Part 10

477 24 12
                                    

(Sorry for the delay...hope you all will like this part. Please do comment and tell me your demands for this ff.)

Breaking News

Luthra Industries has been taken over by their daughter in law, Palki Khurana. Khabar saamne aa rahi hain ki Ms.Palki ne poori Luthra Industries par kabza kar liya and now....not only the Luthra Industries but also the Luthra Mansion. Kya Ms.Palki dengi apne pati Mr.Shaurya ko divorce? Jaan ne ke liye dekhte rahiye channel Parson tak se.

Rajveer turned off the television and sat down with a heavy sigh on the sofa. The whole Luthra family was present there as well. Some hours ago...before the media got to know...Palki threw away the Luthras out of their houses especially Shaurya with divorce papers signed.

Divya(in mind): Baba jii.....main toh Palki ko chaanta maarne ki wajah se guilt mein thi par iski harkatein dekh kar toh mann kar raha hain ki kaash na kuch thappad aur lagaye hote kheech kar.

Divya: Bilkul zor daar.....
Rajveer: Kya?
Divya: Yeh Palki ne.....kitna zor daar tamacha maara hain sabke muh par. Aisa kaun karta hain?
Kavya: Sach mein...(teary eyed)...Palki aisa karegi humne kabhi sapne mein bhi nahi socha tha.
Rakhi(tears flowing down her cheeks): Usne humein sadak par la kar khada kar diya.
Preeta: Ab hum kya karenge? Karan....kuch toh bolo....
Karan: Main kya bol sakta hoon Preeta? Mujhe kuch samajh nahi aa raha hain. Kya karu main? Kaha jaaun tum sabko le kar?
Manish came to Rajveer joining his hands.
Manish(joining his hands): Rajveer beta...agar tu bura na maane toh kya hum sab yaha.....
Rajveer(putting Manish's hands down): Dadu aap aise haath mat jodiye please.....aap sab yaha reh sakte hain jab tak aapka mann ho.
Divya: Haan dadu....rahiye na....no problem. Waise bhi ghar mein akele reh kar mujhe loner waali feeling toh aati hi hain toh rahiye....hum saath saath hain waali feeling aayegi.
Everyone smiled hearing this.
Shaurya(in mind): Main Rajveer ko pareshaan nahi kar sakta...khaas karke jo kuch bhi maine uske saath kiya hain uske baad toh bilkul nahi. Meri yaha se chale jaane mein hi bhalai hain.
Shaurya was leaving without any words when Rajveer held his hand.
Rajveer: Kaha jaa raha hain?
Shaurya: Vo..main bas....
Rajveer: Jo kuch bhi hua...bhool jaao use. Filhaal humein hum par aayi iss musibat ke baare mein sochna chahiye...isiliye jab tak yeh problem solve nahi ho jaati...tab tak yahi reh. Main jaanta hoon ki tujhe meri shakal dekhne ka koi shauk nahi hain aur na hi mujhe hain tujhe apni shakal dikhane ka shauk lekin jab tak problem solve nahi ho jaata...yahi rehna parega tujhe toh kuch dino ke liye apne yeh nakhre apne paas rakh.

Saying this Rajveer left and helped everyone to shift their luggages in the rooms.

Evening,
Everyone was in the hall....sitting in a prolonged silence...unable to decide what to do next.

Suddenly the door bell rang.
Rajveer stood up to open the door but before he could....Divya ran and opened the door.

Divya: Aap kaun?
The man: Aap kaun hain?
Divya: Arrey...bade ajeeb insaan hain aap toh. Mere ghar mein aa kar mujhse hi poochte hain ki main kaun hoon?
The man: Yeh ghar aapka kab se ho gaya? Yeh mere dost Rajveer ka ghar hain....usne khareeda hain ise.
Divya: Dost? Tum Rajveer ke dost ho?
The man: Haan....par tum kaun ho?
Divya: Main Divya hoon...Rajveer ki best friend.....
The man: Oo...main Rajveer ka bhai hoon....uska sabse accha dost. Mohit naam hain mera.

"Mohit?"called Rajveer.
Divya moved aside from the door and Mohit hugged Rajveer with a wide smile on his face and Rajveer reciprocated the hug with a smile on his face.

Divya(breaking the hug): Pehle nahi bata sakta tha ki tera koi bohot qareebi dost aa raha hain?
Rajveer: Kaun qareebi dost aa raha hain?
Divya(glaring at Mohit): Mujhe pata tha tum koi fraud ho....batao kaun ho tum. Maine (folding her sleeves) gaon ka paani peeya hain....darti nahi hoon kisi se bhi aur upar se main khadooson ke sardaron ke saath rehti hoon toh tum samajh jaao....
Rajhit(together): Chup!!
Divya(to Rajveer): Uff! Itna chilla kyun raha hain?
Rajveer: Kyunki tu ek baar bolna shuru karti hain fir chup hi nahi hoti. Main keh raha tha ki Mohit mera qareebi dost nahi...mere bhai jaisa hain infact....mera bhai hain. Samjhi?
Divya: Toh yeh baat pehle nahi bata sakta tha?
Preeta: Arrey arrey...bas karo teeno...kab se lade jaa rahe ho. Mohit abhi abhi toh aaya hain....andar aao Mohit...baitho.
Rajveer: Arrey haan...Divya ke chakkar mein yeh bhi bhool gaya.
Divya: Main...
Rajveer(joining his hands): Chup kar jaa meri Maa....
Divya made a cute pout and sat down beside Kavya.
Kavya side hugged Divya with a smile consoling her. After the first encounter with Divya....the whole Luthra family understood how childish and innocent Divya was and no matter what...she was closest to Rajveer.

