Fawad usey office me chote mote kaam Dene laga tha. Zyada tar usey Khali hi baithe rehne deta.
"Ye draft banwana hai, apni nigraani me finance ke Zakir sahib se banwa lao"
"Is check pe sign karwane hai, Mufti sahab se karwa lao."Aur ye saare kaam bahut securely hote the. Usey acha lagta tha ke wo uspe bharosa karta hai, uska khayal karta hai. Dupher ka khana wo ikhatta hi khate the. Baaqi waqt wo apne office me kaam karta toh Mehmil apne cabin me baith kar dusro ko dekhti. Kabhi kabhi usey ehsas hota ke wo itne din guzar jaane ke baad bhi na toh zyda kaam ke baare samajh pai hai aur na hi wo aur fawad zayda qareeb aaye hai. Wo hamesha uski pasand ki cheez mangwata, usse us ki studies aur baaki chizo ke baare me halki phulki baat karta, magar us shaam aaine ke samne khade ho kar jhumka pehnane jaisi harkat usey phir nahi ki thi.
Us roz wo subah fawad ke sath office nahi gayi thi.
"Dupher me stop pe aana, mein tumhe pick kar lunga. Aaj mujhe tum se kuch baat karni hai." Wo subah dheere se keh gaya tha. Aur ab wo dupher ke intezar me upar terrace pe baithi chaii pi Rahi thi.
Jaane fawad ko kya baat karni thi, itna kya khaas kaam tha. Tang pe tang rakhe baithi chaii ke sipp lete soch rhi thi. Nigaahe yunhi saamne walo ke lawn pe bhatak rahi thi. Waha khaaspr safeed chadar bichi thiaur unpe safeed shalwar kameez aur topiyo wale madarse me bache hil hil kar sipara padh rahe the. Darmiyan me ek choti Mez thi, uspe ek bada sa Qur'an paak aur kuch sipare rakhe the. Sath hi agarbattiya jal rahi thi. Wo bina kisi iraade ke bade, band quraan paak ko dekhe gayi. Zehen me kahi wo chehra nikal kar uski ankho ke samne aaya tha.
Kaali rangat wali ladki. Kaali aankhe aur mote mote kaale se honth. Wo Mushaf ko sine se lagae langdati hui sarad pe dur Jaa rahi thi. Kabhi kabhi usey wo manzar yaad aata toh aisa lagta ke shayad.......shayad jaate samay uski kaali aankho me aansu the. Wo kyu ro Rahi thi, wo samajh nahi paayi thi.
Bache yuhi hil hil kar sipara padh rahe the. Usne dekha Kone me baithe waha ek bache ne bade ehtiyat se sipare ka page palate hue idhar udhar dekha aur 2 page aage palat diye thodi der baad usne bache ne phir palat diye aur uske baad phir kuch pages palat diye. Aur phir tez tez padhne laga.
Na chahte hue bhi Mehmil hans di. Wo apne aap paas ke logo ko dhoka de raha tha, ya phir shayad apne rabb ko. Wo jaan nahi paayi.
Bache halke halke uth kar sipara rakhne Lage. Yaha tak ke saare siparo ke dher Mez par rakh Gaya toh qaari sahab ne paas se ek mulazim ko bulaya aur kaha.
"Qur'an khaani ho chuki hai, ghar ke logo ko bula dijiye taake dua me shamil ho jaye." Mulazim sir hila kar andar chala gya.
woh Fawad ko bhool kar dilchaspi aur interest se railing par jhuki saari karwaai dekhne lagi.
chaii ka cupp usne aik taraf daal diya tha. chand minute baad mulazim baramda paar kar ke lawn mein utar aaya. qaari sahib jo muntazir se baithe the, sawal wali nigahon se usey dekhne lage. "Wo keh rahe hain ke woh busy hain, dua mein shirkat nahi kar sakte. magar aap ka shukriya ke aap ne quran padh diya. sir keh rahe hain ke unhe sukoon nahi hai, baaqi sab theek hai
Bas yahi dua kar de ke unhe sukoon mil jaye." qaari sahib ne gehri saans li aur dua ke liye haath utha diye. woh jaise shocked si saara manzar dekh rahi thi. dil mein namaloom sa afsos utar aaya tha. aik ajeeb sa ehsaas, ajeeb si be feeling. woh us ehsas ko koii naam nah de saki toh chaii ka cupp uthaye neechay utar aayi. Aur phir dupher tak woh us waqie ko bhool bhaal chuki thi.stop pe muqarar waqt pe Fawad ki mercedes aati dikhayi di toh woh khush aur pur shaq si bench se utthi.
"Kaisi ho? " woh darwaaza khol kar andar baithi toh woh muskura kar jaise be taabi se pooch raha tha.
"theek hoon Fawad bhai! aap kaise hain?" woh saadgi se keh kar bag kandhe se utaar kar peeche rakhne lagi. apne andaaz se usne kabhi Fawad pe yeh zahir nahi kya tha ke woh uske jazbaat tak jaan kar chuki hai. woh hamesha khud ko uske ehsaano ke boojh tale mamo ka beta zahir karti thi.
YOU ARE READING
MUSHAF (by nimra ahmad)
SpirituellesThis beautiful novel written by nimra ahmed To be honest, this was the only book that gushed my tears with its sentimental thoughts since she presents the book by referencing the "Holy Quran" with the life of the people. The story in the book revolv...