"Fawad ko chaii kamre me de aao. Aur Mehmil! Tum trolley bahar le aao." Taayi mehtab apne us hi attitude se hukm de kar palat gayi toh trolley set karti Mehmil kisi khayal se chaunki.
"Fawad ki tray alag set karo Mehmil! Mein de aaungi, tum trolley bahar le jao"
"Mein nahi le kar na rahi trolley. Tang aagyi hu mein in zaleel logo ke samne"
"acha, acha. chup karo." musarrat bokhla kar agay badhi aur trolley ka kinara thaam liya.
"mein le jati hu, tum Fawad ko chaii de aao." aur yahi toh woh chahti thi, so shanay uchakka kar bazahir laa parwahi se Fawad ki tray set ki aur phir usay utha kar dahap dahap seedhiyan chadhti gayi .
"Hmm.....aajao."
"Fawad bhai!" darwaze pe halka sa knock kya.
Usne darwaaza dhakela toh woh khulta chala gaya. Fawad baazu aankhon par rakhay bed par neem daraaz tha.
"Fawad bhai! aap ki chaye."
"haan rakh do. woh halke se utha. andaaz se thaka thaka lag raha tha.
"kya baat hai Fawad bhai! aap kuch pareshan lag rahe hain. Usne tray maiz par rakhi aur cup utha kar uske qareeb aayi.
"haan, kuch nahi. office ka masla hai." us ne chaii ke liye haath badhaya toh usay cupp pakdate mehmil ki ungliyaa uske haath se zara sa touch hui. Us ne foran haath khech liya to woh be sakhta muskura diya, phir chaii ka ghoont bhara.
"Hmm chaii toh tum achi banati ho"
"amma ne banai hai." woh jazbaz si us ke samne khadi thi. unchi bhuri poni tail wali lambe qadd ki ladki.
"Laayi toh tum ho, zaika hai tumhare hath mein".
"Acha" wo muskuradi.
"Aur ye england jaane ka kya seen hai?"
"Wo mein....mein agay padhna chahti hu" woh sir jukaye khari ungeliya maror rahi magar tum job karne ka keh rahi thi.
"Magar tum job karne ka keh rahi thi aur mujhe yeh baat achi nahi lagi thi." woh chaye ka cupp side par rakhay bahut sanjeedgi se usey dekh raha tha.
"mein sirf –apne khrcho ke liye job karna chahti hon." aur yeh itni business empire......yeh kon sambhale ga?" mehmil ne jhatkay se gardan uthai. usey laga, is ne ghalat suna hai .
"business empire?"
"haan! Tum iski owners mein se ho! kya tumhara farz nahi hai ke tum apne business par bhi tawajah do. aakhir kabhi nah kabhi to tumhe yeh sab sambhaalna hai."
"Jii" woh be yakeeni se usey dekh rahi thi.
"itni hairan kyun ho mehmil?" woh uth kar uske samne aakhada hua. mehmil se woh khasa lamba tha.
"mein mein pata nahi."
"Kya tum yeh sab nahi sambhalna chahti?"
"Mein sambhalna chahti hu. magar kaise?"
"tum waqai sambhalna chahti ho?" Fawad ke chehray par Khushgawar hairat utri. "yaani mein tumhe –apne sath office mein lagana chahu toh tum mere sath kaam karo gi?"
"jee, jee... bilkul uska dil ekdum kisi aur layy par dhadakne laga tha.
"theek hai, phir mein shaam mein agha jaan se baat kar leta hu."
"woh.....woh ijazat de denge?" Uske andar waswaso ne sir uthaya tha.
"Sure kyun nahi den ge?" woh muskura kar usey tasalli de raha tha aur usey samajh mein nahi araha tha ke woh apni khushi ka izhaar kaise kare. aik dam hi sab kuch usey apni muthi mein aata dikhayi dene laga tha.
'doulat nichhawar mehboob qadmon mein......' ab usey us siyah faam ladki ki kitaab ki hargiz zaroorat nah thi.
woh hawaon mein urti wapas –apne kamray mein aayi thi.
aur phir raat mein jab Fawad ne usey –apne sath business mein haath bataane ki tajweez agha jaan ko di to sab se pehlay hasan ne be cheeni se pehlu badla tha. "is ki kya zaroorat hai Fawad! mehmil ko abhi apni padhai pe tawajah deeni chahiye." woh nagwari se bola toh mehmil ko wazeh bura laga. Shukar tha, khandan ki aurtain wahan nah thi, warna toh tufaan hi ajata.
"tum beech mein mat bolo Hasan! mein agha jaan se baat kar raha hon."
"aur mein tumhari baaton ke matlab achi tarah samjhta hu" Hasan ne ek katili nigaah mehmil pe daali. "mujhe achi tarah pata hai ke yahan kya chakkar chal raha hai."
"shut up!" Fawad bhadak utha.
toh agha jaan ne dono ko hi jhadak diya. "shut up you both! Hasam! tum jao apne kamray mein." aur woh foran uth kar tez tez chalta wahan se nikal gaya.
"aur faadi! hasan theek keh raha hai. mehmil ka office se koi talluq nahi hai. nah hi woh kaabhi office jaye gi."
"magar agha jaan!"
"agha bhai theek keh rahe hain mehmil ka office mein kya kaam?"
"bilkul! ladkiyon ko idhar dhakkay khanay ki kya zaroorat hai? “ Ghufran chacha aur Asad chacha ne bhi foran agha jaan ki taid kar di toh mehmil ne be basi se madad talabb nigah se Fawad ko dekha.
"Okk.. jaise aap ki marzi." woh shanay uchakka kar ab jhuk kar apne boat ke lace band kar raha tha.
"Us ka dil jaise kisi gehri khaayi mein ja gira.. woh tezi se bhaagti hui kitchen mein aayi aur sink pe jhuk kar phoot phoot kar ronay lagi. Uske aanso-on ke sath saaray khawab girtay, behtay chalay jarahe the. woh itna roi ke hichki band honay lagi to bil akhir nall khol kar muh pe paani dalne lagi.
"Us ne soch liya tha ke aaj woh aakhri dafaa ro rahi hai. woh aaj ke baad hargiz nahi roye gi. Usne to seedhay tareeqay se sab kuch wapas haasil karne ka socha tha, lekin un logon ko seedha tareeqa raas nahi aaya tha. theek hai, ab agar usay un se intiqam lene ko
Jaadu ya safli ilm ka sahara bhi lena padha toh woh zaroor le gi .usey ab subah ka intzaar tha. subah usey buss stop pe jaa kar is siyah faam ladki se kitaab leni thi.
"waise nahi to aise hi!"
chehre par thanda pani daalte hue us ne nafrat se socha tha.
___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂
YOU ARE READING
MUSHAF (by nimra ahmad)
EspiritualThis beautiful novel written by nimra ahmed To be honest, this was the only book that gushed my tears with its sentimental thoughts since she presents the book by referencing the "Holy Quran" with the life of the people. The story in the book revolv...