Chapter 1.1

92 4 0
                                    


Wo ladki kabhi-kabhi hi uske bag ko dekhti thi, magar Mehmil toh Roz ke 10 mint us siyaah faam ladki ka jaiza lete guzar deti thi.

Wo bhi ajeeb pur israr kirdar thi yaha Islambad me siyaah faam ladki nazar a hi jaati thi, magar wo apne jaise se mukhtalif thi. Sir pe rumaal baandh kar gardan  ke piche girah lagati aur piche over coat, mote hont, kaali rangat....... Magar chamkili aankhein...... Koi aisi chamak thi unke ke Mehmil kabhi un aankho me dekh na paai thi, hamesha nigaah churati... Shayad dhed mahine se wo usey apne side me stand pe dekhti thi. Aur un dhed mahine me uska andaz hamesha ek sa hi rehta tha.

Kamar Sidhi rakhe allert si bench pe baithi, Khamoshi se samne seedh Mein dekhti wo khamosh si ladki maloom Nahin Kaun thi. Aur phir uski wo pur israr kitab.....! Siyaah cover wali bhari si kitaab, jis ka black cover bilkul Khali tha, uski goud me rakhi hoti aur kitaab ke kinaaro par uske kaale hath mazbuti se Jame hote the. Uska andaaz kuch khaas nazar aata tha. Kitaab ki hifazat ka ehsas ya shayad uske besh qimat hone ka.

Kitaab kaafi moti thi. Pages ke jhalakte kinaare pehle aur khasta lagte the, jaise koi bahut Waseem kitaab ho, seenkdo baras purana koi nuskha ho. Kuch tha usme. Koi qadeem raaz, kuch pur israr. Wo jab bhi us kitaab ki dekhti, yehi sochti aur aaj jaane kya hua, wo us khamosh si ladki se mukhatib ho gayi. Shayad tajassus ki wjh se.

"Excuse me! Baat puch sakti ho?"

"Pucho" kaali ladki ne apni chamakti aankhein uthai.

"Ye kitaab kis ki hai?"

"Meri!"

"Mera matlab hai, usne kya likha hai?"

Wo Chand lamhe Mehmil ka chehra dekhti rahi, phir aahista se boli.

"Meri zindagi Ki kahani!"

"Acha......" Woh Hairat chupa Na Saki. "Mein samjhi, Yeh koi qadeem kitab hai"

"Qadeem hi hai. Sadiyon pahle likhi gayi thi."

"Toh aapko kaha se mili?"

"Misr ki ek purani dukaan se. Yeh kuch kitabon ke bich padi thi. Jab Maine ise nikala to is pe zamane ki dhul thi" woh mohabbat se us siyaah cover pe hath pherte keh rahi thi. Uske labo pe madham si muskurahat thi. "Maine wo dhul jhaadi aur isey apne sath rakh liya. Phir jab padha toh malum hua ke isey toh kisi ne nere liye likhwa kar udhar rakha tha."

Mehmil muh khole usey dekh rahi thi.

"Tumhe kya dilchaspi hai isme?"

"Me iske baare me mazeed janna chahti thi. Kya me isey padh sakti hu?"

Wo halka sa muskurayi.

"Tum naye daur ki ladki ho. is qadeem zuban Mein likhe nuskhe ko Kahan samjhogi?"

"Magar ye hai kya? Isme kya likha hai?" Wo tajassus ab usey be chain kar raha tha.

"Mera maazi"

"Usi pal horn baja toh Mehmil ne Chaunk kar samne sadak pe aati bus ko dekha."

"Mera haal....." Wo kaali ladki keh rahi thi.

Mehmil bag ka strep pakde khadi hui. Usey jaldi college pahochna tha.

"Aur mera mustaqbil bhi. Mujhe kya pesh aane wala hai, ye kitaab sab bata deti hai"

"Me chalti hu" wo buss ki taraf dekhte mazrat khawana andaaz me keh kar aage badh gayi.

"Isme tumhara zikr bhi hai mehmil;"

Wo ulte pair mudi.

"Mera zikr?.......mera baare me kya likha hai?" Wo hairan reh gayi.

"Yehi me me tu he ye kitaab de du. Magar me toh isey tumhe tab dungi jab tum thak kar khud mujhse mangne aaogi. Kyuki isme tumhari zindagi ki kahani hai. Jo ho chuka hai aur Jo hone wala haiz sab likha hai"

Bus ka Tez horn Baja toh wo Kuchh keh Bina tezi se uski taraf lapki. rodd pakad upar chadte hue usne pal bhar ko palar kar dekha tha.

Wo Kali ladki us hi tarah muskura rahi thi.

Pur-israr, ma'ine khaiz muskurahat. Mehmil ko ekdum usse bahut dar laga tha.

_____________________________
Don't forget to vote 🤎🍂

MUSHAF (by  nimra ahmad)Where stories live. Discover now