Part 10

123 1 0
                                    

Aaj usko aaye howe poora do hafta hogaya per Arsalan na usse milne aaya na hi koi phone ki, us ne khala se ek din pooch hi liya, toh khala ne aisa karara jawab diya ke "kyun bibi Arsalan se hi sab rishta hai, main tumhari kuch nahi lagti kia, keh to diya ke hospital ke kaam se gaya hai, jab qatam hoga to aajaye ga"
Phirse poochne ki himmat hi nahi howi, ammi ne bhi kayi baar Arsalan ka poocha aur is ne sab theek hai hospital pe hain, keh kar phone rakhde ti..
Zindagi bahut udaas guzarrahi thi, bas Ahmer ka sahara tha, woh use dekkar jii utth thi, ab toh woh use pehchanne bhi laga tha aur jab use dekkar muskurata toh woh apna sara gham bhulakar use pyaar karne lagti.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Us raat jab dinner khatam karke hall pe baithe woh aur Khalu chai pee rahe theh, tab bell baji, toh Bina ne utt kar darwaza khola aur samne ka manzar dekh kar khil uthi, Arsalan khada tha, woh khushi se khadi ki khadi rehgayi aur chaunk padi jab is ne rukhe awaz mein "rasta doo ander jaana hai" kaha. Woh Arsalan ke piche aagayi magar woh seedha khala ke kamre ke ander chalagaya aur darwaza dhaad se band kardiya. Khalu bhi us ke peeche ander chalegaye aur darwaza band kardiya, ander zor zor se bolne ki awaz aarahi thi, is ki samaj mein nahi aaraha tha kia baatein horahi thi, woh wahin sofa per bait gayi per achanak darwaza khula aur woh chair ko laat mar kar daqili darwaze ki taraf badgaya aur ye ja woh jaa ghar se bahar..
Khala is ke peeche peeche aayi aur darwaze per khadi hokar sunane lagi "Theek hai jitni manmani karni hai karlo, aana tum ne yehi hai" Woh aur zor se darwaza band karke apne kamre mein band hogayi.
Is ka dil chaha ke khala ka kamre ka darwaza zor se maare aur pooche ke kia horaha hai yahan, lekin himmath nahi howi. Apne kamre mein aagayi aur ghehri sooch mein dhoob gayi, jab Arsalan ki marzi nahi thi toh khala ko is ki shadi karane ki kia zaroorat thi. Yahan tak aaya Ahmer ko to dekleta kaisa baap hai ye, reh reh kar gussa aaraha tha, aur Ahmer ko apne bahoun mein samet kar rone lagi jabbhi khala ne darwaza khol diya..
"Ye aansoo kis gham mein bahaye jaarahe hai, kia howa hai" unhoun ne is ke saamne aakar haath hilakar chillaya toh woh seham gayi.
"Kuch nahi khala" keh kar bathroom mein ghus gayi aur ro ro kar jab apne aap halkaan hogayi toh bahar aayi toh Ahmer nahi dikha, bahar jhanka to khalu ke paas khel raha tha. Khalu ne usse dekh kar bulaya..
SHAMROZ: Bina beta yahan baito, mujhe tum se kuch baat karni hai..
BINA: Ji, khalu. Woh in ke saamne sofe per bait gayi.
SHAMROZ: Bina, bahut royi ho na..
BINA: Nahi khalu woh bas, us se kuch kaha hi nahi gaya phir aansoo aagaye..
SHAMROZ: Beta himmat karo, aise nahi karte.
BINA: Main kia karoon khalu mujhe kuch samaj nahi aaraha hai, Arsalan kyun aisa behave karrahe hain, jab un ki marzi nahi thi is shadi pe, toh aap log un se zabardasti kyun ki, woh rote howe pochrahi thi.
SHAMROZ: Bina ye tumhari khala ki zid thi beta, warna Arsalan toh bilkul nahi mana tha, usse bahot emotional blackmail ki tumhari khala ne, tab jaaker maana, tum zyada mat soocho waqt ke saat us ka gussa thand padjayega aur woh aajaye ga bas tum sabr aur dua karo.
BINA: Ji, khalu, per woh rehte kahan hain?
SHAMROZ: Apne dost ke saat hospital ke khareeb hi flat liya howa hai, unhoun ne nazre jhukhate howe kaha. Tab hi Ahmer rone laga toh woh usse godh mein lekar kamre mein aagayi, aur ek baar phir aankhon se aansoo girna shuru hogaye, usko reh reh kar Rohan yaad aaraha tha, jab woh yaad aaya toh aur zor se rona aagaya, Ahmer ko gale lagaker khoob royi toh Ahmer bhi is ke saat rone laga, apne aap ko control kiya aur Ahmer ko chup karate karate neend ki vaadion mein khogayi.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Din aise hi udaas aur viraan guzarrahe theh, Woh robot ki tarah bina kisi ehsas ke din kaat rahi thi, ghar se kisi ka phone aata toh bahut acche se baat karti, woh nahi chahti ke ghar pe is ki wajah se pareshaani ho

