wo kamal ke jalashay sa shant hai
mai sagar ki lehron si bechain
uska mijaz nishi sa hai
mai surya uday ki pehli peher
usme 'ret ghadi' ke jaisa dhairy hai
mai us fisalti ret ke karn jaisi adheer
wo band kitaab jaisa vineet hai
mai khuli kitaab jaisi zahir parasat
wo uljhi hui taar jaise manan krta hai
mai seedhi rekha jaise suljhi hui
wo bas mere kismat mein nahi
aur mohabbat mujhe usi se hui