Ayaan, Ayaan Ahmed aik mukhtalif insaan tha. Ayaan 26 saal ka tha aur aksar apne office ke kaam men masroof rehta tha. Lekin vo baki larkon se buhat alag tha. Apne ird gird mojood logon ka be panah khayaal rakhne wala, har kisi se muskura kar milne wala, aik bohat hi khubsurat shaksiyat ka malik tha. Oski ankhon men aik ajeeb si chamak thi, vo muskurata tha tu jee chahta tha ke muskurata hi rahe. Osko safed rang buhat pasand tha. Ayaan apne bharon ka buhat farmanbardar tha. Ayaan ko bhi Noor ki tarah barish bohat pasand thi. Jab kabhi office men hota aur barish hoti tu foran apne office room ke tarrace par jaa kar barish dekhta. Osko chehre parne, loug parakhne aate the. Oski saaf goi hi thi jo oske kirdaar ki aik buhat khaas sift thi. Oske zyada dost tu na the par oski diary oski behtareen dost thi jo bin
kuch bole oski sab baaten sun lia karti thi. On seyaah lafzon men jo vo apni diary pe likhta tha, na jaane oski zindagi men aane waale kitne dukhon aur kitni khushion ki dastaanen samai hoi thin.

YOU ARE READING
Safeena-e-Qalb
FanfictionYe kahani hai on do logon ki jin ko waqt aur logon ne be inteha azmaishon men dhakel dia. Kuch tha onki chahat men jis ne har phool ko oski khushbu wapis lauta di aur har chaman ko oske rang lauta die. Har taufaan se dat kar lare the vo dono, kuch m...