Part 7

94 1 0
                                    

Samar ne bahut mushkil se teeno ko sulaya, phir apni bister per aakar leti aur bahut se sawalaat un ke dimaq mein aarahe the ke ab zindagi kaise guzaregi, Bina ki toh woh farz ada karchuki thi, lekin abhi Saman aur Tara thi. Woh itni zyada bi padhi likhi nahi thi ke kahin job karsake, un ki aankhon se aansoo girrahe the aur Bina ki aankh maa ki rone ki halki awaaz se khulgayi, Ammi please royiye mat, woh khud bi ro padi. Beti ku rote howe dekh kar unhoun ne apne aap ko sambal liya aur Bina se sawal kiya "Bina beta ab ghar kaise chalega"
BINA: Ammi please, Allah hai na. Aap fikr mat kijeye. Allah jab ek rasta band karta hai to das rasta khud kholdeta hai. Kuch na kuch hojaye ga. Aap sone ki koshish kijiye.
SAMAR: Tara aur Sanam ka ghar main tumhare abbu ke baghair kaise basaoun. Kia hoga unka ka.
BINA: Please Ammi, sab accha hi hoga aap soyiye. Us ne unhe zabardasti letakar chadar udhadi, aur khud un ke baazu mein let gayi. Tarah tarah ke waswase is ke dimaq mein aarahe the. Dil bahut beqarar horaha tha. Arsalan ka qayal aaya ghadi dekha raat ke dhaai baj rahe theh, yakhinan Arsalan jaag raha hoga wahan is waqt giyara hi hoga, ye soch kar Arsalan ko phone milaya teesre bell par udher phone uthaya gaya aur bahut ki gusse se 'itni raat ko kioun phone karrahi ho' kaha gaya. Jab is ne Arsalan ki awaz suni toh khud ko rok nahi paayi aur 'Arsalan Abbu is dunia mein nahi rahe' kaha.
ARSALAN: Haan, Anwer mamu se pata laga, tum logon ko taufiq nahi howi ittila dene ki. Kaafi rukha lehje mein kaha gaya.
BINA: Arsalan ye aap kaisi baat karrahe hain. Ammi ne khala ko call kii thi per khala ne phone hi nahi uthai.
ARSALAN: Haan Ammi jaisi bahut free hain, aur phone ke baazu baiti rehti hain ke kab kia khabar aaye. Ammi ko nahi laga to mujhe call karsakti thi, Anwer mamu ne bhi kia socha hoga ke damad ki kia haisiyat hai..

 Ammi ko nahi laga to mujhe call karsakti thi, Anwer mamu ne bhi kia socha hoga ke damad ki kia haisiyat hai

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

BINA: Aap ko bi teen char baar kiya tha, per har bar udher se dinconnect kardiya gaya.
ARSALAN: Baatein acchi banane aati hai tume. Woh chunchlaya..kaho ke is waqt kiun call ki..
BINA: Dil bahut ghabraraha tha, aur kisi apne se baat karne ko tarsa, jii chahraha tha ke koi tasalli aur sabr ke do alfaaz hi bolde. Ye kehkr is ne phone rakdi aur takye mein moun chupakar rone lagi ke Samar is ki rone ki awaz se ut na jaaye. Phir jab awaz control nahi howi toh terrace mein aakar baitgayi.

