi der baatein krti hai. Aur unhe sula kar irana apne kamre me abaan ke liye khaana le jaati hai..
Irana ke aane tk abaan jayenamaz par baitha khuda se duain maangraha tha.. aur rokar apni dadi k magfirat ki fariyad kar raha tha..
Irana kuch der wahi bed par baith ti hai.. aur abaan ne jaise hi apni dua poori ki usne palath kar iraana ki taraf dekhta hai aur use apne paas aakar baithne ko kehta hai..
Irana abaan k ps uske khareeb aakar jayenamaz par baith ti hai aur abaan irana ke samne himmat haar kar rote hue uske godh par sarr rakh ke lait jaata hai..
Irana abaan ko aise paake badi hariaan thi..
Aur abaan k sarr par apna haath pher rahi thi.. aur use samjha rahi thi k ab rab k faislay k aage raazi hojayein aur tasleem krle..
YOU ARE READING
"QURBAN"
General FictionStory of a poor father, who is trapped in gangster's evil case, who had no other option than to give away his three daughters to three different families...for their protection and safety.. three sisters face hardships and troubles living apart from...