1 month later
Pichle ek mahine me shubhman me bilkul 360 degree ke changes aae ha.. Aab na toh vo sana ke aas paas bhatakta ha.. Na clubs me jaata ha.. Na kisi se bhi flirt karta ha.. Na kisi se bina baat ka koi jhagda..
Aab uska pura dhyan bas ishan pe hi rehta ha.. Shubhman ki morning ki shurvaat ishan ka video call pe face dekhke shuru hoti ha... Aur good night bhi uska video call par face dekhkar khatam hoti ha..
Aur pura din yani subhe 9 baje se shyam 5 baje tak college me bhi bilkul ishan se chipka rehta ha... Aesa laagta ha kabhi kabhi toh ki ishan me ek magnet fit ha jisse shubhman chhakar bhi duur nhi ja sakta.. Vese filhal vo duur jana bhi nhi chhata..These days he become a lovesick puppy.. Har minutes bas ishan ishan karta rehta ha.. Itni baar to usne aapna naam bhi nhi lia hoga bachpan se lekar aaj tak jitna pichle 1 mahine me ishan ka le lia ha.. Bilkul aashiko vala haal ho chuka ha bichare hamare shubhmn ka..
Ishan jab usse bolta ha ki usse dekhna band kare lectures ke bich me.. To usse ye baat bhi samj nhi aati.. Vaha saamne teacher phada raha hoti ha. Aur yaha hamara shubhman chup chap table par sir rakhkar aaram se ishan ko dekh raha hota ha.. Aab to bichara teacher bhi usse bol bolke thak gaya ha.. Par shubhman ko samj nhi aaya ki class me ye aashique na kare..
# paagal aur ziddi aashique.After spending this whole Month with ishan.. Ek chiz shubhman ne realize karli ha ki aab ishan uski zarurat ban chuka ha.. He can't live without him.. Phele ke dino me usse lagta tha ki shayad ye temporary attraction ha.. Islia vo shuru me ishan ko seriously nhi leta tha.. Or isi vaje se bakiyo ke sath flirt vagera karta tha.. But is mahine me bhot kuch badla ha.. Shubhman ka perspective bhot badla ha ishan ko lekar..
Aesa laagta ha ki ishan ki life me entry hui hi shubhman ko shudraane ke lia ha.. Ishan ki vaje se aab vo phele se responsible hua ha.. And aab to vo ishan ke kehne par virat aur rohit bhaiya ke sath office bhi chala jaata ha kabhi kabhi..Shubhman me ye saare changes dekhkar sabhi bhot shock me ha.. Virat or rohit ko toh jese yaakin hi nhi hota aapni aankho pe jab shubhman office aata ha.. Or serious hokar aapna kaam karta ha.. But vo khush bhi ha ki aab unke dono bhai dheere dheere aapni zimadarriya sikh rahe ha..
.
In college canteen :-
.
Ishan.. Shubhman.. Mayank aur abhishek canteen me table par baithe ha..
.
Ishan - shubuShubhman - yes baby (sweetely looking at ishan)
Ishan - i am hungry and tired.. Subhe se classes attend kar rahe ha. Aur aab mujhme bilkul energy nhi bacchi ha..
Shubhman - then just gives me orders .. What my baby wants to eat..
Ishan - aabhi to kuch bhi chalega...
Shubhman - you wait here.. Me aabhi jake kuch lekar aata hu..
Ishan - but i don't want you to leave me ( with sad pouty face)
Shubhman - but aagar me jaunga nhi to khana kon laiga mere hungry baby ke lia
Mayank - kitne drame karte ho tum dono..
Now ishan and shubhman look at the other two persons jo vaha baithe ha..
Abhishek - so finally you noticed us..
Mayank - pichle hadhe ghante se hum yaha ha.. And you both didn't give us a glance.. Bas khud ki baato me hi laage hua ho tabse
Abhishek - tum dono toh hum dono ko bhulte hi ja rahe ho.. Love sick puppies kahi ke
Ishan - aesa kuch nhi ha.. You two are our bestfriends.. We love u a lot
Shubhman - aab tum dono bhi batao ki kya khaoge.. Me lekar aata hu..
YOU ARE READING
USKA PAGALPAN
RomanceStory of four boys.. jinki family phele se hi ek dusre ki dushman h... Chaaroh kismat se laade..aapno se laade.. ek dusre se laade...fir bhi ek dusre ke hokar bhi ek dusre ke nhi ho pae.. Kisne kisko dhoka dia.. kisne dhoka khaya.. kisi ka dil tuta...