Subah usey college nahi jana tha. Exams khatam ho chuke the, magar wo phir bhi naha ke waqt se aadha ghante pehle hi stop pe chali aa thi aur ab musalsal bench ke aas pas tehel rahi thi.
Kaali ladki abhi tak nahi aai thi, Mehmil baar baar kalai pe bandhi ghadi dekh rahi thi. Phir be chain nigaaho se gardan idhar udhar ghumati. Bhuri unchi ponytail bhi sath hi ghumti. Usey shiddat se us ladki ka intezar tha aur aaj toh lagta tha, jaise waqt bahut der se guzar raha hai.
Aakhir kar wo thak kar bench pe baithi aur sir dono hatho se thaam liya.
"Kya mera intezar kar rahi thi?" Kisi ne uske kande pe hath rakha toh wo current kha kar uthi.
Wo kaali ladki samne muskura rahi thi. "Me tumhara hi wait kar rahi thi"
"Aur me janti hu ke kyu?" Wo Aram se bench pe baithi, bag ka strep kandhe se uatar kar ek taraf rakha aur kitaab ehtiyat se goud me rakhi. Phir jaise farigh ho kar Mehmil ka chehra dekha.
"Tum thak gayi ho?"
"haan, mein thak gayi hu. mein tang aagyi hu, is duniya mein mere liye kuch nahi hai, koi nahi hai."
"Ohho.....aisay nahi kehte. abhi toh tumhe woh kuch lena hai, jis ki chamak se tumhari ankhe chaka chond reh jayen gi. abhi toh tum sahih raste pe aayi ho."
"mujhe sahih aur ghalat ka nahi pata. nah hi mein sahih aur ghalat ki tafreeq mein padhna chahti hon." Us ne be ikhtiyar nigehain churayi thi. apne dil se, apne andar baithte guilt ke ehsas se.
"Koi baat nahi. shuru shuru mein yeh kitaab mushkil lage gi, jaise koi azaab ho, qaid ho, magar phir tum aadi ho jao gi." woh waise hi muskura rahi thi.
"yeh kitaab mujh se kaise baat keregi?" mehmil sehar zada si us ki goad mein rakhi kitaab ko dekh rahi thi .
"roz is ka aik safha parhna. agar mushkil lage to mein tumhe kuch aise logon ka bataugi, jo is kitaab ka ilm sikhate hain. bilkul khamoshi se, chup chaap apna kaam karte hain. mein tumhe udhar le jaoon gi, woh tumhe is zabaan ka ilm seekhiye ge jis mein yeh kitaab likhi hui hai. phir jab tum roz is ka aik aik safha parhne ke qabil ho jao gi to tum maano gi ke har safha tumahray liye yesterday ki rudaad hai aur tumhe tomorrow ka bata rahi hai."
"agar mein advance mein aik safha agay padh lu toh mujhe apne anay walay kal ka ilm ho jaye ga, hai na?"
"Nahi, tum aik din mein poori kitaab bhi padh lo to bhi woh tumhara yesterday hi rahay ga. lekin agar wohi safhay tum aglay din parho to woh is din ke hisaab se tumhari guzashta dinon ki rudaad ban jaye ga."
"kya matlab ?" woh ualjh si gayi. "yeh kaisay ho sakta hai ke aik hi safhay ka aik din mein matlab badal jaye?"
"Agar yeh nah hota to kya tum aaj is kitaab ki taraf yun khinchi chali aati?"
"Tum waqai sach keh rahi ho?" woh andar hi andar khauf zada bhi thi .
"Tumhe shak hai kya?"
"nahi, magar tum mujhe yeh kyun de rahi ho? tumhara is mein kya faida?" apni Danist mein mehmil ne khasa aqal mandana sawal kya tha.
"mera hi to asal faida hai." woh phir ajeeb tareeqe se muskarayi.
"Jo kuch tumhe haasil hoga, us ka aik share to mujhe hi jaye ga."
"share?" woh dang reh gayi. "Kya matlab? kitna share? kitney persent?"
"shayad aadha shayad is se kuch kam. maloom nahi, magar yeh tumhara masla nahi hai, mera hissa mujh tak pahonch jaye ga. yeh kitaab khud mere paas aakar mujhe mera hissa dlwaye gi."
"acha." Usne kaha. "phir mein yeh le lu?"
"Pehle khoob achi tarha se soch lo."
"sab soch liya hai." woh tezi se boli aur kitaab par haath rakha, aur kaha.
YOU ARE READING
MUSHAF (by nimra ahmad)
EspiritualThis beautiful novel written by nimra ahmed To be honest, this was the only book that gushed my tears with its sentimental thoughts since she presents the book by referencing the "Holy Quran" with the life of the people. The story in the book revolv...