Part 7

498 20 8
                                    

Scene starts on the terrace,
Rajveer was lying down on the terrace of the office, looking teary eyed at the sky. His tears overflowing his eyes and his heart bleeding with all the accusations and insults of Palki.

Rajveer never allowed anyone to insult him or accuse him of anything he didn't do but infront of Palki, he couldn't even utter a single word because he loved her very much. Before speaking anything....the thought cloaked his mind,'what if Palki gets hurt due to his back answering?'

It has been 4 hours since he came up to the terrace and just lied down on the floor of the terrace. To be honest.....Rajveer wanted to just end things now and run away from everyone....everything but he cannot because of his responsibility towards Divya and his love towards his mother and Luthra family.

Rajveer(sobbing)(looking at sky)(teary eyed)(in mind): Thak gaya hoon main Baba jii.....sach mein bohot thak gaya hoon. Please mujhe shakti dijiye ki main inn sab ka saamna kar saku aur haar na jaaun....pleaseeeee. Main toot raha hoon....please mujhe bacha lijiye.....please.

Just then someone opened the door of the terrace. Rajveer stood up and rubbed his eyes vigorously. His vision became clear and found Karan standing there teary eyed.

Rajveer: Sorry Mr.Luthra....main aise hi gayab ho gaya....aap agar chahe toh meri aadhi salary...
Before Rajveer could speak more Karan hugged Rajveer tightly. Rajveer found solace in Karan's arms for the first time and tears started overflowing his eyes again.
Karan(sobbing)(hugging Rajveer): Maaf kar de mujhe beta......maaf kar de mujhe. Maine kabhi nahi socha tha ki Shaurya....(crying)..mujhe maaf kar de......
Rajveer(crying)(hugging Karan): Ismein aapki galati nahi hain......meri qismat ki hain. Hamesha unn logon se mujhe durr kar deta hain jo mujhse pyaar karte hain.
Karan(sobbing)(breaking the hug): Galati teri qismat ki nahi...hamesha logon ki hoti hain. Shaurya ne tujhse Palki ko durr kar diya aur tujhe chod diya aise hi. Main nahi jaanta ki main tere liye kya karu....(joining his hands)....please maaf kar de mujhe. Main nahi bata sakta ki main kitna sharminda hoon.....
Rajveer puts down Karan's hands and then spoke.
Rajveer(teary eyed): Ismein aapki koi galati nahi hain Mr.Luthra. Bas jo ho gaya......vo ho gaya...hum use nahi badal sakte. Main bas rota rehta hoon aur shayad rota rahunga thoda aur wakt ke liye lekin...main sambhal jaaunga ek din. Toh aap please sharminda mat hoiye.......(wiping Karan's tears)....aur roiye toh bilkul hi mat warna aapki rough and tough waali image kharab ho jaaegi.
Karan giggled slightly hearing this and wiped the tears of Rajveer.
Karan(with a smile): Chal....main tujhe ghar chod deta hoon.
Rajveer: Nahi Mr.Luthra....uski zaroorat nahi hain. Mujhe actually kuch kaam hain....
Karan: Jo bhi kaam hain tu kar le....aaj tujhe ghar toh main hi chodunga.
Rajveer: Par....
Karan: Koi par var nahi.....chal mere saath.
Saying this Karan dragged Rajveer with him.

Scene shifts to Luthra Mansion,
Palki was chit chatting with her friends when Preeta barged into the room.
Palki: Mummy jii......
Preeta: Palki....tumne Rajveer se itna bura bartaav kyun kiya?
Palki rollled her eyes.
Palki: Maine bilkul sahi kiya hain. How dare he? Vo ek mamuli sa employee hain aur uski wajah se papa jii ne Shaurya ko job se nikaal diya jab ki yeh business ka asli haqdar wahi hain.....unka apna khoon hain. Rajveer ko vo apna beta maante hain aur usi wajah se vo  unke sarr par chadh kar baitha hain. Use uski aukat dikhana toh......
Before Palki could speak more Preeta slapped Palki hard. Palki looked at Preeta shocked.
Preeta: Rajveer mere liye mere bete jaisa nahi....mera beta hi hain. Himmat bhi kaise hui tumhari mere bete ko baatein sunane ki aur vo bhi tab jab galati uski nahi hain?
Palki: Dekhiye.....
Preeta: Tum meri bahu ho isiliye tumhe ab tak bardaasht kar rahi hoon warna bohot pehle bahar fek diya hota iss ghar se. Ainda se agar mere bete ki aankhon mein ansoon dekhe na maine.....aur vo bhi tumhari wajah se toh mujhse bura koi nahi hoga. Mind it!
Saying this Preeta left the room. Palki fumed in anger.
Palki(angrily)(gnashing in anger)(in mind): Nahi chodungi....iss Luthra family ko agar maine barbaad na kar diya toh mera naam bhi Palki nahi.

Broken Without You❤️🥰 (Completed)Where stories live. Discover now