Naya Ehsas

352 25 30
                                    

Shadi ke baad se ghar ke halaat kafi had tak acha the. Kamazkam sab sath beth kar khana kha lia karte the. Lekin sab yun maloom parta tha jese masnoi ho, haqeeqat na ho sub palak jhapakte hi khatam ho jae ga. Salman sahab ke bete aur bahuen tu zyada der khamosh raha karte the. Han magar onki apni, Noor aur Ayaan ki  khilkhila kar hasne ki awazen jese phir se asmaanon men rang bhar dia karti thin. Jis ghar ki daro dewaar ne arse se khushi na dekhi thi osko na jaane kitne arse baad khushi naseeb hoi thi.
                  .............................
Subha nashte ke baad Noor aur Ayaan ko dada jaan ne apne kamre men bulaya tha. Vo dono onke kamre men sath hi gaye the. Dada apni chair pe bhete the aur vo dono onke pas fireplace ke samne rug par bhethe the.    

"Men tum dono ke lie buhat khush hoon merey bacho."

Noor aur Ayaan dono ne apne dada ke ghutnon pe sar rakh lia.

"Tum dono ko khush dekh kar mujhay buhat taskeen milti hai, mujh se wada karo tum dono ke meray jaane ke baad bhi is rishte ko qaim rakho ge."

On teenon ki ankhen nam hoi thin. On dono ne apne dada jaan ke boorhe kapkapate hathon par apna apna hath rakha aur onhe yaqeen dilaya ke vo on ka wadaa nibhayen ge.
                ..........................
Noor aur Ayaan dono ne wapis apni apni job par jana shoru kar dia tha. Raat ko Noor bheti apna kaam kar rahi thi aur sath hi bhetha Ayaan apna kaam kar raha tha.

Noor ko mehsoos howa ke vo oske zara qareeb ho kar kuch kehne laga hai. Vo muri tu on dono ke darmiyan ka fasla buhat kam tha. Kuch der tu vo yun hi oski ankhon men dekhti rahi. Kya tha oski ankhon men jo apni taraf kheenchta tha itni kashish ke dil karta tha ke sab bhool ke sirf osi ki ankhon men samaa jae vo. Ayaan ne oske kaan men sargoshi ki thi.

"Kya howa kya dekh rhi ho?"

Osne foran nazren churai aur apne kaam par mutwaja hoi.

"Acha Noor baat tu sun lo."

"Jee...bb...bolen."

Ayaan ne oska hath pakra tu ose mehsoos hoa ke vo kaanp rahe the. Ose ajeeb sa mehsoos howa.

"Why are your hands trembling?"

"V...vvvo....kuch nhi bas aise hi."

Ayaan ne oski kalai par apni grift bharai.
                                            
"Mujhay batao tumhe kya howa ha Noor? Tum mere se itna ghabraane kyun lag gaye ho? Is everything fine?"

"Everything is fine, mujhay tu kuch nhi howa."

Vo dheeme sa muskurai.

"Ayaan bas ye jo aap serial killer waali looks dete ho na they are pretty scary."

"You are telling me that I am scary?"

Vo oske aur qareeb aa gaya aur ose haste howe ghorne laga.

"Peeche haten."

Vo uth kar side pe hoi aur vo abhi sofe pe hi bhetha tha oski taraf muskura kar dekh raha tha.

"Ayaanoo wese sach kahon tu you are more than scary."

Vo zor zor se hasne lagi aur washroom ki taraf bhag kar darwaza lock kar lia.

"Noori come out and I'll tell you how scary I am."

Kuch der baad vo bahar nikli tu vo oska muntazir tha. Osne ose bazu se pakra aur apne kareeb kheencha.

 Osne ose bazu se pakra aur apne kareeb kheencha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Just listen your heartbeat, you are shivering. Yaar meri shakal kisi bhoot se milti hai?"  

Vo sir jhukae khari thi, aik dam se vo muskurai.

"Give me your hand Ayaan."

Osne Ayaan ka hath pakar kar osi ke seene pe rakha.

"Now hear your heartbeat, mujhay batao men kis churail se milti hoon."

"Aap churail se milti nhi aap meri personal churail han."

Vo qehqa laga kar hasa aur Noor khafa si shakal bana gaye.
On dono ko is naye ehsaas ko naam dena nhi aa raha tha, kuch naya tha magar vo dono anjaan the.
                ............................
Ayaan apne office ke lia tyaar ho raha tha osne Noor ko awaaz di.

Ayaan apne office ke lia tyaar ho raha tha osne Noor ko awaaz di

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


"Noor meri tie kidher ha yaar?"

"Uff ooh Ayaan apne khud hi tu cupboard men rakhi thi."

"Ohh han sach men dekhta hoon."

Noor dressing table ke saamne khari tyaar ho rahi thi. Osne abhi apne baal sametne ke lie hath sar ke ooper kie hi the ke ose apne hath par Ayaan ka hath mehsoos howa.

"Ruko men kar deta hon."

Osne chup chaap apne hath neeche kar lie. Ayaan ne bari nafasat se os ke baal clip se samete aur aik nazar sheeshe ko dekha.

"Ye lo ho gya."

"Der ho rhi hai Ayaan chalen?"

"Han theek hai ruko can you hold my coat mujhay baal sahi karne han."

"Sure."

Vo baal bana raha tha tu vo osko dekh rhi thi shayad Noor ko khud andaza nhi tha ke sheeshe se Ayaan balon ke bajae Noor ko hi dekh raha tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.


Vo baal bana raha tha tu vo osko dekh rhi thi shayad Noor ko khud andaza nhi tha ke sheeshe se Ayaan balon ke bajae Noor ko hi dekh raha tha. Vo seedha howa tu vo bhi chalne ke garz se darwaaze ki taraf muri.
                 ..........................
Dopehar ko ghar aa kar ke vo ilmaari me cheezen theek kar rhi thi jab Ayaan ko oski awaaz aaye thi ........

Safeena-e-QalbWhere stories live. Discover now