Iba ko wapis se police station bulaya jaata hai..
Lekin is baar iba ko ashar se milne ki ijazat nahi hai..Iba fauran se station chali jaati hai. wahan usne officer tameem se mulakhat ki.
"mam aap ashar sir se aaj mil skti hai, lekin bas officer ramez ko pata naho chalna chahiye. aapki haalat aur majboori dekh kar mai aapki madad karna chahta hu" tameem ne narmi se bola.
Iba ki simt e rukh par sakht khushiyon ki chamal thi " kya waakhe?? Aap unse milwayenge
Tameem ka dil dard se jhunjhla, jab usne iba ka shohar se mulaqaat ka utsah dekha "koshish zaroor krskta hu. aab bas yahi thoda sa intezaar kijiye"
Iba ki aankhein bhar aayi, "aapka bohat shukriya."
________________________
Amena kitchen mai daqil hui jahan irana kaam kar rahi thi "irana beta, abaan aaj mujh se mile bina hi daftar par chala gaya?"
Irana amena ki taraf mukatib hokar boli, "ji ammi, woh bade pareshan the aur jaldhi me chale gaye"
Amena halka sa muskurate hue boli, "Haan mera beta, us par saari zimmedari jo hai."
"mai aapki baat karwadu unse"? Irana ne narmi se pucha.
Amena ne sir na mein halaya aur boli "nahi beta, wo ghar aajayega bas phir mai baat karti hoon"
Irana ne uski taraf muskurate hue dekha aur puchi, "aapke liye chai banadu ammi?",
"Nahi, beta tum araam karo bohat der se kitchen mai khadi ho" Amena bohat narmi se bolti hai.
__________________________________
-DAFTAR MEIN-
Abaan Ali khan ko apne office bulata hai
"Ali, muamla abhi haath se bigad ta jaarah hain.", abaan ki awaaz madhmi thi, tanaw se bhari hui thi.
"lekin hua kya hai?" Ali ne hairani se pucha.
"Agar hum waqt par aapke walid ko nahi dhund sake, toh na jaane kitne log aur tabah hojaenge"
"aap mujhe bataiye, hua kya hai? kaisi pareshani?" Ali ne pucha.
Abaan ne ek lambi saans li aur bola "ashar! Jo dubai jaane ke liye nikla tha, use kuch gundo ne giraftaar karwadiya uspar jhoote cases ka ilzaam laga kar!! Aur Abhi woh jail me Hai."
Ali is baat ko sunkar hairan reh gaya "kya!! lekin yeh kaise hua? Ap toh jaakar madad karskte hai na ashar ki!!"
"Haan lekin mai majboor hoon!! Mai nahi karksta yeh, is tarah use aur mushkil hogi. Pata nahi uski family kaise sab bardash kar rahi hai"
Ali ne kuch sonch kar jawab diya
"Mai unke ghar jaata hoon. aur saara mamla batata hoon.. unki pareshani ko halka karne ki koshish toh kar hi sakta hoon, aakhir mere hi baap ki wajah se itna sab kuch tabah hogaya"Abaan ne use kuch der dekha aur phir bola "theek hai, jaisa aap sahi samjho ali khan"
Ali khan wahan se chala jaata hai, abaan apna sar apni kursi par sar rakh kar araam paane ki koshish ki lekin iska koi faida nahi hua,
"Yaqeen nahi aata, itna khatarnaak case meri zindagi mai pehli baar aaya hai, ek aadmi lapata, maqsood ki wajah se uski zindagi tabah hona, ek baap ka uski betiyon se juda hona, Allah jaane woh betiyan kahan hogi, kis haal mai hogi, kaise bagair baap ke jee rahi hogi. Mera toh sonch kar hi dil ghabra jaata hai lekin woh toh seh rahi hai, unhe pata bhi nahi hoga ke unka baap kahan hai, zinda hai ya nahi"
__________________________________-THANE MEIN-
Iba waiting mai baithi thi, tameem wahan wapis aata hai. "madam, kuch hi der me ramez sir aate honge. Unse baat karke mai aapko batata hu."
Iba ne fauran se jawab diya, "ap please ek dafa meri ashar se baat karade"
Tameem khamosh hogaya aur wahan se chala gaya. Iba kuch aur wahin intezaar karti hai, aur phir wahan ramez aajata hai, saare officer's uske aas paas khade hokar usse baat kar rahe the.
"Kuch saaf dikhayi nahi de raha kaun hai, Shayad yehi ramez sir hai, mai baat karti hoon"
Iba uthti hai aur kuch khadam doori par khadi hokar awaaz deti hai "e..excuse me" aur phir ramez uski taraf dekhta hai, "mujhe mere shohar se milna hai" woh apna niqab seeda karti hui kehti hai. "Aapke shohar kaun hai?" Ramez ne sakhti se sawaal kiya.
"Mere shohar ASHAR WALID hai" ramez apni aankhein phaad kar iba ki taraf dekhta hai aur phir kehta hai, "aapko mai ijazat nahi de raha apne shohar se milne ki"
Iba ko gussa aajata hai, "kyun? Kyun nahi mil sakti mai apne shohar se?"
"Kyunki mai keh raha hoon, follor my order or get out now!"
"Sir, aapko samajhna chahiye, woh mere shohar hai unko kyun aaplog unki begunahi ki saza de rahe ho?" Iba sakhti se puchti hai.
"Security, bahar nikalo is aurat ko yahan se"
Isse pehle ki iba kuch kehti usko kuch officers ne dhamki de kar wahan se nikal diya.
Iba roti hui wahan se wapas chali jaati hai.
__________________________________کہانی کی دھار جاری ہے...
YOU ARE READING
"QURBAN"
General FictionStory of a poor father, who is trapped in gangster's evil case, who had no other option than to give away his three daughters to three different families...for their protection and safety.. three sisters face hardships and troubles living apart from...