Irana khajidah se lipat kar behad roti hai..
Khadijah use dilasa dilwaati hain ke woh hamesha uske saath rahegi aur apni poti jaisi usse mhbt kregi...Khadijah irana ko dekh kar bahot khush hojati hai... k ab irana uske ps wapas aagai hai.. aur sahi salamat hai ..
Amena bhi bahot khush hojati hai ke irana unke ps sahi Salamat se aagayi hai ...
Irana kinza ko fresh kar rahi thi..
Aur abaan apni dadi se irana se nikkah ki baat krne hi waala tha ke khud khadijah samne se yeh baat boldeti hai aur abaan se request krti hai ke woh irana ko apni biwi banaye..
Khadijah:"" bete.. ab mai jo tujh se kehne jaarahi hu.. tu bahot ghaur se sunna aur hoske toh ispe amal b krlena..."
Abaan:"" ji dadijaan bataiye""
Khajihah:" tujhe toh sab Pata hai ke irana beti kaisi hai , bahot khush aqlaaq , samjhdaar, aur pyaari beti
Abaan:"" ji jaanta hu""
Khadijah:"" beta mai chahtiun tu uska sahara banja... mai use yun nahi chod skti.. mujhe yaqeen hai tu yeh khawiash meri poori krdega.. beta use akele mt chodna.. uska hamare alawa koi nahi hai...!!
Abaan:(with tears in his eyes) :" dadijaan mai b aapse kuch kehna chahta hu
Khadijah:"" bolo
Abaan:"" mai khud aapse is baare me baat krne waala tha... Maine faisla krliya tha ke mai nikkah irana se krunga... uspar reham khaa kar ny dadijaan..poore mhbt aur izzat se usse nikkah krunga..
(Yeh sunkar khadijah bahot khush hojati hai aur abaan ko dher saari duaein deti hai... aur amena se baat krke yeh nikkah bahot jald krne ko kehti hai... )
Amena b is Khabar se behadd khush hojati hai k sab ki man pasand ladki , irana ab is ghar ki bahu banegi aur abaan ki biwi..
Irana se behtar abaan ke liye aur is ghar k liye koi ladki ho hi nhi skti thi...Abaan irana k awaazein sunta hai.. jo woh kinza k saath baatein kr rahi thi...
Aur sonchta hai ke ..."bahot jald yeh awaaz mere kaan tk bahot paas se jaayegi .. yeh bolne waali bhi mere khareeb hokar baat karegi .. uski awaaz mai mehsoos aur khreeb se sun sakunga... " ❤Khadijah irana ko apne paas yeh khush khabri dene bulati hai..
Khadijah:"" meri bachi, irana aj mere dil ko chain aagaya hai.. kyu k Maine Tera haath abaan ke haathon me saunpdiya..
(Yeh sunkar irana ki rooh jaise kaam uthi.. use Pata nahi chal raha tha k yeh khushi se hai ya darr se ..
Uski aankho se apne aap aansu behna shuru hogaye..!! Use aisa lag raha tha k uska dil baith gaya ho.. dil bhaari hogaya ho...
Aur woh yeh sonch rahi thi ke shyd allah ne yeh khamosh aur chupi hui uski mhbt ko nikah tk pahonchadiya .. aur abaan ko uska Naseeb banadiya )...Khadijah:"" kyu roti ho beta!! Mai hu tmahre saath... aur abaan .. use tou tm jaanti ho k mera beta hira hai aur tm uske saath jab khadi hogi toh tm dono ek saath chamkoge "
Beta , is rishte ke liye Haan krde...
Abaan ki pasand toh tu waise b hai.. usne aaj mujhe bataya k woh khud tujhse nikah ki baat mujh se krne waala tha... mere dil ko tasalli milgai. !!(Yeh sunkar , irana hairan hogayi ke .. abaan bhi use chahata tha.. yeh mhbt ka use ab tk ilm nahi tha aur andar hi andar irana bahot khush horahi thi.. k use abaan jaisa shake milne waala hai.... )
Irana:" ji dadijaan mai raazi hu"
●●●●●●●●●●●●●
Ashar Iba ko lekar ghar pahoch jaata hai aur iba ke bedroom me use lejaakr uske bed pe lita ta hai..
YOU ARE READING
"QURBAN"
Narrativa generaleStory of a poor father, who is trapped in gangster's evil case, who had no other option than to give away his three daughters to three different families...for their protection and safety.. three sisters face hardships and troubles living apart from...