Part 1

190 3 0
                                    

Jamshed Shah ek mamuli office mein mulazim the, Samar un ki biwi thi, bahut hi sugadh aurat thi. Apne shouher ki mehtoot amdani ke saath silai karke ghar bahut acche se sambhalti thi. Un ke teen betiyan thi Tabina, Tara aur Sanam. Tabina tenth ke exam de kar fariq howi thi, Sanam aur Tara judwa thi aur eighth per thi, teeno bacchiyan maa ki tarah bahut nek aur sugad thi. Ye log jahan rehte the us ki aas paas ki jagah government ne road extension ke liye aune poune daam mein kharid liya tha. Sab log ko notice dediya gaya ke jald se jald makan khali karde.
Jamshed aur Samar bahut pareshan the uno ne bahut koshish ki, ristadaro ke pass gaye, lekin nakaam rahe, phir Jamshed ke ek dost ki zariye se ek chota sa makan pehli manzil per, sheher see thodi door kiraye par liya.
Sab ne mil kar poore ghar ke cheezein pack ki, aur tempo bulakar saaman usmein load kiya aur naye ghar ko rawana hogaye.
💐💐💐💐💐💐💐💐💐
Naya ghar chota hi sahi per accha tha, do bedroom, ek hall, latrine bathroom aur kitchen tha..Kaafi tha un logon ke liye, niche makan malik ka family rehte the.
Jamshed aur Samar bedroom tarteeb derahe the, Sana aur Tara kitchen set karrahi thi, aur Bina hall mein sofa ke cushions pe cover dalrahi thi ke darwaze baja, kiunke woh hi daqili darwaze ke qareeb isliye usi ne darwaze khola..
🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸🌸

Jab us ne darwaze khola tho chonkgayi saamne ek bahut smart ladka haath mein flask liye khada tha, woh us ki brown eyes dekhti rehgayi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Jab us ne darwaze khola tho chonkgayi saamne ek bahut smart ladka haath mein flask liye khada tha, woh us ki brown eyes dekhti rehgayi. Use hamesha se ye eyes attract karte the..use khamoshi se khada dekh kar ladke ne khud haath aage badha kar kaha
"Main Rohan niche rehta houn. Ammi ne yeh chai diya hai, aur kaha aap log aaram se ghar set kijiye, raat ko khana na banaye, Ammi aayengi khana lekar"
Us ne flask aur ek chota sa bag dete howe kaha aur niche sidiyan utargaya.
Woh kitchen mein aakar flask aur bag counter pe rakha, bag mein biscuit aur samose the, Sanam aur Tara dekh kar khush hogayi.
"Are apiya waqi bahut bhook lagrahi thi kahan se aaya"
"Niche ghar se, aur kaha ke raath ka khana bi na banaye" Bina ne chai cup mein dalte howe kaha.
"Allah apiya! bahut acche padosi mile hain hame. Allah khush rakhe, une aur roz roz aise hi bhje" Saman ne aankh mar kar kaha.
Bina ne ek dhap lagaya aur tray utha kar muskurakar Ammi Abbu ku chai dene chal di.
💮💮💮💮💮💮💮💮
Raat ko Rohan ne jab apni ammi ko khana pack karte dekha to be iqtiyar keh utha
"Layiye Ammi mein uthale ta houn, lekin uno ne mana kardiya aur khud tiffen utha kar uper chaldi. Rohan ghehri saans keench kar rehgaya.
Kia haseen chehra tha, kitni masumiyat se woh use dekhe jaarahi thi..Kaash waqt theher jaata...Uff!!! woh soch kar rehgaya.
🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹🌹
Raat tak woh log sab kuch acche se set karchuke the, thakkan se bura haal, woh log lete hi the, ke darwaza baja, Bina chaunk uthi, 'main dekhti houn houn' keh kar darwaze ki taraf lapki ye sochte howe ke kia pata woh hi ho.
Darwaza khoola to ek simple sii khatoon sar per dupatta liye khadi thi, Bina ne Salam kiya aur ander aane ko kaha. Samaj gayi ke niche wali khatoon hai.
Aayiye Anty baitiye, main Ammi ku bulati houn. Ye keh kar Bina ander jaakar apni ammi ko bula lai. Samar aage badi salaam kiya aur khatoon ko baitne ko kaha jo abhi tak kadhi thi. Unhou ne bhi Salam ka jawab diya aur khud ki taruf karaya "Walaikummussalam jii. Mera naam Farhath hai, aur mere shouher Zubair hain, woh Dubai mein rehte hain, main aur Rohan hamara beta niche rehte hain. Hum maa bete ko niche ka portion hi kaafi hai, Arshad Bhai ne jab aap log ka zikr kiya to socha uper portion to Khali hi pada hai, bas ye chota room ko kitchen banake aap ko dediya"
"Hum aap ka shukr guzaar hai behen jo is mushkil waqt pe hamari madad ki, bahut jaga koshish ki lekin kahin baat na bani. Ye to apka badappan hai ke itne kam advance mein ghar diya warna hum teen ladkioun ko lekar Ider uder bhatakte" Samar ne une apne halaath batae.
"Nahin behen, paise to aati jaati hai, asal cheez insaan ka aqlaq hota hai, Ye lijiye aap log bahut thagayi hai, khana khalijiye" Uno ne tiffen aage rakha,
"Aap ne to bahut takalluf karliya behan, sham bhi chae samose bhijwaya, ab phir khane ki" Samar sharminda howi
"Are nahi takalluf kaisi, bas jo bana woh hi layi houn, aap log shuru kare, main chalti houn" woh jaane ke liye utgai.
Samar ne bacchion ko awaz di, teeno aagai "Behan ye meri betiyan Bina, Sanam aur Tara"
"Mashallah bahut pyari hai, mujhe betiyan bohat pasand hai" unhoun ne aage bad kar teeno ko pyar kiya aur niche utargayi.
🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺🌺
Tara ne aage badhkar tiffen uthaya "badi zor ki bhook lagrahi hai, Ammi plz Abbu ko bulaye"
Samar ne muskurakar Jamshed ku bulane kamre mein chali gayi.
Teeno ni mil Kar dastarkhan lagaya aur Tara ne tiffen khola to khushbu poore ghar phailgayi kachi Bryani, chicken gravy aur raita bade acche andaz mein paka tha, sab ne mil kar khoob sair hokar khaya.
Khane ke baad ammi Abbu kamre mein chalegaye, woh log bhi kitchen samet kar namaz pad ke bistar pe aagaye, Tara aur Saman tho bistar per padte hi sogai magar use neend us ke ankhon se koso door thi, woh ut kar terrace per aagai jahan se niche ka nazara bahut saaf dikraha tha.
🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻🌻

Ammi khana dekar aagai aur Rohan se poocha ke "khana lagoun tumhare liye""Nahi Ammi namaz ka waqt hogaya hai main namaz padkar ek dost se milne jaonga, aap khana khakar sojaiye main aakar khalonga" us ne apni pocket check ki, ghar ki extra chabi w...

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Ammi khana dekar aagai aur Rohan se poocha ke "khana lagoun tumhare liye"
"Nahi Ammi namaz ka waqt hogaya hai main namaz padkar ek dost se milne jaonga, aap khana khakar sojaiye main aakar khalonga" us ne apni pocket check ki, ghar ki extra chabi woh hamesha se apne pass rakta ke Farhath ko darwaza kholne ni tention na ho.
"Theek hai, tum jao aur aakar khana theek se khana" woh kehti howi wazu banane chaligayi.
Rohan namaz padh kar apne dost ke paas ek kaam se chala aaya, woh qatam karke jab ghar pahunchya toh kaafi der hochuki thi. Bhook bahut shiddat se lagrahi thi, us ne oven mein khana garm kiya aur dining table per aagaya, phir kuch soch kar bahar varanda per kursi dal kar khane laga aur saath saath nazre uper jati seediyoun se hoti howi terrace per padi, woh waqi khadi thi, use dekh kar muskurautha aur ishara se Hello kaha. Woh ghabrakar peeche hatgayi.

🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼Bina ki ankhen use talaash karrahi thi, aur jaise hi nigah varande per padi ghabrake peeche hatgayi, woh khana kharaha tha, use dekh kar muskurake hello kaha

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼🌼
Bina ki ankhen use talaash karrahi thi, aur jaise hi nigah varande per padi ghabrake peeche hatgayi, woh khana kharaha tha, use dekh kar muskurake hello kaha. Bhaag kar kamre mein aayi aur palang per giri, Dil zor zor se dhadak raha tha jaise chori karke pakdi gayi. Poori raat karwate badal badal ke sone ki koshish ki per neend nahi aayi, ye kaisa ehsaas tha use samaj nahi aaraha tha, us ne apne dil ko bahut samjaya ke ye sab ghalat hai per nadan dil kisi ki kia sune..Yehi sochte sochte najane kab neend ki dewi is per meherban hogai aur woh ghehri neend sogayi.

Yehi sochte sochte najane kab neend ki dewi is per meherban hogai aur woh ghehri neend sogayi

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷🌷

Mile Tum Se Bhichadke HumWhere stories live. Discover now