Scene continues.......
After Rajveer came back from his shower...what he saw...made him angry.
Divya was sitting and sobbing dramatically with minimum 20 potatoes...half peeled infront of her.
Rajveer(irriated): Yeh kya kar rahi hain tu?
Divya(sobbing): Dekh na....mujhe chot lag gayi.......kitni badi chot hain......
Rajveer(irriated): Arrey dikhai bhi nahi de rahi hain teri chot. Itni choti si chot par tu ro kyun rahi hain?
Divya(sobbing): Chot toh chot hoti hain yaar....choti badi ka kya matlab hota hain? Caste ya gender thodi hain?
Rajveer(irriated): Chal maan liya ki chot lagi hain tujhe bohot badi jo ki dikhai bhi nahi de rahi hain lekin tu yeh lag bhag 20 aloo kyun cheel rahi thi?
Divya(sobbing): Tu ne hi toh kaha tha....aloo cheel doon aur tu mujhe aloo ke parathe bana kar khilayega.
Rajveer: Hum dono ke liye 4 aloo kaafi honge....
Divya(sobbing): Toh tu ne bataya nahi ismein teri galati hain.
Rajveer took deep breaths and sighed.
Rajveer: Tu uth yaha se....tujhe kuch karne ki zaroorat nahi hain tu jaa...naha kar aa....main karta hoon.....jaa....
Divya(sobbing): Aur iss chot ka kya karu?
Rajveer: Aa jaa yaha.....dawai laga deta hoon.
Divya: Nahi...main khud laga loongi......kaha hain vo first aid kid?
Rajveer: Mere kamre mein.....jo tv cabinet hain...uske first drawer mein.
Divya: Okayy....
Rajveer started peeling the potatoes and started preparing Aloo ke parathe.Just then Divya came with a wedding card to Rajveer.
Divya: Rajveer....yeh wedding card par tera naam kyun likha hain?
Rajveer snatched away the wedding card and without any words....burned it.Tears overwhelmed his eyes but he didn't let them flow because he didn't had the courage to open up to anyone after whatever happened.
Divya: Arrey kya hua? Aise jala kyun diya use?
Rajveer(angrily): None of your business. Chup chap breakfast kar aur ghar ke andar baithi reh samjhi na? Mujhse koi rishta banane ki kosish mat karna.
Saying this Rajveer left without eating the parathas he prepared.
Divya(in mind): Bada ajeeb insaan hain. Pakka na iske saath kuch galat hua hain aur yeh mujhe bata nahi raha hain.Scene shifts to Luthra Office,
Karan was sitting in his cabin and thinking about the day when Rajveer's heart broke. Three days ago..he spoke last with Rajveer and his words are still echoing in his ears. His words reflected that he had lost all hope in love.Karan clearly remebered that Rajveer's words were......" Galati meri hi hain Mr.Luthra. Main bhool gaya tha ki pyaar harr koi afford nahi kar sakta. Humse tab tak koi insaan pyaar nahi kar sakta jab tak hum uski expectations poori na kare aur khaas karke jab vo financially juda hua ho. I really wish ki Palki aur Shaurya hamesha khush rahe...good bye sir."
Karan closed his eyes and a tear flew down his cheek as he remebered the tears of Rajveer. He always felt a connection with Rajveer and after seeing him in pain...he felt like...his own heart was crying.
Just then Rishabh entered the cabin and saw Karan's tears.
Rishabh: Karan.....tu ro raha hain?
Karan wiped his tears and then spoke.
Karan: Ro nahi raha hoon.....bas.....Rajveer ki baatein yaad aa gayi yaar. Aur Rishabh tu....maine tujhse kaha tha ki usko chutti chahiye lekin tu ne use kaam par bhej diya aur vo bhi kisi gaon mein. Aisa kyun kiya tu ne?
Rishabh: Maine aisa isiliye kiya kyunki Rajveer agle din hi office aa gaya aur usne apne hafte bharr ka kaam ek hi din mein kar liya yaar without any break....toh main kya karta?
Karan: Use chutti de deta......
Rishabh: Yaar usko chutti nahi chahiye thi...maine use bataya tha iske baare mein and he said that he doesn't wants...isiliye maine bhej diya use. Waise sach kahu na....Rajveer ko dekh kar na mujhe bhi bohot bura lag raha hain. Bechara kitna khush tha yaar apni shaadi ke din.......par....
