Chapter 1.4

21 3 0
                                    


Sham Mein wo kamre Mein band padhi Rahi, phir magrib Dhal gayi toh kitchen Mein aa gai Jaha musarrat phurti se cutting board par pyaaz,tamatar kaat ti Raat Ke khane ki taiyyari kar rahi thi. Kitchen mein aur koi nahi tha aur yaqeenan saara pehlawa unhi ko sametna tha.

"Amma! Taayi Amma ya chachiyo Mein Se koi khane Ki zimmedari kyon Nahin leta? Hamesha aap hi kyun banati hai?" Woh Yeh Sab Dekh Kar holl gayi.

"Toh hamara Ghar Hai beta! mein yeh karungi toh kya ho jaega?"

"Aap thakti Nahin Hai unki khidmat karte karte?"

"Nahi ! thakan kaisi?" Woh ab jhuk kar gas jala rahi thi.

"Acha batae, kya banana hai? Me kuch kara du"

"Biryani toh banani hi hai! Baaqi Mehtab bhabi se puchti hoon" aur usi p mehtab taayi ne kitchen ka darwaze se jhaanka.

"Khana banana ab shuru bhi kar do musarrat! Roz der Ho jati Hai"

Musarrat gass jalate fauran palti. "Jii bhabi! Bas shuru kar rhi hu. Aap batae, biryani ka Waseem beta keh kar gaya tha, sath kya banau?" Wo dupatte se hath pochte unke samne jakar poochhne Lagi.

"Sath matar qeema Bana Do, kabab bhi tall le na, aur sath me dupher wala arbi gosht bhi garam kar lena, aalu ka ek salan bhi banaa lo, salad aur raita bhi mat bhulna."

"Jii, aur mithe me?"

"Dekhlo............pudding bana lo. Ya double roti ki kheer" wo ek wo ek nazar uspe daal kar palat gayi.

"Ek time pe deghche bhar bhar ke aap teen-teen, chaar-chaar, dishes banati hai, magar raat ke liye kuch bachta hi nahi hai" wo kilasti bhi thi aur hairan bhi hoti thi.

"Tum khud hi toh kehti ho ke wo hamara maal haram tareeqe se khate hai, phir haram me kaha se barkat hoti hai beta?" Unke lehje me barso ki thakan thi aur wo keh kar phir se cutting board pe jhuk gayi.

Wo bilkul chup ho gayi. Waqai kyu yaha deghche ke deghche ek waqt khane pe khatam ho jaate the? Usne toh kabhi is pehlu pe socha hi nahi tha aur Amma bhi unke har zulm ve zyadtti se aagha thi, phir bhi chup chaap sahe jaati thi.

"Hamara maal!" Dil me ek kaanta sa chuba. 11 saal pehle Abba ki death se pehle ye factory, ye jayedade,ye bank balance, ye import export ki puri business empire, sab abba ka rha aur ye aagha Kareem khan, ye Raja bazar me kapde ki ek dukaan chalate the. Ghufran chacha ek mamuli se company me engineer the aur aarzoo ke walid Asad chacha, wo toh Waseem ki tarah the be rozgaar, nikamme nikhattu aur na laiq. Phir kaise Abba ke chehlam ke baad wo apne apne kiraye ke ghar Khali karke baari baari idhar aa base.

Ye aagha ibraheem me Ghar. 'aagha house' teen manzil ki aalishan mehel ki tarah dikhne wali kothi. Nichli manzil pe aagha jaan ki family ne basera jamaya. Bich wali pe fiza chachi ne aur sab se upar wali manzil pe Asad chacha ki family ka qabsa tha. Wo Chand din ke liye aaye the, magar phir wo Chand din kahi khatam nah hue. Baar be baat jagah ki kami ka rona roya jaata, yaha tak ke master bedroom se musarrat aur Mehmil ko nikal kar store room me shift Kardiya. Wo us waqt choti thiz shayad 9 saal ki, ab toh arsa hua, usne dabna chod diya tha. Ghar ke mardo ke samne toh khair wo apni zubaan band hi rakhti, magar taayi chachiyo se Barabar ka muqabla karti aur cousins toh kisi khate me nah the. Lekin us zubaan chalane ki wajah se uspe sakhtiya badhte gayi. Wo sirf zubaan se jawab de sakti thi, magar taayi Amma wagera dusre harbe bhi istemal karte. Jab se usne apne zaati jaib kharch ke liye ek dost ke walid ki academy me tutions Deni shuru ki thi, uski Ghar wapsi me dair ho jaati aur natija uske liye dupher ka khana na rakha jaata. Ek dafa Amma ek roti aur salan ki plate bacha kar kamre me le gayi, magar taayi mehtab ki nigaah padh hi gayi aur ghar me bhonchal hi aagya. Usne itni baatein sunai musarrat ko aise aise chori ke ilzamat lagaye ke musarrat dubara kabhi aisa nah kar saki. Shayad taayi ye sab is liye karti thi taake wo tution chod de aur jo 1500 rupees us tution se milte hai, wo nah mile.

MUSHAF (by  nimra ahmad)Where stories live. Discover now