Chapter 2.4

24 4 0
                                    

Saari raat wo thdi thdi der me aansu bahati rahi. Wo so bhi nahi saki. Subah
uthi toh sir bhaari ho raha tha. Mushkil se ek sukha toast aur chaii ki aadi pyaali halaq se utari aur bahar nikal gayi.

Stop pe roz ki thandi subah thi. Bench pe wo siyaah faam ladki waise hi baithi khamoshi se sidh me dekh rahi thi. Goud me black coverl wali kitaab rakhi thi. Aur uske hath kitaab ke kinaro pe bahut mazbuti se Jame hue the.

Aaj wo bahut thaki thaki aur dukhi si thi, so jaakar bench pe baith gayi. 10 mint hi toh bitane the toh itni kya ehtiyat. Us kaali ladki ki gardan uski taraf ko mudi.

"Raat ko theek se soyi nahi?"

"Bas aise hi" wo dusri taraf kehne lagi.

Samne sadak Khali thi. Dusri taraf ikka dukka log dikhai de rahe the.

"Logo ki satayi hui ho?"

Usne chaunk kar usey dekha.

"Aap kaise keh sakti hai?" Mohtat andaaz me pucha.

"Tumhare chehre pe likha hai, tumhare dil dukhi hai aur rooh thaki Hui. Tum takleef me ho aur logo ki baate tumse bardasht nahi hoti. Haina?"

"Pata nahi" usne bazahir laparwahi se shaane uchkaye. Lekin dil andar zor se dhadak raha tha.

"Aur tum future ke baare me khaufzada ho aur apni saari muskilo ko hal karna chahti ho. Kuch aisa ho jisse yeh tumhe pareshan karne wale log tumhare aage piche phirne Lage, tumhara mehboob tumhare qadmo me aa ghire, maal Daulat tum pe nichawar ho jaye, tum Sab ko apni mutthi me karke duniya pe raaj karo, kya tum yehi nahi chahti?"

"Haan" Mehmil ne be basi se usey dekha. Uska dil moum ki pighalne laga.

Wo kaali rangat wali ladki Uski har dukhti ragh ko apne hath me le rahi thi. "Mein yehi chahti"

"Aur agar mein tumhe kuch aisa de du toh?"

"Kya yeh.....yeh kitaab?" Usne jhijhakte hue pucha. Usey lag raha tha, wo zyada der tak resist na kar payagi.

"Haan, agar tum ye karlogi toh sab kuch tumhari muthi me aa jayega. Sab kuch" wo hesitant si lab kuchalne lagi. Us ladki ki baate bahut pur fareb, pur kashish thi. Usey laga wo jald hi phisal padegi, behek jayegi

"Kya ye sab itna asaan hai?"

"Shayd nahi. Tumhe is kitaab ke Amal karne me bahut mushkil hogi, magar ek baar Sikh jaogi toh sab asaan ho jayega. Zindagi sambhal jayegi. Aur phir jinke liye tum roti hoo, wo tumhare liye royenge, wo tumhare piche aayenge."

Bus ka Tez horn usey wapas mahol me laaya. Wo chaunki aur bag ka strep kandhe pe daale uth khadi hui. 10 mint khatam ho chuke the.

"Meri buss....."

"Jao" wo kaali rangat wali ladki boli.

Wo tez tez qadmo se chalti bus ki taraf badhi. Dil abhi tak zor zor se dhadak raha tha.

'mehboob qadmo me, log muthi me, daulat nichawar, aur duniya pe raaj.....'
'kya ye mumkin tha....?' wo uske kahe gaye alfaz pe saara rasta gaur Karti rahi thi. Lekin baar baar khud ko jhadak rahi thi.

Ye kaale ilm, safli ilm, jaadu tona, chille wagera bure kaam the, usey inme nahi padhna chahiye. Usey aisa sochna bhi ni chahiye.

College ke darwaze pe utarte hue usne Faisla Kiya ke wo ainda us kaali rangat wali ke qareeb bhi nahi jayegi. Bench pe baithegi na hi usse baat karegi. Usey dar tha ke agar ek dafa phir uski offer sunli toh wo shyad usey qubool karke kisi aise gumnaam raste pe nikal padegi, jaha se wapsi ka safar Mumkin nah ho.

___________________________
Don't forget to vote 🤎🍂

MUSHAF (by  nimra ahmad)Where stories live. Discover now