Subah college bus ke liye wo stop pe rakhe bench ki taraf aayi toh zehen abhi tak udhar hi uljha tha.Bench pe baithte hue usne sarsari sa dekha, wo siyaa faam ladi usi tarah baithi hui thi. Goud me rakhi us kitaab ke kinaro pe mazbooti se hath jamae khamoshi se samne dekh rahi thi.
Wo jamai rokti baith gayi aur bedili se buss ka intezar karne lagi. Usne wahi kal wala ajrak ka kurta jeans ke uppar pahen rakha tha aur baal unchi pony me bandhe the. Soch wahi fawad ke ird gird ghum Rahi thi. Subah wo jaldi nikalti thi, tab tak wo niche nahi aaya hota tha. Uska kamra dusri manzil pe tha, jo thi toh ghufraan chacha, fiza chachi ki magar wo kinaare wala kamra fawad ka pasandeeda tha, so wo usko arsa pehle de diya tha. Fiza chachi ki do betiyaan aur ek beta Hasan hi the, so wo kamraan ki zarurat se zyada tha. Aur ye toh Mehmil ka dil hi janta tha ke wo kamra toh Abba ne banwaya hi uske liye tha, magar......
Siyaah faam ladki usi Khamoshi se samne dekh rahi thi. Wo bore hone lagi toh idhar udhar gardan ghumane lagi. Siyaah kitaab dekh kar kal ka waqia yaad aaya.
"Ye kitaab kab mili thi aapko?" Bagair tehmid ke achanak sawal. Us ladki ne itmenan se gardan uski taraf modhi.
"Do saal pehle"
"Ye kisne aapke liye khaaskar chodi thi?"
"Hai koi" wo zara muskurayi. Moti aankho ki chamak badh gayi.
"Aapko acha lagta hai wo?" Usne gaur se us chamak ko dekh kar kaha.
"Bahut zyada"
"Aap usey kaise janti thi?.....mera matlab, ye toh sadiyo purani kitaab hai"
"Bass me janti hu"
"Aur ye kitaab......ye aapki aapka maazi, haal aur mustaqbil kaise dikhati hai?"
"Isme sab likha hai. Guzre waqiat aur wo jo mere sath paish aane wala hai aur mujhe aise mauqe pe kya karna chahiye, sab likha hai"
Mehmil ka dil zor se dhadka. So siyah faam ladki usey bahut ajeeb baat bata rahi thi.
"Aapko isse kitna faida hota hai?"
"Jitan tumhari soch se bhi uppar hai"
"Phir aapke toh bahut maze honge. Aap isko padh kar sab kuch jaan jaati hongi."
"Haan, magar isme kuch Amal hai, pehle wo perform karne hote hai, phir har cheez waise hi hoti hai, jaise usne likha aata hai"
"Amal......amliyaat.......?" Wo chaunki. Andar koi alarm sa Baja. Ye toh koi safli ilm ki maahir baithi thi, usse zara ehtiyat baratna chahiye.
"Haan" siyaah faam ladki muskurayi. "Jo wo amliyat kar le, wo is kitab Ke zariye duniya pe Raaj karta hai. Sabog uski mutthi me aajate hai aur har sheh uske liye taskheer ho jaati hai. Sirf mein nahi, agar tum bhi is kitaab ka khaas ilm sikho lo toh tumhe is ke alfaaz me apna maazi, haal aur future nazar aane lagega."
"Aur......aur uske baad?" Wo sawal kiye jaa rahi thi.
"Uske baad tum is kitaab ko chod nahi sakti, tumhe apni zindagi isse baandh kar hi guzarni hogi"
"Aur agar mein isey chod du toh?"
"Toh tum tabah ho jaogi. Tumhari har cheez, har mohabbat, sab tabah ho Jayega. Isko lekar tum chod nahi sakti. Ye sab itna asaan nahi hai"
Mehmil ghabra kar uth khadi hui. "Meri buss......" Usi pal buss qareeb aati nazar aayi, wo dhaud kar buss ki taraf jaane lagi.
"Tum aik din zarur aaogi mere paas" siyaah faam ladki muskurayi thi. "Tum ek din zarur gidgida kar ye kitaab mangne aaogi. Me janti hu, tum logo ki satayi hui ho. tumhara dil zakhmi aur hath khaali hai. Aur jis din ye dil puri tarah tut jayega, mein tumhe ye kitaab de dungi. Jao, tumhari buss aagyi hai"
Wo khaufzada si buss ki taraf lapki. Aaj Rodd pakad kar andar chadhte usey piche dekhne ki himmat nahi hui thi.
___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂
YOU ARE READING
MUSHAF (by nimra ahmad)
SpiritualThis beautiful novel written by nimra ahmed To be honest, this was the only book that gushed my tears with its sentimental thoughts since she presents the book by referencing the "Holy Quran" with the life of the people. The story in the book revolv...