Karan(teary eyed): Sab khatam ho gaya uska......uss bechare ne toh kuch galat nahi kiya lekin fir bhi uske saath galat hua aur vo bhi...(gnashing in anger)...uss Shaurya ki wajah se. Main na bata raha hoon tujhe..agar Preeta nahi hoti waha par...toh main usi wakt Palki aur Shaurya ko bahar nikaal deta ghar se aur Palki ki mom ki patarpatar band kar deta. Himmat bhi kaise hui unki Rajveer ko yeh kehne ki..(mimicing Palki's mother)......"arrey tumhari koi aukat hi nahi hain meri beti ke aage. Vo thehri itni badi doctor aur tum thehre ek mamuli employee....tum toh uske nakhun barabar nahi ho."
Rishabh: Sach mein yaar.....bohot galat hua bechare ke saath. Humein kuch karna chahiye uske liye......
Karan: Haan par kya?
Just then Shaurya knocked on the door and no one spoke. However...Shaurya came inside.
Shaurya: Dad vo yeh file Rajveer ko deni thi.....vo bhool gaya tha yeh ghar par uss din.
Karan took the file without any words.
Shaurya: Dad....aap ab bhi naraaz hain?
Rishabh: Shaurya.....humein uss baare mein koi baat nahi karni hain. Tu ne bohot soch samajh kar Rajveer ka dil toda hain so please ab yeh dikhawa mat kar that you care. Tu sirf apne baare mein sochta hain aur hamesha apne baare mein hi sochega.
Shaurya: Aisa nahi hain....actually.....
Karan: Koi justification nahi chahiye humein Shaurya aur mujhe ek baat bata.....jab tu ne aur Palki ne yeh sab plan banaya tha tab tu ne ek baar......ek baar bhi yeh nahi socha ki iska nateeja kya hoga? Kya guzregi uss bechare par jisne Palki se saccha pyaar kiya....ek baar bhi nahi socha? Bas apne badle ke baare mein socha? Tujhe yeh kyun nahi nazar aaya ki Rajveer ne aaj tak tere liye aur iss ghar ke liye kya kya kiya hain? Tujhe kitni baar jail jaane se bachaya...Palki ki jaan bachai....humara business loss mein chal raha tha jise usne firse khada kar diya.....par fir bhi use badle mein kya diya tu ne? Sirf dukh aur asoon? Chala jaa yaha se Shaurya.....warna main kuch aisa bol doonga ya kar doonga jisse mujhe baad mein bohot bura lagega.
Shaurya was leaving teary eyed when suddenly Rajveer entered the cabin. Rajveer's eyes had pain in them but Shaurya's pain had guilt and pain mixed in it.
Before Shaurya could speak....Rajveer came inside the cabin and spoke.
Rajveer: Sir maine check kar liya hain construction ka kaam bohot acche se chal raha hain aur yeh rahi uski detailed report.
Rajveer handed over a file to Karan.
Karan: Theek hain Rajveer...main dekh loonga.
Rajveer nodded and was leaving when Karan spoke.
Karan: Rajveer.....aaj humari office ki business party hain....tum aana.
Rajveer: Sir if it's not mandatory then.....
Karan: Nahi nahi mandatory hain bhai...aur don't worry....(glaring at Shaurya)......tumhe dard ho aisa koi bhi insaan ya kaam waha nahi hoga.
Rajveer: Okay sir......
Rajveer left the room.Scene shifts to Rajveer's house,
Divya was watching tv when suddenly someone knocked on the door.
Divya: Kaun hain?
"Main hoon puttar.....aur teri awaaz ladkiyon jaisi kyun lag rahi hain?"asked someone standing outside the door.
Divya: Arrey main ladki hi hoon....
Divya went and opened the door only to find Preeta there.
Divya: Aap kaun hain?
Preeta: Main Rajveer ki Maa.....
Divya: Sach mein? Toh fir aap yaha rehti kyun nahi hain?
Preeta: Beta meri baat suno pehle.....main Rajveer ki Maa ke jaisi hoon. Waise tum kaun ho?
Divya was about to speak when suddenly a neighbour said......"yeh Rajveer ki biwi hain".
Preeta was shocked to hear this.
Divya(in mind): Marr gaye....ab kya karu main? Hey Sai Baba.....maddat karo.Scene End.
Will Preeta get to know the truth? Let's see.
YOU ARE READING
Broken Without You❤️🥰 (Completed)
FanfictionA fictional story on what would happen if Palki never gets married to Rajveer and gets married to Shaurya instead. (No intention of hurting #Palveer fans....as I am one of them. This is just my imagination so please read it like that.)