Abaan pareshani se irana ko dhoondne nikalta hai...har jagah chaan been krta hai lekin..use dhoond nhi paata ...
Woh apne ghr wapas aajata hai..
Amena :""" abaan..itni late aur mera phn kyu recieve kyu nhi kiya?? Kahan the beta tm??
Abaan(udaasi se) :"" aapko kuch bata kar gayi hai irana .. apna ghr chod kar..
Amena:"" kya?? Iraana ?? Kahan gayi wo..
Abaan:"" Pata nahi ammi.. bas use hi talash kar raha tha...
Khadijah:""meri bachii!! Kyu chale gayi.. kisi se kuch kaha b nahi usne
Abaan tu kuch bhi krke iraana ko dhoond la... akeli jawan ladki kahan bhatak rahi hogi... uske saath kuch bura na ho..
Abaan:" ji dadijaan mai koshish kar raha hu...
(Abaan ko bahot takleef ho rahi thi.. k irana kis haal me hogi.. akeli kaise guzara kar rahi hogi..
Abaan ab iraana ko behadd chahne lagta hai aur usi se nikah ki khwaish rkhta hai..
Woh allah se ro ro kar dua maangta hai k jahan kahi b iraana ho woh apne aap rasta batade...___//////_______________
Agle din Ali khan zafar k ghr jaata hai..
Zafar:"" kuch Pata chala tmhe"?
Ali khan:"" nahi.. lawyer abhi tmahre ghar aayega kuch use puch taash krni hai..
Zafar:"" mujh se aur kya puchega bhai??""
Ali khan ko abaan call krke batata hai k woh wahan abhi NHi aasakta ... aur kehta hai ke agle din zafar k saath office aajao..
Ali khan yahi baat zafar ko bata ta hai...
Zafar:"" tmhe koi ghum nhi agar tmahra baap pakda jaaye..??
Ali:"" mai yahan pehle bhi keh chuka hu..
Zafar:" tm kaise krkste ho apne baap k saath aise??
Ali:""" log apni bhai ki bachon k saath bura pesh aaskte hai.... toh mai kyu ghalat kaam me apne baap ke khilaaf nhi jaaskta..
Zafar(khamosh hojata hai)
Zafar:"" fatima !!! Fatima..
Fatima""": ji chacha jaan..
Zafar:"" dekh nahi rahi.. kab se Ali khan aaya hua hai... chai toh bana lao isse
Fatima":(sharmate hue) ji abhi laayi
Ali:"" iski zaroorat nhi hai... "" bas ek glass thanda paani piladijiye... kaafi hoga..
Zafar:"" arey bhai paani kyu... chai...!! Chai banadegi Fatima
Ali:"" kaha na nahi chahiye..
Fatima Ali ko paani deti hai.. aur uske haath kaanpte dekh Ali use kehta hai..
Ali:"" mai jaisa dikhta hu waisa hu nahi... chacha aap ghabrao mt.. daro mt mujhse ...
(Fatima sharma kar waha se chale jaati hai... Fatima ko ab Ali se mhbt hona shuru hojati hai.. lekin Ali se mhbt krne se Fatima ko darr tha..
Use Pata nhi tha k Ali uske baap k qaatil ka beta hai..)_______________________
Iba.. depression ka shikaar thi aur uski is bimari me mazeed izaafa horaha tha.. use har jagah apna baap nazar aata... apni behno k awaazein uske kaan me goonjti rehti....
Iba akele me yeh Jang khud se ladti rehti...
Is dafa uske khayal aur sonch uska saath dena chod dete hain..
Woh khud me cheeqti chillati...
Aur apne ghr se bhaagne ka faisla krti hai...
Use ghuntan se azaadi chahiye thi.. uska dard is ghr me aur badhta jaaraha tha.. woh aur is mushkil ka hissa nhi banna chahti thi..
YOU ARE READING
"QURBAN"
Ficción GeneralStory of a poor father, who is trapped in gangster's evil case, who had no other option than to give away his three daughters to three different families...for their protection and safety.. three sisters face hardships and troubles living apart from...