"Unhone Sidra ki jagah mera rishta manga. Can you believe it?....... Me toh itni shocked hogyi hu. Ohh God! But itna acha proposal hai, wo aunty itni loving aur sweet thi ke mein tumhe kya batau. Aur paya hai, unka beta aero technical engineer hai aur..... tum meri baat sun rahi ya nahi?" Usne file ke andar pages lagati nadia ka kandha hilaya toh wo."Haan, haan batao na, phir kya hua?" Keh kar phir se pages set karne lagi.
"Hona kya tha, taayi Amma ki toh shakal dekhne wali ho gayi thi."
"Acha!" Nadia ab English ki book ke pages aage piche kar rhi thi. Wo dono college ke baraamde ki sidhiyon pe baithi thi, Mehmil usey kal ki saari baatein suna rahi thi.
"Taayi ne mujhe fauran waha se bhejd diya. Bechari har cheez Sidra ki banai keh kar pesh kar rahi thi magar wo aunty bhi bahut tez thi, aise hosh udaaye ke taayi Kati din tak yaad..... Tum meri baat nahi sun rahi nadia!" Usne khafa ho kar muh bana liya.
"Nahi, nahi sun rahi hu na" nadia ne bohkla kar file ek taraf sidhi pe rakhi, magar wo muh mode baithi thi.
"Acha batao na, toh wo sahib machanical engineer hai"
"Mein do ghante se bak bak kar thak gayi hu ke wo aero technical engineer hai, tum agar sun leti toh ye sawal nahi karti. Tum apni file jodo, me ja rahi hu" wo bag utha kar khadi hui toh nadia bhi sath hi uthi.
"Areee, naraz toh na ho"
"Nahi yaar! Seriously naraz nahi hu. Mujhe yaad aaya, mujhe abhi maidam mizbah se milna tha ek kaam ke liye. Mein Zara thodi der tak aai hu." Mehmil ne muskurate hue kaha aur chali gayi. Jab wo tez tez sir jhukaye chalti thi toh unchi pony tail sath hi idhar udhar jhulti bahut achi lagti thi.
Chand qadam. Dur usne zara sa mud kr dekha, nadia bahut aaram se apni file me kuch likh rhi thi. Wo phir wapas usey dekhke aage ko chlane lagi. Kitni jaldi nadiaz uski socold bestfriend ne, uski phiki muskurahat ke sath kahe gaye aakhri jumle par yaqeen kar liya tha, jaise wo waqai naraz nahi hai. Haalanke wo thi. Magar dono be tawajju sw sunti thi, kabhi kaam me masroof "hmm haa" keh diya toh kabhi suna hi nahi.
'is duniya ek koi bhi nahi hai' wo ek jagah pe tek lagae kar baith gayi aur udaasi se saamne dekha.
Sunheri aur chamkili subah har jagah bikhri hui thi. Ghaas pe toliyo ki surat me safeed uniform me ladkiya baithi thi. Koi khaane pine me toh koi baato me busy thi. Sab ki apni apni duniya aur wo unme Magan thi.
'kya yehi zindagi hoti hai ya kya uski zindagi ki si muskil Zindagi kisi aur ki toh nah thi.?"
Kya mujhe kabhi wo khushiyan nahi milengi jo mein chahati hu? Bada sa Ghar, be Inteha daulat, taqat, mohabbat karne wala lifepartner..... Kya ye sab mere qadmo me ek sath dher ho sakta hai? Usne sir uthaya aur aankhein bheech li. Band palko pe sunhere khwab utarne lage the.
'wo aero technical engineer ya fawad......mein u me ze kisi ki bhi biwi ban jau toh sab kuch mera ho sakta hai.... Sab kuch mere qadmo me dher ho sakta hai. Buland......har cheez ki bulandi......'
"Jo wo Amal karleta hai, wo duniya pe raaj karta hai"
"Kuch aisa ho ke tumhe tang karne wale log tumhare aage piche phirne Lage, maal daulat tum pe nichawar ho, tumhara mehboob tumhare qadmo me aa gire"
"Toh agar mein aisa kuch tumhe de du toh....?"
Usne sir jhatke se aankhe khol li. Ek dum se hi wo saare baatein aur us kaali ladki ki kaali chamkili aankhein usey yaad dilati thi.
"Tum sab ko apni muthi me karke duniya pe raaj karo. Kya tum yehi nahi chahati?"
Usne ghabra kar idhar udhar dekha. Yu lagta tha, wo ladki apni bheed bhari awaaz me us ke paas se hi bol rahi thi.
'pata nahi, kya karu.....?' uska dil zor zor se dhadak raha tha. Ek lamhe ko usne wo kitaab us se mangne ka socha magar dusre hi pal darne lagi.
"Nahi, nahi...... Malum nahi kaun sa safli Amal hai uske paas.....mein in kaamo me nahi padhungi.... Aagha jaan ko pata laga toh taange todh denge meri."
Wo khud ko kail karne lagi. Aur bag sambhale uth khadi hui. Usey ab us kaali ladki se koi baat nahi karni thi, bas! Ab usne faisla karliya tha.
Lekin dil ke kisi chupe khaane me is kitaab ko hasil karne ki khwahish ne bhi bahut khamoshi se sir uthana shuru kardiya tha.
___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂
YOU ARE READING
MUSHAF (by nimra ahmad)
SpiritualThis beautiful novel written by nimra ahmed To be honest, this was the only book that gushed my tears with its sentimental thoughts since she presents the book by referencing the "Holy Quran" with the life of the people. The story in the book revolv...