Chapter 4.1

11 2 0
                                    


Dur bench pe baithi kaali ladki ko dekh kar, uske qadmo me tezi aagyi. Wo tez raftari se uski paas aa baithi.

"Good morning!"

Kaali ladki ne chaunk kar sar uthaya aur phir zara sa muskurayi.

"Good morning too you to"  wo us hi tarah kitaab ko mazbuti se pakde baithi thi.

"Mein darasal....." Mehmil uske paas aake baith gayi. "Mujhe.......mujhe kal ke behaviour pe bahut sharmindagi hai. Mein kabhi bhi itni rude nahi hoti aur...."

"Jaane do. Mujhe bura nahi laga"

"Nahi...... I'm sorry...... really sorry.... Mein kuch pareshan thi."

"Maine toh tumhe tumhari har pareshani ka hal bataya tha. Tum khud hi is kitaab se koi dilchaspi ni hai.

"Nahi, wo......" Usne baisakhta nigahen churai. "Mujhe is kitab Se koi dilchaspi Nahin Hai "

"Magar is kitab Ko tumse Hai. Isne mujhe kaha hai ke mein isey tumhare hawale kardu."

Wo buri tarah chauki thi pehli guftgu mein bhi usne usey koi aisi hi baat batai thi.

"Ye....ye kitaab mujhe janti hai?"

"100% janti hai. Tumhari zindagi Ki saari kahani ismein likhe Hai. Guzre waqiat aur aane wale halat."

"Waqai?" Wo hairan reh gayi thi. Ajeeb be yaqeeni thi.

"Haan, isme sab likha hai"

"Tumne.....tumne meri zindagi ki kahani padhi hai?"

"Nahi! Me wo nahi padh sakti"

"Kyun?....kya tumne ye kitaab puri nahi padhi?"

"Maine Puri padh rakhi hai. Magar mujhpe sirf meri zindagi ki kahani khuli hai. Tumhari zindagi ki kahani sirf tum pe hi khulegi."

"Tum kya kah rahi ho, mere Kuchh samajh Mein Nahin a Raha" ab wo waqai Pareshan Ho gai thi.

"Aajaye.....har baat samajh me aajayegi. Bass thoda waqt lagega" wo usey dekh kar reh gayi. Wo ladki kaun thi, kaha se aai thi aur ye kitaab kisne uske liye sadiyo pehle likhwa kar chodi thi, kuch samajh nahi aata tha.

Buss ka horn baja toh wo chaunki aur phir bagair kuch kahe bagair tezi se uth kar khadi hui.

Kaali ladki muskurate hue usey buss me sawar hote dekh rahi thi.

___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂

MUSHAF (by  nimra ahmad)Where stories live. Discover now