Usey nahi ilm tha ke kyu. Magar wo raat tak baraamde ki sidhiyon pe baithi roti rahi thi. Andar sab so rahe the, musarrat bhi sone chali gayi thi. Wo padhai ke bahane bahar aayi thi aur der se bahut der se udhar baithe be awaaz aansu baha rahi thi.
Kachi umar ka pehla khwaab tha, wo bhi aise chur chur hua tha ke rooh balbala uthi thi. Wo itni hurt Hui thi ke dil phat raha tha. Koi itna bhi zaalim ho sakta hai, jitni taayi thi, jitne ye sab log the. Uska dil chah raha tha, wo be. Khabar sote un logo ke kamro ko aag laga de, ya churi se unki gardane kaant phenke ya zeher de kar sabko maar de. Aur aakhir me khudko bhi maar le.
Nafrat.........bahut shadid nafrat mehsus Hoti thi usey apne in rishtedaaro se. Uska dil chahta tha, wo un ghatiya aur kamine logo se dur chali jaye, kaha usey unki shakal na dekhni padhe. Aur waqai, ab wo chali bhi jayegi. Usne soch liya tha, bas ab ek dafa usey wo scholarship mil jaye, jiske liye usne British heigh communication ke ailaan ke baad apply Kiya tha ke bhale ghar ke jo galat ho, usne FSC tak har board exams me top kiya tha. Par usne BSC maths me addmission le liya tha aur usey ummeed thi ke ab bhi wo hi top karegi. Aur agar scholarship usey mil jaye toh bahut asaani se usey is zindaan se chutkara mil jayega.Wo aansu hatheli ke piche se ragarti us soch me ghum thi ke koi uske saamne khada hua. Wo jute dekh kar chaunki aur bheega hua chehra uthaya.
Waseem uske bilkul saamna khada tha.
"Waseem Bhai?" Wo current kha kar uthi aur do qadam piche hue.
Wo taayi mehtab ka teesre no. Ka beta tha. Fahad ka chota aur nakara, awaara Bhai. Is waqt bhi wo apni surkh aankho se usey ghur raha tha. Jaane kab aakar udhar khada ho gaya tha. Khula gireban, tight jeans, gardan se lapti chain, bikhre baal aur surkh aankhe. Wo Nasha karta tha, ghar me sabko pata tha. Yaha tak ke fiza chachi apni betiyo ko uske qareeb bhi na jaane deti thi. khud Hasan bhi ehtiyat karta tha. Aarzoo albatta la parwah aur nidar thi. Waise bhi Waseem ghar me bahut kam ho nazar aata tha.
Mehmil har mumkin ehtiyat karti ke akele me uska samna na ho ke usey uski aankho se khauf aata tha. Magar aaj jaane kaise.......
"Kya kar rahi ho?" Ek ek qadam upar chada toh wo be-ikhtiyar ek qadam aur piche hati.
"Kakkkkakk.....kuch bhi nahi. Wo aagha jaan awaaz de rahe hai" wo ek dam palat kar andar bhaag gayi.
"Ahmm. Hmmm!" Waseem ne tamashkarana sar jhatka, Chand lamhe udhar khada sochta raha, phir bahar gate ki taraf chal diya.
___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂
YOU ARE READING
MUSHAF (by nimra ahmad)
EspiritualThis beautiful novel written by nimra ahmed To be honest, this was the only book that gushed my tears with its sentimental thoughts since she presents the book by referencing the "Holy Quran" with the life of the people. The story in the book revolv...