Chapter 5.1

9 4 0
                                    

Sidhiyo ke sath lage lambe aaiine ke samne khadi woh kaan mein jhumka pahen rahi thi. jhumka chandi ka tha, uske silver choodidaar pajame jaisa aur sabz kameez pe bhi aisa silver kaam tha aur dupatta to yun tha, jaise sabz aasman par taare bikhre ho. choti aastino se uske gore aur soft baazu dikh rahe the aur naazuk kalaiyo me bhar bhar ke silver aur sabz choorian. halka sa makeup aur sunehre  bhuraye baal sidhe shaano pe bikhare the.

Jhumka kaan mein jaake hi nahi de raha tha. woh chudiyo bhare dono hathon se jhumke ko kaan ke suraakh mein daalne ki koshish kar rahi thi. sab bahar lawn mein jama the, mangni ka function shuru tha aur aik us ki tayyari rehti thi.

"Uff" aur is ne jhanjhala kar jhumka kaan se hataya. kaan ki loo surkh padh chuki thi . "Ab kya karoon.....?"

Us hi pal aaiine mein uske piche Fawad ka chehra ubhra.

"Fawad bhai...?" woh hairan si palti. "Aap idhar? sab to bahar hain."

"Tum bhi to idhar ho." woh uske bilkul samnay aa khada hua. black suit mein woh itna smart banda bina palak jhapkaye mabhoot sa usey dekhe ja raha tha. Uski nazre apne aap hi jhuk gayi.

"Tum kitni khubsurat ho mehmil!"

mehmil ka dil zor se dhadka. Us ne baa-mushkil palke uthayi. woh un hi makhmoor nigahon aur mohabbat bhari nigahon se usey dekh raha tha. Us ki nazron ki wajah se mehmil ke haal laal padne lage.

"woh.......woh jhumka pehna nahi ja raha." woh ghabra kar jaise idhar udhar dekhne lagi.

"Idhar dikhao."  Fawad ne uske haath se jhumka liya, zara sa jhuka aur aik haath se us ka kaan pakda, dosre se jhumka daal diya.  "oh itni si baat thi aur tum ne pura kaan surkh kar dala." Usne naram lehje mein kehte, halke se uske bhure balon ko chua aur phir peeche hatt gaya. woh bhi sambhal kar jhumke ka lock lagane lagi. aik dam hi Fawad kuch kahe bina bahar nikal gaya, aur woh jo pichlle lamho mein khoyi thi, chaunk kar palti, woh darwaaza band kar ke ja chuka tha.

"yeh kya?" woh uth kar aaiine ki taraf palti to thatak gayi. hasan sidhyoon ke upar khada teekhi nazron se usay dekh raha tha. woh ghabara kar jaldi jaldi baalon mein brush phair kar jaane lagi, magar hasan seedhiyan tez tez phalangte neeche aaya aur......

"agar aaj ke baad mein ne tumhe Fawad ke das foot ke qareeb bhi dekha toh tange tod kar ghar bitha dun ga, samjhi?"  ghusse se us ki kalayi pakad kar usne itni zor ka jhatka diya ke woh cheekh padi.

"husn bhai....."

"Aayi samajh, ya nahi?"  Usne dubara jhatka de kar uski kalayi chodi aur aik
Nigah uspar daal kar lambe lambe qadam bharta bahar nikal gaya.

woh sakt si apni jagah khadi reh gayi. us ne sabz choorio wali kalayi thami thi aur aadhi se ziyada choorian toot kar girne lagi thi.  bahut sa kanch usay chubh gaya tha aur

jagah jagah se khoon ke qatre nikalne lage the.

"Yeh.......husn bhai......inhen kya hua?" woh dukh se apni zakhmi kalayi dekhti reh gayi. sabz kanch ke tukre farsh pay bikhare the. Uski aankhon mein ansoo aa gaye.

Yateem hone ka yeh matlab tha ke jis ka dil chahe, is pe haath uthaye woh ansoo
Behte andar lagey zakham ko baa-mushkil bardasht karke marham lagati jhuk kar kanch chuney lagi. dil chaah raha tha ke khoob roye. magar khud ko sambhale woh dusri choorian pehan kar bahar aa gayi. sidra bade sofay par dulhan ki tarah bhi sawari baithi thi. aam si shakal ki surat bahut make up ke bawajood bhi aam lag rahi thi. Uska mangetar bahut mota tha, aur sharmaya hua bhi. Us mein kuch aisa nah tha ke koi mutasir hota. aur nida aur Samia toh muskura muskura kar kilas ke baatein bhi kar rahi thi.

sunne mein aaya tha ke woh mehtaab taaayi ki kisi second cousin ka beta tha. yahin Islamabad mein aik achi post pe kaam kar raha tha. jaane kab rishta aaya aur haan hui, usey aur musarrat ko to ghairo ki tarha khabar di gayi thi.

lawn mein shaur aur roshiniyon ki bahhar thi. woh jis waqt bahar aayi toh rasam ho rahi thi aur sab aik dusre  ko mithai khila rahe thi. sab hans bol rahe the. woh khamoshi se ghaas par chalti hui aik kursi par aa baithi. Us ka dil udas aur ankhen ghamgeen thi.

Fawad bhi wahi stage pe kisi ki baat pe hanstaa hua apne behnoi ko mithai khila raha tha. mehmil ne ird gird dukhi nigahon se dekha. Stage ke samnay, ghaas pe saari pehni hui fiza chachi apni kisi janne wali khatoon se hasan ka taaruf kara rahi thi. hasan ke baazu ko thame woh bohat fakhr se us ke mutaliq bata rahi thi aur woh muskurate hue un khatoon se baat kar raha tha. Usne bhi black dinner suit pehan rakha tha aur bilaa shuna woh bahut good looking lag raha tha. mehmil ne dukh se usay dekha. Us pal usay hasan se bada munafiq aur doghla shakhs koi nah laga tha. hasan ne uski naazuk kalayi ko hi nahi, uske dil ko bhi zakhmi kar diya tha.

saare function ka maza kharab ho gaya tha. woh itni bad dil aur gham zada baithi thi ke ehsas hi nahi hua, waseem kab uske sath aa khada hua.

"Aaj kitno ko girane ka irada hai, sarkar!" woh aik dam bahut qareeb aakar bola to wo uchli. woh  apne us ghatiya andaaz mein muskura raha tha. "Bade lashkare hain choti cousin, kheriyat?" woh ajeeb se andaaz muskuraya toh woh ghabra kar uthi aur ladkiyon ke group ki taraf badh gayi.

sath hi baar baar peechay murr kar dekhti. waseem idhar udhar ghumte musalsal usey apni nigahon ke hisaar mein rakhe hue tha. woh bachte bachati logon mein hi ghiri rahi. woh sab cousins bohat khush aur aik sath mukammal nazar aa rahe the. sirf woh aik faaltu kirdaar thi. halaanke kitni hi aurton ne poocha tha ke yeh sabz aur silver kapron wali ladki kon hai? woh thi hi itni khubsurat aur alag. magar har shayy se be khabar woh saara waqt sad hi rahi. sidra ki mangni pe jitne shugal aur maze ka usne socha tha, usse barh kar woh bad mazah hui thi.

___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂

MUSHAF (by  nimra ahmad)Where stories live. Discover now