Part 14

105 3 5
                                    

Us din Ahmer ki dusri salgira thi, jab woh hamesha ki tarah subah, khala khalu ke office jaane ke baad aunty ke paas chali aayi. Aunty ne Ahmer ko dekh kar usse godh mein lekar wish kiya.
NIGAR: Haai, mere chotu ki birthday hai aaj..main ne tumhare liye cake bake kiya hai, chalo kaatthe hain isse.. Aunty ne chote se cake table pe sajayi howi rakhi thi..
BINA: Allah Aunty kitni acchi cake bake kiya hai aapne..
NIGAR: Haan, hamare chotu ke liye special chocolate cake.. Unhoun ne laad se usse godh se utara aur cake cutwaya aur us ke haat se dono ne hi cake khaya aur khilaya. Aaj chotu ki birthday ki khushi mein no work.. Aunty ne ilaan ki..
BINA: Arre wah, aise kyun, aap apne chotu ke saat kheliye, mujhe ye dress aaj khatam karni hai. Is ne apni machine sambhali.
NUDRAT: Chodo na Bina aaj rehne do, kal karlo.
BINA: Nahi, main bore hojaongi, aap dono kheliye, main yahin theek houn. Us ne kaam shuru ki aur dekhte dekhte dress tayyar hogayi.
NUDRAT: Wah, Bina tum to badi mahar hogayi ho designing mein, ab araam se boutique kholsakti ho. Unhoun ne hasa..
BINA: Sab aap ki badaulat aunty, warna main kia cheez thi..
NUDRAT: Tumhari mehnat aur lagan ne tumhe yahan tak pahunchaya hai beta, warna main toh bas aisa karo waisa karo hi kehti thi..
BINA: Ye toh aap ka badappan hain aunty, warna main abhi bi ghut ghut kar zindagi guzarrahi hoti, kamazkam ab apne maa behno ko kuch madad kar parahi houn.
NUDRAT: Khair, aisa bhi nahi, sab apna naseeb ka likh kar laate hain.
BINA: Accha aunty is ko dekhiye zara, ye aise hi chodhde ya is per lace lagayen..woh tayyar shuda dress aunty ke saamne phelayi..
NUDRATH: Lace lagalo contrast color ka bahut umda lagega.
woh lace lagakar, iron karke kapde ko pack kardi aur jaane ke liye utkhadi, Ahmer aane se inkaar kardiya. Toh Nudrath ne usse thodi der mein laaker ka chodne ka kehdiya.
Woh apne flat mein aake raat ka dinner tayyar karrahi thi, achanak darwaza baja, is ne socha shayed aunty Ahmer ko lekar aayi hogi, aur darwaza khol diya, saamne Arsalan khada tha, usse wahan aaye kaafi mahine hogaye, Ab achanak dekha to kuch na sujha, bas darwaza khol kar ander aagayi aur kehdiya ke khala aur khalu abhi nahi aaye.
ARSALAN: Mujhe tum se ek zaroori baat karni hai baito..Us ne sofa ke jaanib ishara kiya.
BINA: Ji, kahiye kia baat hai..Is ne usse nazar andaz karke baithi nahi, wahin khadi rehgayi
ARSALAN: Darasal mujhe tumhari help chahiye, Aaj kal meri wife bahut bimar hai..
BINA: Ji, toh main kia karsakti houn..
ARSALAN: Woh, baat yeh ke main Ahmer ko kuch din ke liye lejaana chahta houn..
BINA: Kia.. Bina phati aankhon se usse dekhrahi thi, ek Ahmer hi tha is ke jeene ka wahid sahara.. Woh usse lejane ki baat karraha tha..
Yeh aap ne kaise soch liya ke main Ahmer ko aap ko dedungi, hargiz bhi nahi.. Aap mujhe ghar wapas bhej dijiye, mujhe ab yahan nahin rehna. Is ne saqt lehje mein kaha.
ARSALAN: Dekho, tum samaj nahi rahi ho, meri baat, bas main kuch din ke liye Ahmer ko Maryam ke paas rakhkar dekhna chahta houn ke woh improve hoti hai ke nahi.. Agar hoti hai toh main Ahmer ko tumhare paas wapas karke koi baccha adopt karlonga.. Please inkar mat karna..
BINA: Arsalan please aap mujhse woh maang rahe hain jo main nahi desakti, main Ahmer ke bagair ek minute bhi nahin rehsakti..
ARSALAN: To phir theek hai main Maryam ko lekar yahan shift hojata houn. Is ne qudh se faisla kiya aur chalagaya.
Us ke jaane ke baad woh aunty ke paas se Ahmer ko le aayi aur us ko apne seene se lagakar khoob royi, woh bahut zyada darrgayi, khala ke aate hi us ne Arsalan ke baare mein bataya toh unhoun ne koi raddoamal nahi dikhaya, bas Hmm kehte howe dusri taraf mutawajja hogayi, is ne khalu se baat karne ki thani. Raat ko dinner se fariq hokar is ne drawing room mein jhanka, khalu TV dekh rahe the, Bina ko dekh kar ander aane ko kaha