Mohit: Rajveer....maine suna jo kuch bhi Palki ne.....
Rajveer: Chod na yaar....bhool jaa unn sab ke baare mein. Filhaal toh ek nayi shuruwaat karni hain.
Karan: Sirf use hi nahi...hum sabko. Par kya kare yahi samajh nahi aa raha hain.
Mohit: Rajveer main ek advice de raha hoon...bura mat maan na.
Divya(jealous): Vo toh depend karta hain ki tum kaisa advice doge.
Rajveer: Divya....chup reh thodi der...aur agar nahi reh sakti toh jaa kar tv dekh...jaa.
Divya made a grumpy face and left to her room...closing it.
Divya(in mind): Dost kya aaya mujhe toh bhool hi gaya. Mujhe bhi kya padi hain? Main bhi baat nahi karungi isse. Kal subah sabse pehle college chali jaaungi aur waapis hi nahi aaungi....(making a cry face)....bilkul bhi parwah nahi hain Rajveer ko meri.
Divya turned on the television and locked the door.
Rajveer: Bol Mohit...kya bol raha tha tu mujhe.
Mohit: Main yeh keh raha tha ki yaha rehne ka abhi koi matlab nahi hain kyunki Palki ne saare companies ko bata rakha hain ki Luthras ko aur khaas karke Rajveer Arora ko koi job na de toh tu yaha se chala jaa sabko le kar.
Mahesh: Yeh kya keh rahe ho?
Karan: Haan...hum yaha se kaise jaa sakte hain?
Mohit: Yaha par rahenge sir toh kabhi sukoon se nahi reh paaenge. Bas isiliye keh raha hoon ki bhale hi hamesha ke liye nahi lekin....kuch wakt ke liye kahi aur jaa kar ek nayi shuruwaat kar.
Rajveer: Par ek raat mein itni saari arrangements.....
Mohit: Main hoon na yaar....saare arrangements mujh par chod de.
Rajveer(to Karan): Kya kehte hain Mr.Luthra?
Karan: Jo tu sahi samjhe.....ab tere alawa kisi aur par bharosa nahi hain.
Rishabh: Theek kaha Karan ne.....kyun dad?
Mahesh: Sahi kaha....jaisa tu sahi samjhega Rajveer....waisa hi karte hain.
Rajveer: Toh fir tu arrangements kar de....waise jaaenge kaha?
Mohit: Bhoominagar....waha mera ek dost hain....vo apna ghar saste mein bech raha tha....maine khareed liya.

"Saste mein kyun bech raha tha?"asked Preeta.
Mohit: Uska maan na hai ki ghar mein uski nani ki aatma bhatakti hain par yeh bakwaas hain.
Rajveer: Bhoominagar? Waha toh....
"Kab jaana hain waha?"asked Divya excitedly.
Mohit: Kal hi....jaa kar taiyaar ho jaao. Aur aap sab bhi bags baandh lijiye...kal subah theek 6 baje taxi aa jaaegi aur 4 ghanto mein aap sab pohoch jaaenge. So..(with a smile)....have a happy journey and all the best for your new beginning everyone. Accha Rajveer....yaha aa naa side mein please.....
Rajveer and Mohit came aside.
Mohit stuffed some money in Rajveer's pocket.
Rajveer: Yaar yeh....
Mohit: Jo kuch bhi hua...usmein kahi na kahi meri bhi galati thi. Mujhe pehle se hi Palki ke upar shak ho gaya tha lekin maine tujhe nahi bataya. Ise ek gift samajh kar rakh le yaar.
Rajveer: Lekin....
Mohit: Ise ek bhai ki taraf se gift samajh le. Chal ab....kal subah milte hain.
Rajveer(hugging Mohit): Thank you mere bhai....
Mohit(with a smile)(reciprocating the hug): Apne bhai ko kabhi thank you nahi bolna chahiye. Bhale hi main tera saga bhai nahi hoon lekin....
Rajveer: Aisi baat na fir kabhi mat karna....(teary eyed)...Shaurya se badh kar hain tu mere liye. Vo bhale hi mera apna khoon hain lekin tera aur mera dil ka connection hain.
Mohit: Chal chal....zyada senti mat ho..waise....(leaning closer to Rajveer)....Divya tujhe kaafi pasand karti hain.
Rajveer: Aisa kuch bhi nahi hain yaar...halat ki wajah se....
Mohit: Kaise halat?
Rajveer: Maun baad mein sab bataunga tujhe.
Mohit: Theek hain...chal bye....good night...
Rajveer(wiping his tears): Good night....
Mohit left but they both didn't knew that Shaurya heard everything.
Shaurya(in mind)(teary eyed): Sach kaha Rajve...unhn....bhai ne. Mohit ne bhai hone ka harr ek farz nibhaya hain aur maine sirf tujhe hurt kiya hain. I really wish ki main vo sab badal paata bhai.
As soon as Rajveer looked at Shaurya....Shaurya wiped his unshed tears by shifting his gaze.
Scene End.

Broken Without You❤️🥰 (Completed)Where stories live. Discover now