Izteraab

351 24 35
                                    

Taqreeban sare geyara ho rahe the raat ke. Uzma aur Ayesha dono apni apni ammi ke ghar gae howe the aur Fahad aur Ahmed office ke kaam ki wajah se Dubai gaye howe the. Ghar par sirf dada aur Noor the, Ayaan office se ghar nhi aaya tha. Noor ne dada ko yahi kaha tha ke vo aa kar araam karne chala gaya hai magar office ke aik worker ne Noor ko phone pe bataya ke vo apne kisi dost ko oske ghar chorne gaya hai. Noor ne Ayaan ke phone par calls ki magar osne phone nhi uthaya Noor na jaane  kis kadar izterab ki kefiet men thi. Os ne dada ko tasali dila kar sula dia tha uar Gul bibi ke shauhar ko on ka khayal rakhne ko bola tha. Aik dam se tez hawa chalne lagi, andhi aai aur zor se baarish hone lagi. Barish itne zor se ho rahi thi ke jese asmaan ne apna sara bojh zameen par barsa dia ho. Vo bahar ja ke gate ke pas khari thi jab barish ki bondon ne oske wajood ko choya tha. Usne foran hath uthaye, uski aadat thi barish men dua mangne ki. Osne kab se roke howe ans'on ko behne dia.

"Allah jee please mera Ayaan ko bahifazat ghar puhancha den."

Vo takreeban dhairh ghante se barish men bheeg rahi thi, oska wajood sardi ki wajah se neela par gaya tha aur vo buri tarah se kaanmp rahi thi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Vo takreeban dhairh ghante se barish men bheeg rahi thi, oska wajood sardi ki wajah se neela par gaya tha aur vo buri tarah se kaanmp rahi thi. Yun mehsoos ho raha tha ke oske andar jaan nhi hai, oski rooh oske wajood se nikal gaye hai. Ose darwaza khulne ki awaaz aai tu vo foran nazren utha kar dekh gaye. Vo ghar ke andar dakhil ho raha tha. Ayaan Noor ko yun dekh kar herat zada howa. Vo zameen pe bhethi thi bilkul bejaan howe. Vo oske qareeb aa kar ghutno ke bal bhetha aur oske bazo'on ko jinjhora.

"ARE YOU CRAZY NOOR, IT'S FREEZING YOU ARE ALL WET."

Noor ke andar kuch bolne sun'ne ki himat nhi thi. Ayaan ne ose sahar dia kamre men ja kar osko bethaya. Oske hosh chand minton baad sambhale the jo vo Ayaan ki taraf qadam bhara gaye. Ayaan oski ankhon men utarta gussa dekh ke qadam dewaar ke taraf bharata gaya aur phir oski kamr jaa kar dewaar ke sath lagi. Noor ne oske girebaan ko apne hath men jakra tha. Osne Noor kanmpta mehsoos kar ke oske gird bazu rakhe.

"DONT TOUCH ME AYAAN."

Vo foran hath utha gaya os se.

"MR AYAAN AHMED HERE, LOOK INTO MY EYES."

Vo sar jhuka gaya kuch na samajhte howe.

"I THINK I WAS PRETTY CLEAR, LOOK INTO MY EYES AYAAN."

"

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Safeena-e-QalbWhere stories live. Discover now