BINA: Khalu, mujhe aap se zaroori baat karni hai.
SHAMROZ: Haan beta aao baito idher.
BINA: Khalu, maqrib Arsalan aaye the, woh Ahmer ko lejaane ki baat karrahe hain, main bahut pareshaan houn, main kaise Ahmer ko un ke paas bhjdoun..Woh rorahi thi.
SHAMROZ: Beta, sambhalo apne aap ko, Hame maaf kardo ke hum ne tum se itni badi baat chupayi, darasal Arsalan ki shadi howe aat saal hochuke hai, meri baat howi Arsalan se us ne mujh se yahan aane ki baat ki lekin tumhari khala ne mana kardiya. Kehdiya ke apne hi ghar pe rahe, darasal tumhari khala aur Arsalan ki biwi ki bilkul bhi nahi banti, Ab us ki biwi ki tabyat theekh nahi toh doctors se usse change dene ko kaha, is liye woh Ahmer ko thode din ke liye lejaana chahta hai.
BINA: Per Khalu, aap ye toh sochiye main Ahmer ke baqair aur woh mere bina kaise reh payega.
SHAMROZ: Ab kar bhi kia sakte hain. Koi aur chara bhi nahi. Unhone ne bhi baat qatam karke doosre kamre ki taraf chaldi.
Bina ki toh jaan nikal rahi thi, ek wahi is ka wahid sahara tha aur ab woh bhi usse chinne ki baat karrahe hain. Raat ko woh Ahmer ko lipta kar khoob royi aur ek faisla kar ke sogayi.
🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀
Subah khala aur khalu ko bhej kar pehla kaam is ne aunty ki taraf aakar sab kuch sunaya. Aunty ne kaha ke wapas chali jaao apne watan. Us ne bhi yehi soch rakha tha,, plz aunty aap ammi ko call lagakar dijiye main baat karti houn.
Phone ki bell baji aur Samar ne hi phone uthaya.
BINA: Assalamualaikum Ammi, kaisi ho aap sab.
SAMAR: Waalaikummusaalam beta, Alhamdulillah sab khairyat se hain. Bas beta tumhari mehnat ka natija jo sakoon se saans le paarahe hain. Aur izzat se baghair kisi se haat phelaye zindagi guzar rahe hain. Main din raat dua deti houn tumhe. Allah tumhe bahut saari khushiya naseeb kare. Aameen.. Tum sunao kaisi ho aur Sab kaise hain.
BINA: Haan ammi sab theek hai, bas aap se baat karne ko jee chaha. Darasal do saal hochuki hai, aap sab ki yaad aarahi hai to soch rahi houn wapas aajaoun wahan.
SAMAR: Ye kia baat howi beta, yahan kyun aaogi wahan tumhari family hai aur Ahmer ka future ka socho wahan kitne ache school mein padhega. Yahan kia rakkha hai. Aur Aapa aur Arsalan kaise tumhe yahan aane denge.
BINA: Woh mein ne Arsalan ko raazi karliya hai, unhone ijazat dedi toh bas mera dil bhi aap sab ke baqair uktachuka, isiliye aajana chahti houn.
SAMAR: Bina beta bura mat manna, kehna toh nahi chahiye per please jab tak sara saman ki shadi nahi hoti, kisi tarah sambhalo, kia karoon meri bacchi halath aise hain hamare, tumhare paise se hi sab kuch chalraha hai, Sara saman ki shadi bhi karni hai, bas beta aur chand saal guzaar lo. Main jaanti houn tum wahan se nikalne chahti ho, lekin mein bhi majboor bebas maa houn. Unhone rote howe kaha toh bina ke hosh udgaye,
BINA: Ammi please aap royiye mat, meri fikr bilkul mat kijiye, kaat longi chand saal aur.
SAMAR: Sabr kar meri jaan, bas jaise bhi hain, sambhalo behno ke shadi tak. Allah is ka ajar zaroor dega tumhe,
BINA: Accha ammi rakti houn, qayaal rakhiye sab ka. Allah hafiz.
Is ne phone kaat ke aunty ko gale laga kar khoob royi, aunty bhi is ki situation samaj chuki thi, usse sabr karne ko kaha..
Youn do din baad Arsalan aake is ke kitne hi iltijaa karne ke bawajood bhi nahi maana aur Ahmer ko lekar chalagaya yeh keh kar ke jaise hi us ki wife theek hogi woh Ahmer ko laaker chodde ga. Ahmer ne bhi usse alag hote howe chilla chilla kar roya lekin woh zalim insaan unsunaa karke khinch kar us ke godh se lekar chalagaya aur aaj tak nahi palta..
☀️🌤️⛅🌦️🌧️⛈️☔🌆🌇

Mile Tum Se Bhichadke HumWhere stories live. Discover now