Part 3

122 1 0
                                    

Bina ka bahut dil chaha niche jake Rohan ko wish kare, per Farhath ka kaha nahi taal sakti isliye kitaab uthake padne baitgayi, magar dil kitaab mein nahi laga toh niche ka nazara dekne ke liye terrace per aagai, per ye kia! Wahan bi koi nahi tha sab ander theh shayed, woh wahin bench per padne baitgayi. Thodi der baad use ehsaas howa ke koi piche khada hai, mudkar dekha to dhak se rehgayi, Rohan bilkul is ke piche khada tha, use dekh kar ghabrake khadi hogai.
ROHAN: Bina.. Chalo na niche... sab udher hi toh hain.
BINA: Nahi, Rohan.. Ammi ne mana kia hai aane ko, anyways...Wish you many more happy returns of the day. Woh muskurai.
ROHAN: Wah! aise wish karte hain kisi ko sukkhe moun. Us ne use comment kia,.
BINA: I'm so sorry Rohan, mere paas is ke siva aur kuch nahi hai. Please Rohan koi aajaye ga chale jayi ye..Us ki ankhon nam howi aur woh bhaag kar apne kamre mein chaligayi.
Rohan tadap kar rehgaya us ki aankhen dekkar, per kuch kar bhi nahi sakta tha..Niche utar aaya, ander jaakar dekha sab baatoun mein mashgool theh, is ka dil chaha uper jaakar Bina ke aansoo poche magar ruggaya, agar kisi ne dekh liya to bekar mein tension hojayegi. Woh gaadi ki chabi lekar bahar nikalgaya.

🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀Din guzarte jaarahe the Rohan ne apne school mein top kiya tha aur medical mein admission leliya tha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀🍀
Din guzarte jaarahe the Rohan ne apne school mein top kiya tha aur medical mein admission leliya tha. Us ka college dosre sheher mein tha, jaate waqt Rohan ka bahot dil chaha Bina ke paas jaake apne dil ki baat kahe per us ki ana use ijazat nahi dii. Agar is beech koi aagaya toh! Har bar Farhath ki awaz is ke pauon rok deta ke mera beta mera faqar hai kabhi koi aisi harkath nahi karega jis se main sharminda houn. Aur woh apni khawish ko dil mein dabate howe chalagaya.
Bina ne jab suna ke Rohan padai ke liye dosre sheher jaaraha hai to woh bi bahut udaas howi per kisi se kuch keh nahi saki, us ka dil ka haal sirf aur sirf use pata tha. Youn woh bhi apne dil mein dard liye din guzaarahi thi aur jaise taise din guzarrahethe. Jab kabhi leave mein Rohan aata to us ki nazre Bina ko talashti aur Bina ki use..Agar aamna saamna hojata toh dono bas apne aankhon se hi baat karlete, dono kam umer nadan theh, darte theh, sabar karke sab kuch kismath pe chodhdiya.
🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃🍃
Is beech achanak Jamshed ko dil ka daura padha aur hospital ke chakker lagne lage, koi rishtadar madad ke liye samne nahi aaya. Saman ne Bina ke shadi ke liye jo paise bank mein rakhe the usse ilaaj karahi thi, Farhath ne bhi bahut saat diya. Woh hi bacchioun ke saat thi jab ke Samar hospital mein thi.
Ahista ahista din guzra aur Jamshed ghar aagaye, poori tara theek toh nahi per ab dawai per guzarrahi thi, ise pe samar bahut shukr guzaar thi ke bacchioun ke sar pe baap ka saaya mehfooz hai.
🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁

🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁🍁

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.
Mile Tum Se Bhichadke HumWhere stories live. Discover now