Chapter 2.2

19 3 0
                                    


Shaam ko usne bahut mehnat se chocolate souffle banaya. Aur jab wo khub thanda ho gaya toh tray me saja kar upar sidhiyaan chadhne lagi. Abhi dusri sidhi pe hi thi ke aarzo niche aati dikhai di.

"Ye kiske liye hai?" Wo mathe pe Bal daale lamhe bhar ko ruki. "Faadi ke liye hai?"

"Jii....unhone kal kha tha, mere paas time kaha tha. Aaj bhi kisi ko yaad nah aaya toh bana hi Diya." Usne be niyaazi se shaane jhatke. Wo dusri sidhi pe tray uthaye khadi  muntazir thi ke aarzoo niche utre aur wo upar ja sake.

"Aur dinner ki tayyari karli tumne?" Aarzoo zine se utar kar uske bilkul samne aa khadi hui.

"Amma bana rahi hai"

"Korma bana liya hai? Mummy ne kaha bhi tha. Tumne check kiya?"

"Aap sidhe sidhe keh dein ke me chali jau aur aap ye tray fawad bhaii ko de kar apne number bana le, pakdein" usne tray zor se usey thamayi. "Mujhe aur bhi kaam karne hai" wo khat khat sidhiyaan utar kar kitchen ki taraf chali gayi.

"Badtameez" wo badbadayi.

Magar Mehmil ko malum tha ke uski buland awaaz fawad sun chuka hoga aur ab aarzoo jo chahe kar le, wo jaanta tha ke kaam misne kiya tha aur number kaun banana chah raha tha.

Aur phir yehi hua.

Raat khaane pe jab musarrat ne chocolate souffle laa kar rakha toh fawad ne sab se pehle daala.

"Ye tumne banaya ya Mehmil?"

"Jii" wo saadgi se boli.

Aarzoo ne naghawari se pehlu badla.

"Bahut tasty hai, tum hi roz mitha kyu nahi banati?"

"Itni free nahi hu me, 100 kaam hote hai mujhe. Exams ho rahe ha mere. Dil karega toh bana diya karungi, warna sab jante hai, Mehmil se he jii huzuri nahi hoti. Amma! Phulka mujhe utha de." Wo masroof si Amma ke hath se phulka lene lagi, jaise usey fawad ke taasirat ki parwah hi nah ho.

Wo sir hila kar souffle khane laga magar baar baar nigah bhatak kar usi masum se chehre pe tikti thi, jo bahut Magan si abhi tak khana hi kha rahi thi. Souffle ko usne hath bhi nahi lagaya tha.

___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂

MUSHAF (by  nimra ahmad)Where stories live. Discover now