Noor Ayaan

356 24 17
                                    

Ayaan dada ke pas onki chair ke pass, on ke paon god men lia bhetha tha aur Noor oske qareeb hi bhethi thi.

"Tum logon ko pata hai jab tum log chote the na tu men har Sunday tum logon ko apne sath sair par le ke jaya karta tha."

Vo khushi se bata rahe the aur vo dono buhat tawaja se sun rahe the.

"Aur pata hai tum dono ka na aik dosre ke sath bhi guzara nhi hota tha aur aik dosre ke bager bhi."

Vo teenon khilkhila kar hase the.

"Dada Noor zyada lara karti thi mujh se." 
 
"Dada ye jhoot bol rahen han ye larte the."     
                              
Noor ne foran bola.

"Abhi bhi bachon ki tarah larte ho tum dono."              

Vo muskurae the.

"Phir jab tum log thak jaya karte the tu men tum dono ko god men utha liya karta tha aur phir ham sath chalte ghar wapis aa jaya karte the."

Kitni saari yaaden thin jin ko shayad lafzon men bayan nhi kia ja sakta tha. Ye sach tha Salman sahab ne khoob pyaar nichawar kia tha apni ulaad par aur phir onki ulaad par.
                ..........................         
Vo sofe pe bhethi apne school ke kam men masroof thi. Ayaan sofe ke peeche se aaya aur oske kandhe pe apni thori rakhi. Vo oski sanson ki awaaz bakhoobi sun sakti thi. Oska dil dharka tha.

"Kya kar rhin han aap?"

"Vo men school ka kaam kar rhi thi."

Vo muskurai thi.

"Lo jee is ka matlab aaj hamare lie waqt nhi hai kuch logon ke pas."

"Nhi nhi aap bataen men baad men kar lon gi ye kaam thora sa tu hai."

Vo muskurate howe oske sath bhetha aur oska hath pakar lia.
"Aaj din kesa raha Noor?"

"Bas theek tha kaam thora zyada tha tu thora sa thak gai hon."

"Aur phir kaam le ke bhet gayi ho."

Osne os ki god se kitaben utha kar table pe rakhin.

"Abhi chor do in ko, just look at your eyes they are swollen."

"Kuch nhi hai Ayaan."

"Kuch nhi ki kuch lagti I won't talk to you, you better take care of yourself."

"Aap han na meri care karne ke lie."
Vo muskuraya tha uske qareeb hote oske hath apne hathon men lete.

"Tum janti nhi ho Noor how beautiful you are, tum waqei hi 'Noor' ho jispe nazar nhi theherti."

Vo sar jhuka gaye thi. Oske baalon ki lat ne oske mun ko chupa dia tu osne onko oske kaan ke peeche tikaya.

"Tum ye jo sharmati ho na mere qareeb hone pe itni cute lagti hon na jiska koi hisaab nhi hai."

Osne os ka gaal choya the apne labon se.Is par vo waqei laal tamatar ban gaye thi.

Is par vo waqei laal tamatar ban gaye thi

Ups! Gambar ini tidak mengikuti Pedoman Konten kami. Untuk melanjutkan publikasi, hapuslah gambar ini atau unggah gambar lain.
Safeena-e-QalbTempat cerita menjadi hidup. Temukan sekarang