Chapter 4.4

5 2 0
                                    


Subah wo phir jaldi aagyi thi.

Siyaah faam ladki aaj bahut pehle se us bench pe baithi thi, usey dekh kar Mehmil ke qadam tez hogye.

Qadmo ki awaaz pe hi usne muh uthaya. Mehmil ne dekha, usey dekh kar us ki siyaah aankho me ummed ke diye kal uthe the.

Sadak khali thi, dur Suraj ubhar raha tha. Mehmil uske bilkul samne aa khadi hui. Suraj ki dhup uske piche chup gayi.

"Tumhe sharam toh Nahi aayi hogi mere sath aisa behuda mazak karte hue?"

Siyaah faam ladki ki nigahe uske hatho me pakdi kitabo pe jhuki. Ek dum hi uski aankho ki chamak bujh gayi.

"Mushaf wapas karne aayi ho?"

"Mushaf?" Ukhdi Ukhdi si Mehmil ne eyebrow uthai.

"Hum arab world (arab duniya) me Qur'an ko Mushaf kehte hai"

"tum ne mujhe kya qisse kahaniya suna kar quran thama diya? yeh koi mazaaq karne ki kitaab toh nah thi. yeh toh quran tha."

"quran tha nahi, quran hota hai." woh udasi se muskarayi to mehmil ne shanay uchkaye.

" bahar haal! tumhe yeh practical joke kar ke mujhe sharminda karne par sharam aani chahiye. mein toh kya soch rahi thi aur tum ne mujhe ek muqaddas kitaab thama di?"

"Toh tum kisi ghair muqaddas cheez ki tawaqqa kar rahi thi kya?"

"jii nahi!"  woh tilmilayi, phir quran us ki goud mein rakha. "yeh mere paas pehle se hai, mujhe zaroorat nahi hai."

"Baith kar baat kar lo."


"mein theek hu" woh isi tarah seene pe haath bandhe ukhdi ukhdi si khadi rahi.

acha usne narmi se mushaf ki siyah jald pe haath phera. toh tum ne yeh padh rakha hai?" Us ki aawaz mein subah ki saari udasi thi.

"haan aur bachpan mein hi padh liya tha. Allah ka shukar hai ke hum shuru se hi musalman hain." woh aadatan jata kar boli. aur tumhe hamari muqaddas kitaab ke baare mein ghalat fehmiya hain, yeh koi faal nikaalne wali kitaab nahi hai, nah hi is mein meri ya tumhari story hai. la hawla wala quwwat."

"Acha" woh zara sa muskarayi. "Chalo phir betho aur mujhe batao ke is mein kya hai."

"Is mein ehkamaat hain, namaz, roze, hajj, zakat ke." woh uske sath bench par
baith kar usey bahut samajh daari se batane lagi. is mein purani qaumo ke qisze hain. qoum e Aad , samood aur......aur bani Israel"

"Yeh bani Israel ka kya matlab hota hai?"

"matlab?" Wo halka sa gur badbadayi "bani Israel ka matlab hua, Israel ke bete?"

woh pooch rahi thi ya bta rahi thi, khud bhi nah samajh saki. "Israel ka matlab abdullah hota hai. ail Allah ko kehte hain. yeh Yaqoob ka naam tha."

"Aan, haan. hazrat Yaqoob ka qissa, hazrat Yousuf ka qissa, sab padh rakha hai maine ye hamare course me tha. Aziz misar ki biwi ka naam zulekha tha?" siyah faam ladki ki aankhon mein herat ubhri .

"Yousuf aur zulekha wala qissa"

"Aziz misar ki biwi ka naam zulekha tha?"

"Kya nahi tha?" woh confused hogayi.

"koi Daleel hai tumahray paas? koi Hujjat?"

"Daleel?......Hujjat ?" woh tukur tukur us ka chehra dekhne lagi. "hmare course ki guide book mein likha tha?"

"course ki guide buk insaan ki baat hai. aur insaan ki baat mein Daleel nahi hoti. Daleel sirf quran ya hadees se paish ki jati hai, kyunki dono nazil khuda wandi hote hain, quran aur hadees mein kahi bhi nahi bataya gaya ke is aurat ka naam zulekha tha. Uska lehja naram tha. misar ki us aurat se aik ghalti hui thi, aik jurm huaa tha, magar Allah ne us ka parda rakh liya. is ka fazl toh bataya magar naam nahi. aur jis cheez ka parda Allah rakhay, woh khul nahi sakta, magar hum ne Yousuf or zulekha ke qissay har masjid o minbar par ja kar sunaye. hum kaisay log hain?"

MUSHAF (by  nimra ahmad)Where stories live. Discover now