Bahut der rone ke bad aaqir khud hi samhalgayi aur ander aaker Samar ke pass sogayi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Bahut der rone ke bad aaqir khud hi samhalgayi aur ander aaker Samar ke pass sogayi.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Subah bahut udaas tha sab ek dusre ko dekh kar ro pade. Saman aur Tara ek dum sam hogayi thi, Farhath niche se nashta lekar aayi aur zabardasti sab ko khilaya aur un logon ka dhiyan hatane ke liye idher udher ki baaten ki. Sab ne milkar dopher ka khana bi tayyar karliya.
Phir Nudrath ne call ki toh Samar bahut royi, Arsalan se bi baat ki, Bina ne Samar se raat Arsalan se howi baat ko chupadi. Unlogon ko baat karte howe chodh kar terrace pe aagai, Rohan uper aaraha tha, use dekh kar
ROHAN: Assalamualaikum, kaisi tabyat hai tumhari?
BINA: Alhamdulillah, main theek houn. Aunty ander hain, aayiye.
ROHAN: Arsalan ka phone aaya?
BINA: Haan, raat baat howi. Usse us ke saqt lehja yaad aagaya.
ROHAN: Good, Main nikalraha houn, apna bahut qayal rakna. Woh is ki aankhon mein dekh kar kehraha tha.
BINA: Unnn. bas itna keh paayi.
ROHAN: Tum badi ho Bina, samajdar ho, mushkil waqt har kisi pe aata hai, uska saamna karna sikho, Tara aur Saman choti hain, un ka bahut qayal rakna, woh dono ek dum gumsum hogai hain. Aur Aunty ko bi samjhana ke hum sab hain unhe fikr karne ki zaroorat nahi.
BINA: Haan, kahongi, aap ka bahut shukriya aisi mushkil waqt mein saath derahe hain. Use rona aagaya
ROHAN: Please Bina, apne aap ko samhalo sabr karo, aise shukriya keh ke mujhe ghair mat banao, tum mujhe neighbour manti ho lekin mere liye aap sab family ki tarah ho. Kuch bi zaroorat ho to Ammi ke paas bila jhijag kehna.
BINA: Ji,
ROHAN: Haan, aur ek baat, apna bahut bahut zyada qayal rakna please. Koi hai Jo tumhare liye bahut zyada fikrmand hai, aur tumhari har taklif mein dard usse hoti hai.
BINA: Usse meri fikr nahi Rohan, warna is mushkil waqt mein woh mera saath hota mera gham baathta, mujhe tasalli deta.
ROHAN: Main Arsalan ki baat nahi karraha houn, woh uski ankhon mein dekh kar kehraha tha,

Bina us ki aankh dekh na saki, kia nahi tha un mein uff, woh us ke samne nahi theher saki ander ki taraf badgayi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Bina us ki aankh dekh na saki, kia nahi tha un mein uff, woh us ke samne nahi theher saki ander ki taraf badgayi.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Rohan chalagaya aur Farhath ne bi Saman ke haath mein kuch paise rakkar kaha "ye rakh lo Saman kisi bi cheez ki zaroorat ho to batana.
Samar paise lene se inkar kiya, " Nahi Farhath mujhe sharminda mat kijeye, pehle hi aap hamare itne kaam aaye aur ab ye paise, please rakhiye ise, main nahi lesakti". Unhoun ne inkar kiya.
Lekin un ke na na ke bawajud Farhath ne ek na suni aur haath mein thamake hi uthi.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Waqt kisi ke liye bi nahi tikta. Jaise taise karke ye log bi guzaarahe the. Samar ki sab se badi pareshaani ab Bina ki delivery khareeb thi aur un ki iddath ka waqt khatam hone mein abhi do mahine baqi theh. Soch soch kar halkan horahi thi. Jamshed ke guzarjane ke bad thode qareebi ristadar kuch din tak milne aaye phir ye silsila bi band hogaya.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Nudrath ka phone aaya tha ke Bina ko check up ke liye kisi ke saath bhjde. Farhath bi wahin thi, unhoun ne bi kaha "Main bi tum se pochne wali hi thi Bina ka check up ka" Samar ne kaha "Bas abhi ek hafta baqi hai due date mein aaj kal testing ko jani hogi"
"Theek hai kal suba ki appointment lelo, main lekar chalijaungi. Aur tum delivery ki bhi fikr mat karna main houn na", Unhoun ne jaise Samar ke sar se bahut bada boj halka kardiya. Woh Farhath ka shukriya ada karne lagi toh Farhath ne kaha "main ne tume apni behen mana hai, aur behen ko tab tab shukr aada nahi karte, farz hai mera theek" uno ne Samar ko gale lagakar kaha. Samar ko un ki mohabbat pe ankhon se aasoon aagaye.
Dosre din Bina Farhath ke saath doctor ke paas gayi, sab normal tha aur doctor ne kaha ke ab kisi bi waqt dard aasakta hai woh log tayyar hojaye.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Ghar aakar Farhath ne doctor ki kahi howi baat kahi aur Samar ke saath milkar hospital ko lejane ke liye cheezen set ki. Unhoun ne Tara se kaha ke shaam ko woh bazaar saath chale baby ke kuch kapde lekar aayinge. Nudrath ko bi phone kardiya ke sab normal hai, Nudrath khush hokar kaha theek hai main Bina ke account mein kuch paise dalrahi houn tum hospital ke kharche ke liye raklo. Samar ne bas shukriya aapa kaha. Phir Bina se baat ki, bahut din bad acche mood mein baat ki aur tasalli di ke kuch fikr na kare aur ye bi kaha jaise hi Arsalan office se aaye baat karaygi.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Hey guys
How's the story
Liking it or not
Please comment and vote for better writing
Thnx
Lubnashabbeer.

Mile Tum Se Bhichadke HumWhere stories live. Discover now