Part 4

125 1 0
                                    

Bina ne ro ro kar apni haalath kharab karli thi, Jamshed ko Tara ne bataya to use samjane us ke kamre mein aaye. Woh chair per baithi howi thi, apne pyare abbu ko dekh kar rehna saki aur bhag kar gale lagi aur rone lagi.
JAMSHED: kia howa mera baccha aise kioun rorahi ho.
BINA: Abbu please aap ammi ko samjayiye na..Mere saath aise na kare.
JAMSHED: Bina beta apne aap ko samhalo, aise kaise chalega. Tum meri bahut pyari samajdar beti ho. Main ne ye tawaqa nahi kia tha tum se. Tumhari badi khala ne hamari haalath dekte howe bade chahat se tumhara haath manga hai.
BINA: Per Abbu main kaise adjust karun please mere baare mein bhi toh sochiye.
JAMSHED: Bina tumhe kia lagta hai, hum tumhare saath zulm karrahe hain.
BINA: Abbu aisi baath nahi. Bus main wahan adjust nahi karpaungi. Woh tehre pade likhe aur main plus two paas. Please Abbu samjiye naa mujhe.
Jab hi Samar kamre mein aayi. "Aap ke paas bhi shuru hogai yeh" kehte howe Bina ko ghoora.
BINA: Ammi aap dono hi mujhe samj nahi rahe.
SAMAR: Kia samjana chahti ho tum, batou mujhe, kon aaye ga hamare ghar tum logon ko biyane, na hamara ghar hai na hum jahez desakte hai, na hi hamara koi status hai. Mere aur tumhare Abbu ke rishtadar koi palat kar bhi nahi dekte, bas Aapa hi hai jin ko meri fikr hai. Aise halaath mein itna accha rishta aaya hai aur tum mana karrahi ho.
JAMSHED: Haan beta tumhari Ammi theek kehrahi hai.
BINA: Per Abbu, is ne munmunaya
SAMAR: Bina kia tum kisi mein interested ho, unhoun ne jab ye kaha toh Bina ki jaan nikal gayi. Aur Jamshed ne bhi tokh diya.
JAMSHED: Yeh kia kehrahi ho Samar, ham ne apne bacchion ko aise tarbiyat nahi di, aise baat mat kaho, mujhe apni betioun per faqr aur poora ihtimad hai.
Bina buth bani khadi rehgayi woh apni maa baap ka faqr hai unhe un per andha ihtimad hai, woh kaise unhe ruswa karsakti hai. Is ne ek lamha na lagaya kehne mein.
BINA: Theek hai, aap log jaise chahte ho waise kijiye, mujhe manzoor hai.
Jamshed aur Samar ne Bina ko pyar kia us ke sar per haath rakha aur dher saari dua di aur kamre se nikalgaye.
Bina ko apne jism bejaan laga..Us ne apne aap ko bistar per giraya aur khoob roya. Jaane kab rote rote sogayi. Is ne khwab dekhe woh samunder ki reth mein shells dhondrahi thi, tabhi Rohan aaya aur us ke aage haath kia, us ne dekha Rohan ke haath ke shell mein pearl tha, us ne us shell ko uthaliya aur khola per pearl nahi tha, us ne Rohan ko dekha pearl Rohan ke mutti mein tha, woh uthane ko thi, per Rohan use lekar bhaga aur woh Rohan ke piche bhagi..
TARA: Aapi uthiye azaan hogayi hai, bas thodi hi der bachi hai namaz ke liye uthjaayiye..
Bina ne aankh kholi...Ooh khwab tha, kitna haseen sa..Kaash Sach hojata..Uff Allah miyan mein kia karo us ki soch mere khayalon se nahi jaate.
Is ne sar jhatka aur wazu karne bathroom mein ghusgayi.

🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺Suba sab nashta karrahe the, Samar ne Bina ko ittila di ke badi apa aayengi thodi der mein, lehaza woh tayyar hojaye

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺
Suba sab nashta karrahe the, Samar ne Bina ko ittila di ke badi apa aayengi thodi der mein, lehaza woh tayyar hojaye. Woh nashta waise hi chodhkar utgayi aur kamre mein ghus gayi, Tara ne poocha Kia howa apiya​ ko, toh Samar ne kaha "us ke haal pe use chodhdo, nikkah ke baad theek hojayegi"
"Per Ammi, apiya aise kiun karrahi hain, kia woh yeh shadi nahi karna chahti?" Tara ne jab pocha toh "khamosh raho tum bacchi ho, bado ke mamlat mein daqal nahi dete aur jao Bina se kaho das minute mein tayyar rahe" Samar ne itne zor se use latada ke dono ghabbrake kamre mein Bina ke paas aagayi.
🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Mile Tum Se Bhichadke HumWhere stories live. Discover now