chapter 16

0 0 0
                                    

Iba apne kamre mai thi, woh bas yahan se wahan kamre ke chakkar laga rahi thi aur apne dupatte se uljh rahi thi.

"Kya zaroorat thi ashar ko wahan jaane ki? Aur....aur woh sadiyal aadmi khamaka ashar ko phasa liya! Ab mujhe mere shohar se milne ki bhi ijazat nahi de rahe, duniya kitni zaalim hai"

"Beta iba?" Mumtaz ne andar aate hue kaha. "Ji tayi ammi?"

"Beta lunch ready aur tum ab tak neeche nahi aayi?"

"Haan tayi ammi, bas .... aa hi rahi thi" usne halki si hasi dete hue jawab diya.

Mumtaz wahan se chali jaati hai, "ashar ne kuch khaya bhi nahi Hoga, aur yeh jaan kar mere halaq se ek niwala bhi nahi utrega"

Woh neeche chali jaati hai aur mumtaz ke pehlu mein baith jaati hai. Mumtaz use nahar peish karti hai.

"Tayi ammi, bas mai isse zada nahi kha sakti" iba ne nazrein jhuka te hue bola. Imran ko yeh baat ajeeb laga.

"Iba beti? Sab khairiyat?" Imran apne abru uthate hue puchta hai.

Iba yak dam se jhapakti hai aur dheere se apna sar utha kar imran se nazrein milati hai, "woh ta..taya abbu mai kuch kehna chahti hoon" woh apne nazrein neeche kar apni ungliyon se khel rahi thi.

Imran ko apne dil mai ek ajeeb se be-chaini mehsoos hui. "Bolo beta? Kya baat hai?" Imran ne narmi se pucha.

Jab iba bolne ke liye apna munh kholne lagi toh uske aansoo azadaanah taur par uske gaalon par girne lage.

Imran ka jaise dil ghabra utha, mumtaz ne kabhi iba ko aise nahi dekha tha.

"Iba, mujhe dar lag raha hai beta, batao kya baat hai?" Mumtaz ki awaaz mai kasheedgi thi.

"Wo...woh, tay...ashar" aur bas, jab usne ashar ka naam liya toh woh rone lagi.

"I..iba? As..ashar ko kya hua? Mera bacha" kasheedgi mumtaz ki ankhon mai wazeahat tor par nazar aa rahi thi.

"Taya abbu, as..ashar jail mai hai, wo..woh wahan apni begunaahi ki saza kaat raha hai" unhe samjhate hue uski awaaz mai larzah aa raha tha.

Imran aur Mumtaz ka dil uski baaton par dharak utha, unke kaan yeh sun kar yaqeen nahi kar sakte ke unka beta apni begunaahi ki saza kaat raha hai, aur yeh unke liye sab se bada khaufnaak khwab tha.

______________________________

Abaan apne kitab khane mai baitha hua tha.

Kamre mein madham roshni thi, kutub ke khushboo kamre mein pheli hui thi, pardian badi khidkiyon ke bahar se aane wali halki hawaon ki wajah se lehraein le rahi thin. Woh arm chair par baitha tha, uska sar arm chair ke oopar tika hua tha, jaise tanawo aur dard se bhagne ki koshish kar raha tha.

Usne ek lambi saans li aur phir uth khada hua, tabhi amena andar aati hai,

Woh bahut kamzor dikhai de rahi thi, uske chehre ka izhar be hiss tha aur chehra bahut peele rang ka tha.

"Ammi, aapne khaana khaaya?" Abaan ne apni maa ki taraf nazrein paltha te hue pucha.

"Haan, khaaliya" usne narmi se jawaab diya.

"QURBAN"Where stories live. Discover now