Part 2

151 2 0
                                    

Suba nashte khatam kar ke Jamshed ne Bina se kaha
"Bina beta tum logon ke school yahan se kaafi door hai, main soch raha houn tum logon ka admission yahn kisi khareeb govt school pe kardoun, tumhara kia khayal hai"
BINA: Theek hai Abbu jaisa aap munasib samje
JAMSHED: To beta aisa karte hain, tum tayaar hojao hum chal kar tum logon ka TC lekar aate hai, Kal main yahn kisi se school ka pata karta houn. Phir admission karlenge. School khulne ne mein kam waqt rehgaya hai"
BINA: Ji Abbu, main bas abhi change karke aati houn" woh ander kamre mein chaligayi.
💐💐💐💐💐💐💐💐
Jamshed aur Bina niche utarrahe the toh niche Rohan apni bike bahar nikalraha tha, unhe dekh kar
ROHAN: Assalamualaikum uncle, main Rohan Murtaza, yahan niche rehta houn.
JAMSHED: Walaikummussalam beta, ghaliban tum Zubair saheb ke bete ho.
ROHAN: Ji, haan uncle, aap log kahin jaa rahe hai, mein auto buladun?
JAMSHED: Nahin beta, hum bus se jayenge, beta, yahan kahin nazdeek ladkiyoun ke govt school hai?
ROHAN: Haan uncle, idher thodi door mein ek girls Higher Secondary School hai, main lekar chalon aap ko?
JAMSHED: beta tumhe ko koi kaam toh nahi? khamakha takalluf hogi tume.
ROHAN: takalluf kaisi uncle aap hamare padosi hai, aur aap ka madad karna mera farz hai.
Jamshed ne Bina ki taraf dekh kar kaha
"Beta aap uper jao mein school dekh kar wahan se sab daryafat karke aata houn phir TC lene chalte hain"
Bina ne "theek hai Abbu" keh kar ek nazar Rohan per daalkar uper chali gayi.
Rohan Jamshed ko lekar school chalagaya.

🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁
Woh sab namaz padh kar khana laga rahe the toh Jamshed ki wapsi howi, aate hi Rohan ki tarif shuru kardi ke bahut accha baccha hai aur woh sab kaam bhi nipta aaye. Bina ke pas TC aur admission forms dekar kehne lage "Ye admission forms fill karke is mein TC attach karke niche de aao Rohan jama kardega"
Bina ne papers lekar almari mein rakkha aur Jamshed ku khane ku bulane lagi.
Khane ke baad Samar ne niche jaane ke baare mein baat karrahi thi aur phir une ne Tara se kaha ke un logon ka tiffen sab ek bag mein dalkar dede aur Bina se form fill karke dene ko kaha ke woh Rohan ko de aaye, Bina ne fill karke dediya aur poocha ke woh bhi niche anty se milne chale par unhoun ne mana kardiya ke bad mein le chalongi. Bina bas khamoshi se form thamakar apne kamre mein aake letgayi.
🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥🍥
Rohan ne school mein jakar papers aur fees jama karke Jamshed ko receipt dene uper aaya, ghar per koi nahi tha, darwaza Bina ne hi khola use dekte hi Bina ki dil tezi se dhadka.
ROHAN: Uncle hain ghar pe.
BINA: Nahin abbu abhi office se wapas nahi aaye, Ammi bhi nahi hain. Woh ghabrarahi thi
ROHAN: Koi baat nahi, uncle se kehdena ke main ne forms jama kardi hai aur yeh rahi fees ki receipt, saath tariq ko school reopen horaha hai.
BINA: Ji, shukriya aap ka, aako takalluf howi.
ROHAN: Arre, is mein takalluf ki kia baat hai, aap ka padosi houn, kuch bi kaam ho bila jijhak kahiye, aur ek baat main bhi twelth ka hi student houn,agar padhai mein kuch madad chahiye to please kahiyega zaroor. Main chalta houn.
Bina ne bas Ji kehkar nazre jhukaliya
Aur woh niche utar gaya,
Bina khoyi howi darwaze ki patt pakdi kitni hi der khadi rahi, chounki phone ki bell par.

Rohan ka dil nahi charaha tha niche aane ko, per agar koyi aagaya toh! Is darr se utargaya

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Rohan ka dil nahi charaha tha niche aane ko, per agar koyi aagaya toh! Is darr se utargaya. Us ki ghabrahat, jhuki howi aankhen use attract karrahe the.
🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃
School khul gayi thi aur woh teeno paidal hi chali jaati thi, dus minute ka raasta tha, Bina eleventh mein thi, aur Sanam aur Tara ninth mein thi. Teeno bahut zaheen thi, school mein acche se adjust hogai. Samar aur Farhath ki acchi khaasi dosti hochuki thi. Woh sab log ek family sa connect hochuke the. Sanam aur Tara toh Rohan ku Bhai Bhai kehti nahi thakti per Bina bahut jijhakti thi, Samar ne Bina ko mana karrakha tha Rohan ke saamne aane se ke woh badi hai aur use ihtiyat se rehna chahiye aur woh jab hi Bina ko niche jaane deti jab Rohan ghar per nahi hota. Kabhi agar sab baite ho aur Rohan aajata toh ishare se Bina ko utjane ko kehdeti, Farhath ne bi andaza lagaliya tha Samar ki ihtiyat ki, Uno ne bi Rohan ko mana kardiya tha ke Bina ke saamne bila jhijhak mat aaye, bacchi pareshan hojati hai. Aur Rohan gehri saans keench kar rehjaata. 'Haai meri khamoosh mohaabbat' soch kar ghehri sans leta.

🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀Us din sunday tha Saman aur Tara niche Farhath ke paas thi, Saman uper aayi aur us se kaha anty bularahi hai aur ye bhi kaha ke Rohan bhaiyya nahi hai, apne dost ke paas gaye hain raat ko hi aayinge

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀
Us din sunday tha Saman aur Tara niche Farhath ke paas thi, Saman uper aayi aur us se kaha anty bularahi hai aur ye bhi kaha ke Rohan bhaiyya nahi hai, apne dost ke paas gaye hain raat ko hi aayinge. Bina ne Samar se poocha toh uno ne ijazat dedi. Niche aayi toh Farhath apne shadi ki aur bahut sare purane photo albums samne rakhe dikha rahithi. Bina ko dekh kar use bulaya "aajao beta ye log zid karke mere photos dekh rahe hai, main ne socha tume bhi bulalo" Uno ne muskurate howe kaha.
"Bahut accha kia anty" Woh bade chahat se aakar un ke darmiyan mein aakar bait gayi aur pictures dekne lagi. Tab hi bell baji farhath ne "doodhwala hoga mein lekar aati houn" kaha to Bina ne une mana kardiya "main leti houn aap log baitiye" Woh kitchen mein gayi aur patila lake gate khola aur patila bahar kiya per ye kia, kisi ne is ke haath mein phoolo ka bukke rakdiya woh ghabrake bahar jhanki toh Rohan khada tha,
Woh ghabrake boli"I'm sorry main samjhi doodhwala hai"
Toh Rohan ne has kar kaha "Haan doodh wala bhi hai" Is ne us ke haath se patila liya aur doodh lekar ander chalagaya per us ne piche se awaz lagaya "suniye" woh muda toh bukke us ke haath mein thamakar kitchen mein doodh rakh kar uper bhag aayi. Rohan muskurate howe use bhagte howe dekha aur ander aagaya.

sab bade zor o shor se tasweer dekhrahe the. Use dekh kar Farhath ne poocha "Are tum itni jaldi aagaye, aur ye bokke kis khushi mein laaye ho"
ROHAN: Ammi aaj main is dunia mein tashrif laya tha, doston ne zabardasti party karaya aur ye thamaya.
FARHATH: Are haan mujhe to yaad hi nahi raha.
ROHAN: No problem Ammi, hota hai hota hai. Agar meri koi behan ya bhai hota toh woh zaroor yaad rakte .
Woh muskuraye Tara aur Saman dono khush hogayi "Are Rohan Bhai ki birthday hai aaj. Happy birthday bhaiya. Aur hame treat chahiye"
Dono hi uchalrahi thi.
ROHAN: Haan Ji, boliye kia khayengi aap dono. Banda aapke qidmat mein hazir hai.
TARA: Hame ice cream khani hai.
ROHAN: Theek hai anty se ijazat leke aau main wait karta houn.
SAMAN: Ammi hame bahar nahi jane dengi aap yahin lekar aayiye.
ROHAN: OK ji abhi laata houn, kehkar bahar chalagaya. Farhath in logon ki nokjhonk enjoy karrahi thi. Une hamesha se chaha tha ke Rohan ke aur Bhai behan ho lekin un ki aarzo aarzo hi rahi, Rohan ke baad kitne hi ilaaj kiye per koi aulad nahi howi. Ab une ye sab dekh kar apni khushi poori hoti howi lagi. Uno ne Tara se kaha "Jao Bina aur Samar ko lekar aao, Bina bacchi Rohan ke aane se uper chali gayi"
Tara ne ji accha, kehkar uper aakar Samar se Rohan ka birthday ka kaha aur Farhath ka bulana bi kaha, per Samar ne Bina ke liye inkar kardiya aur woh khud wish karne keliye niche utargayi.

 Uno ne Tara se kaha "Jao Bina aur Samar ko lekar aao, Bina bacchi Rohan ke aane se uper chali gayi" Tara ne ji accha, kehkar uper aakar Samar se Rohan ka birthday ka kaha aur Farhath ka bulana bi kaha, per Samar ne Bina ke liye inkar kardiya aur ...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸

Mile Tum Se Bhichadke HumWhere stories live. Discover now