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Din aise hi udaas aur viraan guzarrahe theh, Woh robot ki tarah bina kisi ehsas ke din kaat rahi thi, ghar se kisi ka phone aata toh bahut acche se baat karti, woh nahi chahti ke ghar pe is ki wajah se pareshaani ho.
Us din khala khalu ke jaane ke woh nashta karke leti toh bell baji woh ghabragayi, kon hosakta hai..yehi soch kar chain dalkar darwaza khola too saamne wali Nigar Anty thi, woh do teen waqt une dekh chuki thi kuch na kuch banake lake deti thi, Bina ne chain nikala aur une ander aane diya.
BINA: Aayiye Aunty ander aayiye.
NIGAR: Haan beta, batao kaisi ho, main tum se kai baar akele mein baat karna chahti thi per ittifaq hi nai howa. Khair chale gaye Nudrat aur Shamroz? Unhoun ne idher udher dekha.
BINA: Ji, abhi thodi der pehle hi nikle hain. Aap baitiye main aap ke liye chai ya coffee leke aati houn..woh uthi toh unhoun ne rok liya..
NIGAR: Nahi beta tum baitho, main khaas tumhare paas milne aayi houn, bacha kahan hai tumhara?
BINA: Ji, woh soraha hai, thodi der bad jagega.
NIGAR: Hmm, ghar pe tumhare sab theek hain?
BINA: Ji, Ammi behen sab theek hain, Abba ka intiqal howe kuch hi mahine howe, hum teen behne hai, Bhai koi nahi hai..is ki aankhon mein Abba ka naam aaya tho aansoo nikal gaye.
NIGAR: Haan beta, I'm sorry, Nudrath ne bataya tha tumhare abbu ke bare mein.
BINA: Koi baat nai Aunty. Is ke aankhen saaf ki..
NIGAR: Beta mujhe tum se ek help chahiye tha, tumhare saas ke saamne keh nahi sakti, woh bahut rude hain. Mujhe khoob sunati. Is liye tum se baat karne ka socha.
BINA: Haan aunty kahiye na, kia karni hai?
NIGAR: Ab tum se kia chupana beta, Darasal main ek designer houn, boutiques ko kapde sii kar supply karti houn, aur tailoring ka kaam bhi karti houn..pechle ek saal se neck pain ki wajah se bilkul kuch nahi karparahi houn. Do bete hain mere per woh apni zindagi mein mast hain,
Shouher mere ek chote se office mein mulazim hain. Un ki amdani se yahan bahut mushkil se guzara hota hai. Kai baar socha ke apne watan laut jaaye per bacchoun ki mohabbat ne hame rok rakha hai, khair se yahan hum mahine mein ek do baar un logon ko dekhne ka mauqa miljaata hai pote aur potiyan ko pyar karke jii halka karte hain. agar wahan chalegaye toh woh log kabhi nahi aayenge udher.
BINA: Kiun Aunty kia unhein apne ristadar se milne milane ka shouk nahi..
NIGAR: Bilkul bi nahi beta, woh log yahan se kahin nahin jaana chahte.. So majburan ham bhi idher hi rehte hain. Khair jaane do, mera masla toh bich mein hi rehgaya..Pichle kai mahine se mere neck mein shadeed dard hai, isi wajah se mera kaam bhi ruka howa hai, ek dress design karti houn toh kai din lagte hai tabiyat samhalne mein..main chahti houn tum meri help karo silayi aur designing mein..
BINA: Main kia karsakti houn aunty, bas thodi silayi aati hai, lekin mujhe hamesha se arts aur crafts pasand hai, mere behene ke shalwar suits siye hai main ne..
NIGAR: Accha ye toh bahut acchi baat hai, main baaqi sab kuch bi sikhadungi, shuru mein mushkil hoga phir interest aajati hai..
BINA: Per Aunty, Ammi Abbu kia kahenge ager unhoun ne mana kardiya toh? Aur Ahmer abhi bahut chota hai usko kaise manage karongi main..Is ko fikr howi..
NIGAR: Tum is baare mein Nudrat ku kuch mat kaho..Aur bacche ki fikr tum mat karo, main sambhal lungi.
Aur ek baath mein tumhe pay bhi karongi..
BINA: Nahi Aunty is ki kia zaroorat mujhe toh kuch bi nahi aata, aap sharminda karrahi hain mujhe.
NIGAR: Main ne tumhari bhalayi ke liye hi kaha, tumhari yahan situation ko main jaanti houn. Apni position strong banao kuch karke, aur tumhari bhi sau zaroorate hongi, kia un sab ke liye apni saas sasur ke saamne haath phelaaogi? Ya us naam ka shouher jo tumhe shadi karke bhula baitha hai, usse kahogi, meri baaton ka galat matlab mat nikalna, main ne dunia dekhi hai, phir bhi agar tumhe kuch bura laga to sorry.
BINA: Nahi nahi aunty please aise mat kahiye..isi waqt Ahmer ki khansne ki awaz aayi, ek minute shayed Ahmer utgaya, toh woh kamre se jaaker Ahmer ko le aayi. Nigar ne use pyar kia aur jaane ke liye utkhadi howi. Shayed ise bhook aagayi hai, main chalti houn, tum dekho ise, aur mere offer ke baare mein sochna zarroor. Woh Bina ke liye bahut kuch sochne ke liye chodh kar apne flat mein ghus gayi.
Kuch samaj nahi aaraha tha, toh sab Allah ke uper chodh kar bahut der apne ache naseeb ke liye dua ki..

Kuch samaj nahi aaraha tha, toh sab Allah ke uper chodh kar bahut der apne ache naseeb ke liye dua ki

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹

Mile Tum Se Bhichadke HumWhere stories live. Discover now